.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

Shan e Auliya quran o Hadith se.

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 

Shan e Auliya quran o Hadith se.






Tamam Tarif Allah ﷻ k Liye k jisne hume Nabi E Akram ﷺ ka Ummati banaya Sahih Aqeeda Sunni Musalman kay ghar paida farmaya. Durood Wa Salam ho Nabi E Akram ﷺ Par Ahle Bayt Par tamam Sahaba Auliya Allah Par Allah Taala Ne Humare dilo me Apne Mehboob Bando Ki Muhabbat daali yehi wo Muhabbat hai jo Nizaat ka jariya bhi hai Muhabbat E Auliya ahle bayt Nahi to Ibadat bhi kaam nahi aaygi Ibadat Aur Muhabbat E Auliya jab ek bande me ijtema karle to yakinan ye raah e nizat hai par ab kuch gumraah firqe wajood me hai jinhone firqa e mutazila ki tarj par azmat auliya karamat e auliya kay munkir hai aur har wakt bas daur e pur fitan me Musalmano ko in Auliya Allah se dur karne ki koshish karte hai balki itne tez jaban hai kay Allah ﷻ kay in mukaddas bando ko babi kahke chidate hai aur inko ALLAH ﷻ muqable khada kardete hai yaani jo Allah ﷻ kay dost hai unhe hi Allah ﷻ ka dushman batane lagte hai, aur apni kam ilmi ya bugz hasad ki bina par in mukaddas buzurgo ki shaksiyat pe hamla karte hai, Lihaja hamari ye mukhtasar si koshish hai k Shaan Azmat E Auliya Allah Yaha Quran E Karim Aur Hadees E Paak Se Jama Kare Hai taaki jo Auliya Allah k Makam, Darjaat unke Karamat k Munkir hai wo padh k samajh jaaye aur apni Akhirat Inki Gustakhi Kar barbaad naa kare. Gair Janib Daar Hokar padhe to In Sha Allah Taala Yaha Se Haq Jarur Mil jayga.

Wali Wo Azeem Martabat Jaat Hai Jo Allah ﷻ K Nazdeek Bahot Badi Kurbiyat aur makam rakhte hai, Awliya E Kiram ka Zikr to Quran E Karim Se saabit hai aur issi tarah Awliya ki karamatein bhi Quran me hai ab koi kahe kay ye Wali auliya kuch nahi hote karamat nahi hoti to aisa shaksh kaafir hai.

Sureh Maa’idah Ayat No.55

اِنَّمَا وَلِیُّکُمُ اللّٰہُ وَ رَسُوۡلُہٗ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا الَّذِیۡنَ یُقِیۡمُوۡنَ الصَّلٰوۃَ وَ یُؤۡتُوۡنَ الزَّکٰوۃَ وَ ہُمۡ رٰکِعُوۡنَ ﴿۵۵﴾

Kanzul Iman Translation

Tumhaare Dost Nahee’n Magar Allah Aur Uska Rasool Aur Imaan Waale Ke Namaaz Qaayem Karte Hai’n Aur Zakaat Dete Hai’n Aur Allah Ke Huzoor Jhuke Huwe Hai’n.

Sureh Baqarah Ayat No.257

اَللّٰہُ وَلِیُّ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا ۙ یُخۡرِجُہُمۡ مِّنَ الظُّلُمٰتِ اِلَی النُّوۡرِ۬ ؕ وَ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡۤا اَوۡلِیٰٓـُٔہُمُ الطَّاغُوۡتُ ۙ یُخۡرِجُوۡنَہُمۡ مِّنَ النُّوۡرِ اِلَی الظُّلُمٰتِ ؕ اُولٰٓئِکَ اَصۡحٰبُ النَّارِ ۚ ہُمۡ فِیۡہَا خٰلِدُوۡنَ ﴿۲۵۷﴾٪

Kanzul Iman Translation

Allaah Waali Hai Musalmaano’n Ka Unhe’n Andheriyo’n Se Noor Ki Taraf Nikaalta Hai Aur Kaafiro’n Ke Himaayati Shaitaan Hai’n Woh Unhe’n Noor Se Andheriyo’n Ki Taraf Nikaalte Hai’n Yehi Log Dozakh Waale Hai’n Unhe’n Hamesha Usme’n Rehna.

