Post 01 : Afzaliyat E Siddique E Akbar Par Sahaba Ka Aqeedah Click Here To Read
Afzaliyat E Siddique E Akbar Aur Aimma E Mujtahideen Wa Muhadiseen Ka Aqeeda
Imam Abu Hanifa Hazrat Noman Ibn Saabit (Al Mutwaffa 150 Hizri)
"Ambiya Alaihsalato Wassalam ke baad tamam logo me sab se afzal tareen hasti Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallaho tala anhu ki hai, fir Hazrat Umar ibn Khattab Radiallahu Anhu, fir Hazrat Usman bin Affan Zulnurain Radiallahu Anhu ki aur fir Hazrat Ali bin Abu Talib Al Murtuza Radiallahu Anhu ki hai"
(Al Fiqh Ul Akbar, Pg : 78)
Imam E Azam Abu Hanifa Rahmatullah Alaih Apni dusri ek kitab Al Wasaya Me Sunni hone kay sharayt me farmate
Imam E Azam Abu Hanifa Rahmatullah Alaih Apni dusri ek kitab Al Wasaya Me Sunni hone kay sharayt me farmate
"Abu Baqr Sididque Nabi E Karim ﷺ kay baad is ummat me sabse afzal hai phr Umar Usman Ali Rizwanullahim Azmayeen"
(Imam Al Azam Abu Hanifa Kitab Al Wasaya Pg :43,. Print Idara Darul Hazam)
Scan Page Al Wasaya Imam Al Azam
Ahle sunnat ka aqeeda bayan kar rahe hai Masla E Afzaliyat Par
"Rasoolallah ﷺ ke baad Logon me Sabse Afzal Hazrat Abu Baqr Siddique Hai, Phir Umar Ibn Khattab Radiallahu Anhu phir Usman Zunnurain, Phir Hazrat Ali Ibn Abu Talib"
(Diwan E Imam Shafai, Pg : 100)
Scan Page
Imam Ahle Sunnat Imam Ahmad Ibn Hanbal Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 241 Hizri apni Kitab
"Is ummat me Nabi ﷺ ke baad sab se afzal Abu Baqr Siddiq hai , fir Umar Bin Khattab, fir Usman bin Affan Radiallahu Anhuma Azmayeen hai. Hum in teeno ko maqdam karte hai jaisa ke Rasool Allah ﷺ ne inhe maqdam farmaya isme koi ikhtelaf nahi karte. Fir in teeno ke baad paanch ashabe suri hai: Hazrat Ali bin Abi talib, Hazrat Talha, Hazrat Zubair, Hazrat Abdul Rehman bin Auf, Hazrat Saad Rizwanullahim Azmayeen"
(Usool Us Sunnah Lil Imam Ahmad Ibn Hanbal Pg : 5-6)
Scan Page
Imam Abu Zur'ah Ar Raazi, (277 Hizri) Hatim Ar Razi (327 Hizri) apne Risala Al Aiteqad Ar Raziyayn me likhte hai
"Is Ummat Me Nabi E Karim ﷺ Kay baad sabse Afzal Hazrat Abu Baqr Sididque Hai fir Hazrat Umar fir Hazrat Usman, fir Hazrat Ali Ibn Abu Talib Radiallahu Anhuma Azmayeen"
(Aiteqad Al Raziyayn Asl al sunnah wa iteqad Al Deen Lil Imam Hatim Pg :01)
Scan copy
Imam Abu Jafar Tahawi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 321 Hizri)
"Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ تعالی عنہ ko hum Rasool’Allah ﷺ ka pehla khalifa mante hain. Iss liye k woh ummat mein afzal tarin hasti the. Unn k baad darja ba darja Hazrat Umer Bin Khattab رضی اللہ تعالی عنہ ko dusra, Hazrat Usman رضی اللہ تعالی عنہ ko teesra aur Hazrat Ali Ibn Abu Talib رضی اللہ تعالی عنہ ko chautha khalifa taslim karte hain. Ye khalifa e rasideen hain aur hidayat yafta ummat k imam hain."
