.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

Ambiya or Auliya apni qabron me Zinda hain.

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 

Ambiya or Auliya apni qabron me Zinda hain.

Ahle Sunnat Wal Jama’at Ka Aqeeda Hai Ke Har Makhlooq Ko Maut Aani Hai Aur Ambiya Wa Auliya Ko Bhi Maut Aayi Lekin Sirf Pal Bhar Keliye Aayi Aur Phir Allah ﷻ Ne Inko Zindagi Ata Farmayi, Ambiya Wa Auliya Apni Qabr e Anwar Me Zinda Hai

Sureh Baqarah Ayat No.154

وَ لَا تَقُوۡلُوۡا لِمَنۡ یُّقۡتَلُ فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ اَمۡوَاتٌ ؕ بَلۡ اَحۡیَآءٌ وَّ لٰکِنۡ لَّا تَشۡعُرُوۡنَ ﴿۱۵۴

Kanzul Iman Translation

our jo khuda ki raah me maary jaayn unhein murda naa kaho , hala ke wo zinda hain, han tumhe khabar nahi.

Sureh Aale Imraan Ayat No.169

وَ لَا تَحۡسَبَنَّ الَّذِیۡنَ قُتِلُوۡا فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ اَمۡوَاتًا ؕ بَلۡ اَحۡیَآءٌ عِنۡدَ رَبِّہِمۡ یُرۡزَقُوۡنَ ﴿۱۶۹

Kanzul Iman Translation

Aur Jo Allah Ki Raah Me’n Maare Gaye Hargiz Unhe’n Murdah Na Khayaal Karna Balke Woh Apne Rab Ke Paas Zindah Hai’n Rozi Paate Hai’n.

Jab Shohada e Kiraam Jo Ke Rasoolallah ﷺ Ke Ummati Aur Gulam Hai Woh Zinda Hai To Phir RASOOLALLAH ﷺ KI ZINDAGI KA Kya A’alam Hoga.

Hazrat Anas رضی ﷲتعالی عنہ Farmate Hai, Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya“Safar E Meraj Me Mera Guzar Moosa علیہ السلام Ki Qabr Ke Pas Se Hua Maine Dekha Moosa علیہ السلام Apni Kabr Me Masroof E Salat The

” (Sahih Muslim Kitab 30 , Paigambar Aur Unke Sahaba Ki Khususiyat,, Baab : Mosa Alaihi Salam K Fazail, Hadees Number : 5858)

(Sahih Muslim, Vol : 04, Pg-1845, Hadees-2375). (Imam Nasai, Sunan Nasai, Baab Us Salat, Baab Zikr E Nabi Moosa Alaihsalam Vol : 2 Pg : 237 Hadis: 1630-1636)

(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Book : As Salah Chapter : Zikr Salat Nabi Allah Mosa Bil-laiyl Jild : 2 Pg : Hadis: 1330)

(Imam Ahmad Bin Hanbal Al-musnad, Vol : 03, Pg-148, Hadees :12526, 13618)(Sahih Ibn Hibban, Vol-01, Pg-242, Hadees-50)(Imam Tabarani Al-muajam-ul-awsat, Vol : 08, Pg : 13, Hadees : 7806)(Imam Ibn Abi Saybah Al-musannaf, Vol : 07,Pg : 335, Hadees : 36575)(Imam Abu Ya’ala Al-musnad, Vol : 06, Pg-71, Hadees :3325)(Imam Haythami Majma-uz-zawa’id, Vol : 08, Pg-205)

(Imam Ibn Hazar Asqalani Shara E Sahi Ul Bukhari Fat’h-ul-bari, Vol-06, Pg-444.)

Hazrat Moosa علیہ السلام Ka Qabr Namaz Padhna Saabit Karta Hai Ke Ambiya علیہ السلام Apni Qabre Mubarak Me Hayat Hai Warna Kya Qabr Me Murde Namaz Padhte Hai ?