Surah Yunus Ayat 62

أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُون“

kanzul Iman Translation

Sunn Lo Beshak Allah k Waliyo Par Na Kuch Khauf hai Na Gum”

Surah Anfal Ayat 34

إِن أَولِياؤُهُ إِلَّا المُتَّقونَ

Kanzul Iman Translation

“Aur Allah Kay Auliya To Parhezgar hi Hai”

Auliya Allah Kay Mutallik Kuch Ahem Aqaid Aur Masail

1) Wilayat Allah ﷻ Se Bande Kay Ek Khas Kurb Ka Naam Hai Jo Allah ﷻ Apne Buzurgeeda Bando ko Apne Fazl Aur Karam Se Ata karta Hai.

2) Wilayat Be Ilm Ko Nahi Milti, Ilm Do tarah kay hai Ek wo jo jaahiri taur par haasil kiye jaaye aur dusre wo uloom jo wilayat k martabe par pahuchne se pehle hi Allah ﷻ us par Uloom kay darwaje khol deta hai.

3) Tamam Agle Pichle Waliyo Me Se Huzoor ﷺ ki ummat k Auliya Sabme Afzal Hai

4)Koi Kitna hi bada Wali kyu naa hojaye Shariat k Ahkam Se Chutkara nahi paa sakta

5)Koi Wali Kisi Martabe Ka Ho Kisi Sahabi Kay Rutbe Ko Nahi Pahuch Sakta.

Allama Saadudin Masood bin Umar Taftazani Rahmatullah Alaih likhte Hai “Wali Us Shaks Ko Kahte hai Jo Mumkin Hadh Tak ALLAH Aur uski Sifaat Ki Marifat (Yani Pahchan) Rakhta Ho Ibadat Ki Pabandi Karta Ho Aur Har Kism Kay Gunaho Lajjat Aur Shahwat Se bachta Ho”

(Shara E Aqaid, Karamat E Auliya Pg : 316-17)

Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Riwayat Hai Ke Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ Hamarey Behtareen Hum nasheen Kaun Log Hain ? Aap ﷺ Ney Farmaya : Aisa Hum nasheen Jis Ka Dekhna Tumhe Allah Ta’ala Ki Yaad Dilaye Aur Jis Ki Guftgu Tumhare ilm Mey Izaafa Kare Aur Jis Ka Amal Tumhey Aakhirat Ki Yaad Dilaaye.”

References :(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 04, Pg :326, Hadees : 2437)(Imam Abd bin Humayd Al Musnad Vol : 01 Pg: 213,Hadees : 631)(Imam Abu Nuaym Al Hilyat ul Awliya, Vol : 07, Pg :46)(Imam Ibn Mubarak Kitab Az Zuhad, Vol : 01 Pg : 121, Hadees : 355)(Imam Ibn Abi Duniya Kitab-ul-Awliya Pg : 17, Hadees : 25)(Imam Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib Vol: 01 Pg : 63, Hadees : 163,(Imam Hussamul Hindi Al Kanz-ul-Ummal, Vol : 09,Pg :28, 37, Hadees : 24764, 24820)(Imam Abdul Bakir Zurqani Shara E Muwahibul Laduniya, Vol :04 Pg : 553)Scan page Musnad Abu Yaala

Hazrat Abu Hurairah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ney Farmaya :Jab Allah Ta’ala Kisi Bande Se Muhabbat Karta Hai To Hazrat Jibra’il عليه السلام Ko Aawaaz Deta Hai Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Se Muhabbat Rakhta Hey, Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Us Sey Muhabbat Karta Hain.hir Hazrat Jibra’il عليه السلام Aasmaani Makhlooq Mey Nida (Aawaaz) Detey Hain Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Karta Hey.Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo.Pas Aasmaan Waaley Bhi Us Sey Muhabbat Karney Lagtey Hey.Phir Zameen Waalon (Key Dilon) Mey Us Ki Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hey