(Al Aqeedah Tu Tahawiya Pg 71)
Scan Page
Scan Page
Allama Muhammad bin Ali Al Barhari Hanbali (Al Mutawaffa 329 Hizri) apni aqaid ki kitab Sharaus Sunnah me Ahle Sunnat Wa Jamat Ka Aqaid bayan karte hai
"Is ummat me Nabi e kareem ﷺ ke baad sabse afzal Hazrat Abu Bakr Siddique, phir Hazrat Umar ibn khattab phir Hazrat Usman E Gani Radiallahu anhuma Azmayeen Hai
Aur inke baad se afzal Hazrat Maula Ali, Hazrat Talha, Hazrat Zubair, Hazrat Abdul Rehman bin Auf aur Hazrat Aminul Ummat Abu Ubaida bin Jarrah Radiallahu anhuma Azmayeen Hai
Aur Wo sahabi jinhe Nabi E Karim ﷺ ki sohbat me ek lamha, ek din, ya ek saal ya usse jayada guzara hum un per rehmat ki dua karte hai aur unke fazail bayan karte hai
Aur unke ektelafat ke mutallik khamoshi rakhte hai aur unme se har ek ka tajkira bhalai aur khair se karte hai
Rasool Allah ﷺ ka irshad hai jab mere sahaba ka tazkirah ho toh apne aap ko rok lo.
Hazrat Shaykul Islam Sufiyan bin Uyayna Rahmatullah Alaih kehte hai jo koi sahaba e kiram me se kisi ke khilaf kehta hai wo shaksh ahle biddat me se hai aur apne nafs ka peroh hai.
(Shara Us Sunnah Lil Barhari page 75 - 77 Raqam 28)
Scan page
Imamu Mansoor Al Samarkandi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 333 Hizri)
"Ambiya Wa Mursaleen Kay baad afzalul bashar Syedna Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Hai, Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Nabi ﷺ Aur Mursaleen kay baad kisi par naa to suraj tulu huwa aur naa hi gurub huwa ki woh Abu Baqr Radiallahu Anhu Se Afzal Ho”
(Shara E Fiqh Ul Akbar Lil Imam Abu Mansoor Al Samarkandi, Pg :136)
Imam Muhammad Abu Baqr Al Ajurri Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 360 Hizri) Jo Makkah E Muazzama Haram Sharif Kay bade mashoor Muhadis Aur Imam Ul Haram Bhi Rahe Aap Rahmatullah Alaih Kay Hi Mashoor Shagird Hai Imam Abu Nauyam Asbahani Rahmatullah Alaih
Imam Al Ajurri Rahmatullah Alaih Apni Mashoor Kitab Al Shariya Me likhte hai Aap Rahmatullah Alaih Ek Baab Kayam Karte Hai
Kitab : Mazhab E Ameerul Momineen Ali Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu Fi Abu Baqr, Umar, Usman Radiallahu Anhuma Azmayeen,
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ka Mazhab Khulfa E Salasa Ke Baare Me
Imam Ajurri Rahmatullah Alaih Farmate Hai Ek Shaksh ne Mujhse Sawal Kiya Kay Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ka Mazhab khulfa E Salasa Kay Baare Me Kya Tha ?Unki Qadr Manjilat Kay Bare Me Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ka Kya Mazhab Tha ?
Imam Ajurri Rahmatullah Alaih Ne Ek Jabardast Jawab Likha Hai Jiska Khulasa Ye Hai kay Maula Ali Radiallahu Anhu Khulfa E Salasa Kay Muhib they unke Khilafat ko haq tasleem kar unki pairiwi karte rahe aur uska hi hukm diya unke fazail bayan kiye.. (tafseel pg 412 me padh sakte hai)
Aage Imam Ajurri Rahmatullah Alaih Likhte hai
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ne Huzoor Nabi E Karim ﷺ Kay Hawale Se in Hazraat Kay Fazail Bayan Kiye Hai, Mutadid Mauke Par Logoń ko Khutba Dete huwe In Hazrat ki qadr wa manjilat ka zikr kiya hai, aur jo log inke mukhalifeen hai unki majammat bayan ki hai unke dushmano se laa talluki ka izhar kiya hai,
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ne In Hazraat ki Sunnat Aur Seerat Ki Pairwi Ka hukm diya, Pass Allah Pak In Charo Afrad Se Raazi Huwa, Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya In Charo Afrad Ki Muhabbat Kisi Momin Kay Dil Me Hi Ikhatta Hosakti Hai Abu Baqr, Umar, Usman Aur Ali Radiallahu Anhuma Azmayeen.