Hazart Aws Bin Aws رضی ﷲتعالی عنہ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Beshak Tumhare Dinon Me Se Jum’a Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Adam علیہ السلام Paida Huwe Aur Isi Din Unhone Wafaat Payi Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi,Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.Sahaba Kiram رضی ﷲتعالی عنہم Ne Arz KiyaYa RasoolAllah ﷺHamaara Durood Aap ﷺ Ke Wisaal Ke Baad Aap ﷺ Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega ?Jab Ki Aap Ka Jasad-E-Mubarak Khaaq Me Mil Chuka Hoga ?To Aap ﷺ Ne Farmaya : (Nahin Aisa Nahin Hai) Beshak ALLAH Ta’ala Ne Zameen Par Ambiya-E-Kiram علیہ السلام Ke Jismon Ko (Khaana Ya Kisi Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahuchaana) Haraam Kar Diya Hai.”“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap ﷺ Ne Farmaya Beshak ALLAH Ta’ala Buzurgon Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Wo Hamaare Jismon Ko Khaa’e

(Sunan Abu Dawood Vol : 01 Kitabus Salat, Pg : 443, Hadees : 1047) Scan Page 👇🏻

Imam Nawawi Is Hadees Paak Ko Sahi Kaha (Imam Nawawi ne likha “Isnaad is Sahih” , Al Azkaar, Baab As salah ‘Ala AN NABI ﷺ Vol : 01 Pg : 131-132 Hadees: 302) Scan Page

Imam Zahabi ne Hakim ki Sanad ko aur Imam Nawawi ne Azkar me Sahih likhahai (Hafiz Ibn e Katheer , Tafseer Al Quran Al Azeem Jild : 6 Pg : 473Under Tafseer of Sorat Al Ahzaab, Ayat : 56)Scan Page of Tafseer Ibn Katheer :

Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Se Riwayat Hai K Unhone Nabi E Rehmat ﷺ Ko Farmate Huwe Suna “Kasam Us Jaat Ki Jiske Daste Qudrat Me Abul Qasim Ki Jaan hai Hazrat Isa Ibn Maryam Alaihsalam Ek Insaaf pasand Aur Samajhdar Haakim Banke nuzool Honge.Woh Salib (Cross) Ko Todenge, Khinzeer Ko Khatm karenge aur Aapsi ektelefat aur purani dushmani mita denge.Unhe Maal Diya Jayga Lekin Wo Usko Kabool Naa Karenge Phir Isa Ibn Maryam Alaihsalam Meri Kabr Par Khade Hokar Kahenge Yaa MUHAMMAD Aur Mai Jarur Unko Jawab Dunga”

(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 11, Pg : 462, Hadees : 6584)(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 02, Pg : 595)(Imam Haythami Majma Az Zawaid Vol : 08, Pg : 211 Is Hadees K Rijaal Sahi Hai)(Imam Ibn Asakir Tariqh Damishq Vol : 47, Pg : 493)(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Al Matalib Aliya , Baab : Huzoor Ki Qabr Me Zindagi)Imam Abu Yaala Imam Zahbi, Imam Hakim, Aur Imam Haythami iski Isnaad Ko sahih Karar Diya Hai

(Saalf Sawleheen Ka Aqeeda Allah ﷻ Ke Wali Apni Qabro Me Zinda Hain.) Hazrat Imam subki رحمتہ اللہ علیہ Aur Hazrat Imam Yafai Al Sha’fair رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hain:-* *Ye Ummat Ke Salf Sawleheen Ka Aqeeda Hai Ki Allah ﷻ Ke Auliya Apni Qabro Me Hayat Zinda Hain Yahi Ahle’sunnat wa Jamat Hai.

Reference Book Shaa’n Al Noor* *Fi oin W Scan Page Ahkaam -Al Qaboor* *

Wisaal ke 250 saal bad Imam Ahmad bin Hanbal رضي الله عنه ki Qabr ke bazu kisi ke liye Qabr khodi gayi to Imam ki Qabr bhi zahir hogayi, logo ne dekha jism to jism Aapka kafan bhi salamat tha

Ref: Asqalani – Tahzib ut Tahzib 1/76

Hazrat Sayyidna Jabir Ibn Abdullah رضي الله عنه Se Riwayat hai ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya Apne Murdo ko Acche Kafan Do Kyuki Who Apni kabro Me Baham Mulakat Karte hai Aur (Acche Kafn) Par Fakhr Karte Hai –