.”References : (Sahih Bukhari, Kitabul Adab, Baab : Al Mikati Minalihi Taala, Hadees : 5693)Note : ye hadees aqsar nuskho me #6040 par darj hai (Sahih Bukhari,Vol :09, Pg : 351, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7485)(Sahih Bukhari,Vol : 04, Pg : 276 Kitab No 59 Kitab Baadil Khalk, Hadees : 3209)(Sahih Muslim, Vol :06, Pg : 496, Kitab No 45 Kitabul Birr Walsala Wal Adab, Baab : Hadees : 2637)(Al Muwatta Imam Malik, Vol : 02, Pg : 953, Hadees : 1747)(Jamai Tirmizi, Kitab Tafseer, Baab Surah Mariam Hadees :3161 ) (Musnad E Ahmad Vol : 02, Pg : 509, Hadees : 10623)(Imam Abu Nua’ym Hilyatul Aulia Vol : 07, Pg :141) (Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Kitabuz Zuhad, Vol :02 pg:301 Hadees :805)(Imam Nawawi – Riyadusalaheen Vol : 01, Pg : 525, Kitab No : 01, Kitab Al Mukadama, Hadees : 387)(Imam Nawawi 40 Hadees E Qudsi, Pg : 65, Hadees No : 24)

Banda ALLAH ﷻ ka Qurb Kab Hasil Karta hai Allah kay Wali Ka Ekteyar Aur Unse Dushmani Bugz Hasad Karne Ka Nuqsan

Hazrat Abu Hurraira Radi Allahu Anhu Se Marvi Hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Allah Taala Farmata Hai Jo Merey Kisi Wali Sey Dushmani Rakhey Mey Us Sey Eilan E Jung Karta Hoon Aur Mera Banda Aise Kisi Cheez Kay Zariye Mera Qurb Nahin Paata Jo Mujhe Farzon Sey Zyada Mehboob Ho Aur Mera Banda Nafli Ibadat Key Zariye Barabar Mera Qurb Haasil Karta Rahta Hai.Yahan Tak Ke Main Us Se Muhabbat Karne Lagta Hoon Aur Jab Mein Usse Muhabbat Karta Hoon To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata Hoon Jis Se Woh Sunta Hai Aur Uski Aankh Ban Jaata Hoon Jisse Woh Dekhta Hai Aur Uska Haath Ban Jaata Hoon Jisse Woh Pakarta Hai Aur Uska Paanw Ban Jaata Hoon Jise Woh Chalta Hai.Agar Woh Mujh Sey Sawal Karta Hai To Main Usse Zaroor Ata Karta Hoon Aur Agar Woh Meri Panaah Mangta Hai To Mein Zaroor Usse Panaah Deta Hoon.Mein Ne Jo Kaam Karna Hota Hai Usme Kabhi Is Tarah Mutardid (Fikramand) Nahin Hota jaise Banda-E-Momin Ki Jaan Leney Mey Hota Hoo’n, Usse Mout Pasand Nahi Aur Mujhey Us Ki Takleef Pasand Nahin.References : (Sahih Bukhari Pg : 2384/85, kitab ar Riqak, baab : 38 باب التَّوَاضُعِ , Hadees : 6137) Arabic Nuskha (Sahih Bukhari Vol : 08, Pg :275, Kitab Ar Riqak,Hadees : 6502)Yehi Rivayat bahot se Sahaba rizwanullaheem Azmayeen se aayi hai mukhtalif alfaaz k saath.