Imam Ajurri Rahmatullah Alaih Farmate Hai To Koi Parhezgar Momin Hi Unki Muhabbat Rakhega jise Allah Taala Ne Haq ki taufeeq Ata Ki Ho, Aur Unki Mohabbat Se Wo Shakhs Piche Rahega Ya Unme Se Kisi Ek Ki Muhabbat Se Wo Shaksh Piche Rahega Jo Badnasib Hoga Aur Haq Kay Raste Se Bhatak Chuka Hoga.
In Hazrat Kay Baare Me Hamara Mazhab Ye Hai Kay Hum Khilafat Aur Afzaliyat Kay Aitbaar Se Is Baat Ke Kayal Hai Ke Pahle Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Phir Hazrat Umar Radiallahu Anhu Phir Hazrat Usman Radiallahu Anhu Aur Phir Maula Ali Radiallahu Anhu Hai.
(Imam Al Ajurri Kitab Al Sharriya Vol : 03, Pg : 412-413) Scan Page
Aaj kitne hai aise dawa Hubbe Maula Ali Radiallahu anhu ka hai aur asl me deegar sahaba kay fazail bayan karo to chahra bigad jata hai.
"Aur wo gawahi dete hai aur is baat ka aqeedah rakhte hai ke beshak Rasool Allah ﷺ ke sahaba me se sab se jayada afzal Abu Baqr Siddique phir Hazrat Umar phir Hazrat Usman phir Hazrat Maula Ali Radiallaho tala anhuma azmayeen hai"
(Al Aqidatu Salaf Wa As-hab-ul-hadith, Pg :127)
Kitab Tamheed Me Likhte hai
"Ahle Sunnat Wa Jamat Farmate Hai Nabiyon Rasoolo'n farishto ke baad makhlook me sabse afzal Hazrat Abu Bakr Siddique Hai, Phir Hazrat Umar, Phir Hazrat Usman aur Phir Hazrat Ali Radiallahu Anhuma Azmayeen hai,
Hazrat Imam Abu Hanifa Radiallahu Anhu se Marvi hai ke Aap ne farmaya Ke Sunnat Se Sabit hai ke Shaikhen (Abu Bakr O Umar) ko fazilat do aur Khatnain ( yaani dono damad Usman Aur Ali) se muhabbat karo" Rizwanullahim Azmayeen
(Imam Abu Shakur Salimi, Tamheed Fi Tawhid Al Bayan, Pg : 364 Mutarjim Farid Book Depot)
Scan Page
Imam Abu Hamid Muhammad Ibn Muhammad Al Ghazali Shafai Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 505 Hizri) Apni mashoor kitab Ihya Ul Uloom me Aqaid bayan karte hai
"Har bande ko sahaba e kiram aur unke bitarteeb fazilat ka bhi aiteqad rakhna jaruri hai aur ye Kay Huzoor Nabi E Karim ﷺ kay baad logo me Afzal Tareen Hazrat Ameerul Momineen Abu Baqr Sididque, phir Hazrat Umar ibn Khattab, Phir Hazrat Usman E Gani Aur phir Maula Ali Radiallahu Anjuman Azmayeen, Neez Tamam Sahaba E Kiram Kay baare me husn aur jann rakhna lazim hai aur in hastiyon ki tarif aur taukir issi tarah bayan karen jis tarah Allah Pak aur Uske Rasool ﷺ ne inki tareef aur taukir bayan farmayi"
(Ihya Ul Uloom Vol : 01, Page : 110,Baab Al Aiteqad, Print : Dar Al Ibn Hajam)
Scan page
Shaykul Islam Imam Abu Qudamah Hanbali Al Maqdasi Rahmatullah Alaih (Al Mutawaffa 620 Hizri) likhte hai
"Aap ﷺ ki ummat me sabse Afzal Hazrat Abu Baqr Sididque Radiallahu Anhu Phr Farooqui E Azam Radiallahu Anhu phir Hazrat Usman Zunnurain Radiallahu anhu phr Hazrat Ali E Murtaza Radiallahu Anhu hai"
(Lum'at ul-Itiqad pg : 18 )
Scan page
Imam Abdur Rahman Jalaludin Suyuti Shafai Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 911 Hijri)
""Ahle Sunnat Ka Is Baat Par Izma Hai Kay Ambiya Kay Baad Tamam Aalam Se Afzal Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Hai, Inke Baad Hazrat Umar, Phir Hazrat Usman Phir Hazrat Ali Ibn Abu Talib Inke Baad tamam Ashra E Mubasshara (baaki 6 Jannati Sahabi) Inke baad Ahle Badr, Inke Baad Ahle Uhad,Inke baad Ahle Bait phir Tamam Sahaba Yeh Izma Abu Mansoor Baghdadi ne Naql kiya hai""