(01)Muslim Sharif Me hain Ki Jab Tum Kisi Wali hoto Usse Accha Kafan – (02)Imam Ibn Shireen Rahmatullah Alaih Se Marvi Hai Kay Acche Kafan Ko Pasand Kiya Jaata hai aur Kaha Jaata Tha Murde Apne Kafan Kay saath milte hai – (03)Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Rasool E Akram ﷺ Ne Farmaya Apne Murdo Ko Accha Kafn Do Kyuki Wo Apni Kabro Me Baham Mulakat Karte Hai. (04)Hazrat Anas Ibn Malik رضي الله عنه Se Riwayat hai Rasool E Akram ﷺ Ne Farmaya Tum Me Se Jab Koi Kisi Ka Wali Ho To Usse Acche Kafan De Kyuki Murde Apne Kafano Me Aapas Me Mulakat Karte hai. (05)Hazrat Abu Qatadah Radiallahu Se Marvi hai Nabi E Akam ﷺ Ne Farmaya Jab Tum Me Se Kisi ka Wali Ho To Usse Acche kafan De Kyuki Murde Apni Kabr Me Aapas Me Mulakat Karte hai.(06)

”Reference :(Imam Jalaludin Suyuti Sharaus Sudoor, Pg : 192 -93, Baab : Kabr Me Murdo Kay Uns, Namaz, Tilawat, Inaamat Wa Libas Aur Deegar Ahwaal Ka Bayan)Scan Page of Sharaus Sudoor Lil Suyuti

Murda Qabr Par Aane Wale Ko Pehchanta Hai Aur Uske Salaam Ka Jawab Bhi Deta Hai

Reference: Ahle Hadith Book ‘Kitab ur Rooh’ By Shaykh Ibnul Qayyim Pg.no 5

Tabai Buzurg Sulaiman bin suhaym ne Rasoolullah ﷺ ki khwab me Ziyarat ki aur arz ki “ya Rasul Allah ﷺ jo log apki bargah me hazir hokar salam pesh karte hai kya apko unke salam karne ka ilm hota Hai?

Rasoolullah ﷺ NE FARMAYA: HAAN AUR MAI UNHE JAWAB BHI DETA HU

REF: BAIHAQI-SHUAB UL IMAN 6/54

“JO SHAKHS JUMMAH KE DIN AUR RAAT 100 MARTABA MUJHPE DUROOD BHEJEGA ALLAH USKI 100 HAJATE PURI KAREGA 70 HAJATE AKHIRAT KI AUR 30 HAJATE DUNIYA KI AUR ALLAH USKE SAATH FARISHTE MUQARRAR FARMA DETA HAI JO Usey Lekar Mere Paas MERI QABR MUBARAK ME AISE AATA HAI JAISE TUMHARE PAAS HADIYE AATE HAI MERA ILM Mere Wisaal Ke BaaD BHI AISA HI HAI JAISA MERA ILM MERI HAYAT MEIN

.REF: AL KHASAISUL AL-KUBRA PUBLISHER DAR AL-KITAB Arabi Egypt Vol 2 PAGE 280

Hazrat Sufiyan Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ta’oos (Tabai) رضي الله عنه Ne Farmaya:-

Beshak 7 Din Tak Murdon Ko Qabro Me Aaz’maya Jata Hai Is Liye Log In Dino Me Unki Taraf Se Khana Khilane Ko Mustahab Samjhte Hai

[Hilyat ul-Auliya fi-Tabaqat ul-Asfiyah Vol 4 Page 11]

Shah Waliullah Muhadis Dehelvi رحمتہ اللہ علیہ Likhte Hai :-

Ghaus E Paak رحمتہ اللہ علیہ Ki Zaat E Ghirami Wo Hai Ki Aap Apni Qabr Mein Zindo Ki Tarah Tasarruf Karte Hai

[Ha’maat Pg.no 127]

Ibn Qayyim Jawziya likhte hai: Tabai Buzurg Abu Qilaba ek bar kisi Qabr se tek laga kar so gaye, subah ko Qabr se ye kehte awaz ayi “tumne Hume raat bhar taqleef di hai”