(Sahih Ibn Hibban Vol : 02, Pg : 58, Hadees : 347)(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra, Kitab Uz Zuhad Al Kabir, Vol :02, pg : 269, Hadees : 696)(Imam Tabrani Al Mu’jam Al Kabir Vol : 08, Pg : 221, Hadees : 7880 & Vol 12, Pg : 145, Hadees : 12719)(Imam Tabrani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 1 Pg :192, Hadees : 609, Vol 09, Pg : 139, Hadees : 9352)(Imam Abdul Razzaq Al Mussanaf Vol : 11, Pg : 192-93)(Imam Ibn Abi Dunya Kitab Al Awliya Vol : 01, Hadees : 45 Rivayat Hazrat Anas)(Imam Abu Nauym Al Hilyatul Awliya 01/5, 8/318)(Imam Qushayri Risala E Qushairiya Pg : 292)(Imam Bazzar Al Mazma Uz Zawaid Vol : 04, Pg: 241-42)(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 12, Pg : 520 Rivayat Hazrat Maymuna) (Imam Hakim Tirmizi Nawadir Al Usul, Hadees : 75,162,228) (Imam Daylami Al Musnad Firdaws Vol :03, Pg : 215, Hadees : 4472, 4475)Scan Page 6137 Sahih Bukhari

Awliya Ko Dekh kar Ambiya Shohada Bhi Rashq Karenge

Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Rivayat Karte Hain Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Allah ﷻ Kay Kuch Bande Aise Hain Jo Ambiya Nahin Lekin Ambiya-E-Kiram Aur Shohada Bhi Us Par Rashk KarengeArz Kiya Gaya (Ya RasoolAllah ﷺ) Woh Kaun Log Hain ? (Hamey Un Ki Sifaat Bata’iye) Taake Hum Bhi Un Sey Muhabbat KareAap ﷺ Ne Farmaya :Woh Aise Bande Hain Jo Aapas Me Beghair Kisi Qaraabatdari Aur Waste Key Mahaz Allah Ta’ala Ki Khaatir Muhabbat Karte Hain Unke Chahre Purnoor Hongey Aur Woh Noor Key Mimbaron Par Jalwa Afroz Honge.Unhey Koi Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Ho’n Gey Aur Unhey Koi Gham Na Hoga Jab Log Ghamzada Ho’n Gey.Phir Aap ﷺ Ney Yeh Aayat Tilaawat Farmayi

Sunn Lo Beshak Allah k Waliyo Par Na Kuch Khauf hai Na Gum”(Surah Yunus Ayat 62)

References :(Imam Ibn Hibban Sahih, Vol : 02, Pg : 332, Hadees :573)(Imam Abu Yala Al Musnad, Vol : 10, Pg : 495, Hadees : 61100(Imam Bayhaqi Shuab-ul-Iman, Vol : 06, Pg : 485, Hadees : 8997, 8999)Issi tarah Ki Rivayat Hazrat Umar Ibn Khattab Radiallahu Anhu Se marvi hai (Imam Abu Dawood Sunan, 03/288, Hadees :3527)(Imam Nasai Sunan ul Kubra, Vol : 06, Pg : 362, Hadees : 11236)(Imam Bayhaqi Shuab-ul-Iman, Vol : 06, Pg : 486, Hadees : 8998)Scan Pages

70000 Auliya Bina Hisab Wa Kitab Jannat Me Jayenge Aur Har Ek Kay Saath 70000 Honge”

Hazrat Abu Umama Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ ko farmate Huwe Suna Mere rab ne mujhse wada farmaya kay meri ummat me se 70000 logo ko jannat me dakhil karega unka naa hisab hoga aur na koi unpe azab hoga, Aur phir Hazar kay saath 70000 Hazar honge”

(Imam Tirmizi, Sunan Kitab Al Kiyama Wa Ar Raqaiq Wa Al Wara, Hadees : 2437)Imam Tirmizi farmate hai Ye hadees Hasan hai(Imam Ibn Majah Sunan, Kitabuz Zuhd, Hadees : 4286)

Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne irshad farmaya Meri ummat kay 70000 afraad bila hisab wa kitab jannat me dakhil honge, jinke chahre chaudhwi raat ki chand ki manind chamakte honge”