(Tarikhul Khulfa pg :121)
Scan page
"Ambiya Alaihmusalam kay baad afzalul bashar Abu Baqr Sididque Radiallahu Anhu Ki jaat hai"
(Minah Al Rawdal Azhar Fi Sharh Al Fiqh Al Akbar Pg : )
(Minah Al Rawdal Azhar Fi Sharh Al Fiqh Al Akbar Pg : )
Hazrat Shah Abdul Haq Muhadis Dahelvi Hanfi Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 1052 Hizri Farmate hai
"Dusre Makam par ye bhi kay un khulfa Alaihim Warijwaan ki afzaliat unke khilafat ki tarteeb se shuru ki jaaye, yaani sab Sahaba me sabse afzal tareen Syedna Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu phir Hazrat Umar Radiallahu Anhu Phir Hazrat Usman E Gani Radiallahu Anhu Aur phir Maula Ali Radiallahu Anhu hai Allah Pak Kay nazdeek Afzaliat sawab ki zyadati Kay peshe nazar hai"
(Takmeel Ul Imaan Pg 187)
Scan Page
Ye kahna kay khilafat me Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Afzal hai Aur Batini Me Maula Ali Radiallahu Anhu unse arz hai Kya unhone Siddique E Akbar Radiallahu Anhu ki afzaliat ko dilse batini taur pe tasdeeq nhi Kiya hai ?
Imam Ibn Majah Sunan Me Hadees bayan karte hai Maula Ali Radiallahu Anhu se rivayat hai Nabi E Karim ﷺ ne irshad farmaya Imam Dilse pahchana, zuban se iqrar karna aur arkan par amal karna.
Sunan Ibn Majah Hadees:65
Bayhaqi Shoebul Iman Hadees : 16
Tabrani Al Mujam Al Awsat Hadees : 2654
Lihaja afzal Tasdeeq e qalb se maano jaban se sirf nahi
Hazrat Peer Maulana Fakharudin Chisti Nizami Alaihrehma (Al Mutawaffa 1199 Hizri) apne ek kitab likhi Aqaid E Nizamiya
"Logo Me sabse buzurg baad wajud Mubarak Hazrat Rasool E Khuda ﷺ kay Hazrat Abu Baqr Sididque Ibn Kahafa Hai, Inke baad Hazrat Umar Ibn Khattab hai, inke Baad Hazrat Usman Ibn Affan hai aur Inke baad Hazrat Ali Ibn Abu Talib Hai Rizwanallihim Azmayeen)
(Nizam Ul Aqaid Al Maroof Aqaid E Nizamiya Pg : 35,Aqaid Number : 49)
Scan Page
Hazrat Shah Abdul Aziz Muhadis Dahelvi Hanfi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1239 Hizri) Apni Quran Ko Tafseer Me Irshad Farmate hai
Afzalul Bashar Baad An Nabi Alaihsalam Hazrat Siddique E Akbar Radiallahu Anhu
"Aur ahle sunnat wa jamat ne is lafz ke sath Ambiya Alaihsalam ke baad jo ke khariz az bahes hai Hazrat Abu Baqr Siddique رضی اللہ تعالی عنہ ke sari ummat se afzal hone ki daleel Pakdi hai aur daleel is tarha pakdi hai ke Hazrat Abu Baqr Siddique رضی اللہ تعالی عنہ ko allah tala ne Atka farmaya jab ke dusri ayat me farmaya hai اِنَّ اكْرَمَكُم عِنْدَ اللّٰهِ اَتقكُم , toh dono ayat me majmu takaze ke mutabik sabit hua ke Hazrat Abu Baqr Siddique رضی اللہ تعالی عنہ ke han akram al nas hone aur afzaliyat ka mane yehi hai"
(Tasfeer E Azizya Vol : 04, Pg : 399 Teeswa Parah)
Scan Page
"Mohqeeqin Ne Wazahat Ki Hai Ke Jis Fazilat Par Yaha Behas Ho Rahi Hai Is Se
Muraad Kasrat E Sawaab Hai Yani Acche Aamal Ki Jaza. Yaha Nasbi Sharf Ki Baat Nahi Ho Rahi Warna Nabi Karim صلى الله عليه وسلم Ke Shehzade Bhi Dusre Ambiyah Se Bad Jayege.