REF: KITAB UL RUH BY IBN QAYYIM JAWZIYA PAGE 15

HAFIDH IBN KATHIR LIKHTE HAI:BESHAK, MAUT KE BAD LOGO KE KALAAM KARNE KI RIWAYATEIN SAHIH SANADO KE SATH MILTI Hain

Reference: Book Shamail Rasul ﷺ page 501

Sayyiduna ibn Abbas ne farmaya : Zinda Insano ki Roohe neend ke wakt Murda Insano ki rooho se milti hai, aur unke bich batein hoti hai, phir Allah murdo ki Rooho ko rok leta hai aur zindo ki rooho ko unke jism me bhej deta hai Wahabi

Ref: Ibn Baz – Majmu Al Fatawa 3/311 (scan page) Ibn Qayyim Jawziya – Kitab ul Ruh page 20 * Albani – Mosuat fi Aqidah 9/142

Riwayat ke akhri me ye alfaz hai ke “Allah unki rooho ko unke jism me louta deta hai” Isse ye sabit hota hai ke ye mulaqat koi khwab me nahi hoti balki haqiqat me hoti hai Asmano me

⚫ Mout ke bad jab Aam insan ki rooh ko ye ikhtyar hai ke kahi bhi aa jaa sake, to Allah ke nek bande Allah ke Ambiya ke ikhtyar ka Aalam kya hoga?

⚫ Wisaal ke bad bhi ek zindagi hai, jaha Momineen zinda hai sunte hai dekhte hai bolte hai jaha chahe aa jaa sakte hai

Imam Abul Fazl Mousili (jinka wisal aj se 760 saal pehle hua) farmate hai:Rasul Allah ﷺ ki Qabr ki ziyarat karne wale ko chahiye ke is tarah hath band kar adab se khada ho jaise Namaz me khada hota hai, aur Huzoor ﷺ ki soorat e aqdas ka tassawur kare goya ke Huzoor ﷺ Rawza e Aqdas me lete hue hai, ziyarat karne wale ko jante hai aur uski bate sunte hai

Ref: Kitab Al Ikhtyar li Talil ul Mukhtar vol 1 page 176

Kisi ne pucha:

“kya murde Qabr me batein karte hai?” Ibn Taymiyyah ne kaha :

“Wo baat karte hai aur jo unse baat kare unhe sunte bhi hai”

Ref: Majmu Al Fatawa 3/73 (scan page

Wahabi jinhe apna Imam mante hai, Ibn Qayyim Jawziyya apni Kitab Al Ruh page 8 par likhte hai :”

SALAF US SALIHEEN IS BAT PAR JAMA THE AUR ASAR E TAWATUR SE BHI PATA CHALA KE MAYYIT (QABR WALO) KO ZINDA KE AANE KA PATA HOTA HAI AUR WO IS PAR KHUSH HOTE HAI”

Ambiya aur Shuhada ki Zindagi wisal ke bad waisi hoti hai jaisi is duniya me Ye Lazim nahi ki Haqiqi zindagi (jo wisal ke bad shuru hoti hai) aise jism ki ho jo khane pine ka mohtaj ho Jaha tak Ilm aur samaat (sunne) ki bat hai! Wo beshak un Hazraat ke liye aur taha tak aam murdo ke liye bhi sabit hai

-8vi Sadi ke Mujaddid imam Taqi ud Deen Subki (756 AH) -9vi Sadi ke Mujaddid Imam Jalaluddin Suyuti (911 AH)

Ref: Imam Suyuti in Al Hawi lil Fatawi 2/184

Imam Abu Hanifa رضي الله عنه ke shagird, Hazrat Abdullah bin Mubarak (wisal 181 Hijri) aksar apne ghar me band rehte, kisi ne pucha “kya apko wahshat mehsoos nahi hoti?” Aap ne farmaya:”Mai kaise wahshat mehsoos kar sakta hu jabki mere sath Rasul Allah ﷺ aur unke Sahabah tashreef farma hote hai

Iblees shaitan insano ke dilo me waswase dalne ke liye mashrik se maghrib tak pal bhar me aa jaa sakta hai, is raftar ki tezi agar iblees ke liye mante ho to ye chiz Akabir Ambiya ke liye usse zyada manna chahiye (ke wo pal bhar me duniya me kahi bhi aa ja sakte hai)-