(Imam Muslim Sahih, Kitabul Iman, Baab 94 Bila Hisab wa kitab Jannat me Jaane Wale Giroh Jinpar Koi Azab Nahi, Hadees : 217)

Awliya Allah k Makam Aur Martabe k Lihaj se phir unme bhi Darje hote hai ye bande Allah ﷻ k nazdik wo kurbiyat paate hai jo aam farishto ko bhi nahi mil paati aur unhe wo ata kiya jaata hai jo aam insaan kay samajh soch o fikr se bhi baa’la tar hai.Yaha hum unke darjaat k lihaj se naam ko likh rahe hai

Shurai Ubaid رضي الله عنه Se Rivayat Hai Hazrat Ali رضي الله عنه Jab Iraq Me They To Unki Mauzoodgi Me Ahle Shaam Kay logo Ka Zikr Kiya gaya. Logo Ne Kaha Aye Ameerul Momineen Ahle Shaam Par Lanaat Karein, Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Farmaya Nahi Mai Un Par Lanaat Nahi Karunga, Maine Rasool Allah ﷺ Se Suna Hai Shaam Me Abdaal Raha karte Hai Jinki Tadad 40 Hai. Jab Unme Se Koi Ek Intekal Farmata hai to Allah Taala Uski Jagah Dusre Ko Mukarrar kar deta hai Aur Unhi Kay Sadqe tum par barish hoti hai Unhi Kay Sadqe Rizk Ata Kiya Jaata Hai Tum Dushmano Par Fateh paate Ho Aur tumse Musibat Taali Jaati Hai

”References : (Musnad Ahmad Ibn Hanbal Vol : 01, Pg : 438, Hadees : 896) (Hafiz Ibn Kathir, Jami Al Masaneed Wa Sunan , Vol : 01, Pg : 230/231, Hadees :2920)(Mishkat Al Masabih , Baab Zikr E Yamani ,Hadees : 6015) (Imam Tabrani Al Majma Ul Kabeer Vol : 10, Pg : 181, Hadees : 10390)(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 10, Pg : 63)Scan Page Musnad Ahmad

Hazrat Anas ibn Malik رضي الله عنه Se Rivayat hai Nabi E Akram ﷺ Ne Irshaad Farmaya Jamin un 40 shakhs se Khali naa hogi jinka Qalb Hazrat Ibrahim Alaihsalam kay qalb pe hoga unhi kay waseele se Allah fateh aur barish dega unme jab bhi kisi ka inteqal hota hai ALLAH Taala Uske jagah kisi dusre ko mussallat kar deta hai”Hazrat Qatada Kahte hai hume is par koi Shak nahi kay Hazrat Hasan Basari unme se ek hai

”References : (Imam Tabarani Al Mujam Al Awsat Vol : 04, Pg :247, Hadees : 4101)(Imam Tabarani Al Mujam Al Kabir Vol : 10,Pg : 224, Hadees : 10390)(Imam Abu Nu’aym Asfahani Marifat As Sahaba, Hadees : 4013)(Imam Ibn Asaqir Tareekh Vol : 01, Pg : 298)(Imam Haythami Majma Az Zawaid Vol : 10, pg : 63 , Hadees : 16675 , Farmaya Ye hadees Hasan hai)

Hazrat Abdullah ibn Masood رضي الله عنه se Riwayat hain Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Meri Ummat me 40 log aise rahenge jinke dil Hazrat Ibrahim Alaihisalam Kay Qalb ki tarah hai inke wajah se Allah Jameen se azaab ko taal deta hai inhe Abdaal Kaha jaata hai.

References : (Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 10, Pg : 224, Hadees :10390)(Imam Abu Nuayam Hilyatul Awliya Vol : 07, 173) (Imam Haythami Al Majma Uz Zawaid, Vol : 10, Pg : 63)Scan Pages Mujam Ul Kabeer

Rasul Allah ﷺ ne farmaya :

Barkat tumhare buzurgo ke sath hai

Ref: Haakim Al Mustadrak 210

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)