Imam Fakhruddin Raazi(jinka wisal 837 sal pehle hua)

Ref: Tafsir ul kabeer 20/149

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه ke shagird, Tabai Hazrat Saeed ibn Mina رضي الله عنه farmate haiMaine ek Qabr ke pas Do rakat padhi phir wahi Qabr se tek laga kar sogaya, khuda ki kasam maine QABR SE EK AWAZ SUNI ye kehte hue : “uth jao tumne Hume taqleef di hai Tum (maut ko) begair Jaane amal karte ho, aur hum jaan kar bhi amal nahi kar sakte, Allah ﷻ ki kasam agar mai aisi do rakat Namaz padh pata to wo mujhe tamam duniya aur usme jo kuch hai sabse pyari hoti

RASUL ALLAH ﷺ NE FARMAYA :

APNE MURDO KO NEIK LOGO KE PAS DAFN KARO, KYUKI EK MURDE KO BURE PADOSI SE USI TARAH NUQSAN HOTA HAI JAISE EK ZINDA KO BURE PADOSI SE NUQSAN HOTA HAI

Ref: Abu Nuaym – Hilyat ul Awliyah 6/354 Suyuti – Sharh Us Sudoor pg 176 Dailami – Firdaus 337 Qurtabi – Tazkira Bi Ahwal ul Mauti pg 315 Ibn Asakir – Tarikh 58/378

Imam Yafai (672+ Sal pehle wisal) farmate hai ki : Wisaal ke bad Awliya ko aise haal par lauta diya jata hai jisme wo Asmano aur Zameeno ke Mulkon ka Mushahida karte hai

Ref: Imam Suyuti (911 AH) – Fatawa 2/181

Kya Auliya Jante Aur Dekhte Hai Ki Unke Mazar Par Kaun Aaya?

¹ Hazrat Imam Ibn e Rajab Hanbali Al Mutawaffah 795 Hijri

&

² Hazrat Imam as-Suyuti Al Mutawaffah 911 Hijri

&

³ Hazrat Imam Najm al-Deen Muhammad al-Ghayti Al Mutawaffah 968 Hijri

&

⁴ Hazrat Imam Ibn Safarini Nablusi Hambali Al Mutawaffah 1188 Hijri

&

⁵ Allama Murtaza al-Zubaydi Al Mutawaffah 1205 Hijri

&

⁶ Khalifa e Alahazrat Syed Zafruddin Hasni Al Mutawaffah 1382 Hijri

Hazrat Imam Asad Bin Musa Al Mutawaffah 212 Hijri Farmate Hain Mere Ek Dost Ka Wisaal Ho Gaya Usko Khuwab Me Dekha Ki Kehte Hai Subhanallah Tum Fulah Dost Ki Qabr Ke Paas Uski Ziyarat Ke Liye Aaye Aur Qur’an Sharif Padha Aur Rehmat Ki Dua Ki Aur Na Mere Paas Aaye Aur Na Nasdik Hue Mene Unsay Pucha Tumhe Kya Maloom? Unhone Kaha Jab Apne Fulah Dost Ke Paas Aaye Tu Mene Tumko Dekha Mene Kaha Tumne Mujhko Kaise Dekha ? Tumpar Tu Mitti Ka Anbaar (Dhayr) Tha Unhone Kaha Ki Tum Ne Nahi Dekha Pani Jab Shishe Me Hota Hai Kya Nahi Hazir Hota Mene Kaha Kyun Nahi Unhone Kaha Ki Isi Tarah Hum Usko Dekhte Hai Jo Hamari Qabr Ki Ziyarat Ko Aaye

Subhanallah

Reference Book

¹ Ahwal al-Qubur

Vol 1 Raqam 292

&

² Sharah al-Sudoor

Vol 1 Pg 234

&

³ Al-Ajwibat al-Mufidat

Vol 1 Pg 44

&

⁴ Al-Buhur al-Zakhiraat

Vol 1 Pg 196

&

⁵ Ithaf al-Saadat al-Mutaqeem

Vol 14 Pg 280

&

⁶ Daur e Sahaba Me Isaal-e-Sawab Ki Mukhtalif Surate

Vol 1 Pg 59

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)