Yaha Zahiri Ibadat Ki Baat Bhi Nahi Ho Rahi Isliye Ke Sawaab Ibadato Ki Miqdar Ke Mutabiq Nahi Mila Karta.
Aaj Hum Ohad Pahad Ke Barabar Sona Bhi Allah Ki Rah Me Kharch Kar De To Sahaba Ke Ek Ser Jau Ki Barabar Bhi Nahi Ho Sakta Jaisa Ke Hadees Sharif Me Iski Tasrih Maujud Hai.
Is Me Raz Yeh Hai Ke Bhalayi Ka Daromadar Ikhlaas, Allah Ki Mahabbat Aur Daimi Huzuri Par Hai. Un Chizo Ka Taluq Aamal Ki Zahiri Miqdar Se Nahi Balke Batani Aur Ruhani Muqaam Se Hai. Isi Wajh Se Hazrat Abu Bakar Sidiq Ke Bare Me Yeh Farmaan Maujud Hai Ke Abubakra Tum Logo Se Namaz Roza Ki Kasrat Ki Wajh Se Aage Nahi Nikla Balke Us Chiz Ki Wajh Se Aage Nikla Hai Jo Uske Dil
Me Saja Di Gayi Hai. Badi Wajeh Si Baat Hai Ke Kasrat E Sawaab Ke Bare Me Nabi Karim صلى الله عليه وسلم Ke Siwa Koi Nahi
Bata Sakta. Aur Is Me Aqal Aur Zahiri Manaqib Ka Koi Dakhal Nahi. Yeh Batein Achhi Tarah Samj Lo, Un Se Shia Ke Beshumar Shubhhat Hal Ho Jayege
(Nibras Shara E Aqaid E Nasafi Pg : 641)
Scan Page
Jo log Afzaliat kay masle ko Jahir Khilafat Aur Batini Khilafat ki taqseem Kay jariye alag alag batane pe lage hai unhe is baat ko samajna chahye
Kya Nabi E Karim ﷺ ne Siddique E Akbar Radiallahu Anhu ko afzal Khalifa E Awwal ban ne kay baad banaya hai yaa apni hayat E Zahiri me hi unki mutlak Afzaliat ka ailan kiya tha
Note : Yahan Masla Juzwi Fazilat ka nahi hai aksar log baaj Juzwi fazilat ko saamne laate hai aur uske jariye afzaliyat saabit karne lagte hai jo siwaye dandi Marne kay aur kuch nhi
Imam Ul Mujahideen Fazle Haq Khairabadi Hanfi Chisti Rehmatullah (Al Mutawaffa 1278 Hizri) Likhte hai
"Ahle Sunnat Kay tamam aslaaf wa Khulfa ka is baat par ittefaque hai kay Hazrat Shaykhen Yani Siddique E Akbar Aur Farooque E Azam Radiallahu Anhuma Azmayeen Ambiya E Kiram alaihsalam Kay baad tamam insano se afzal hai"
(Fazle Haq Khairabadi kitab : Imt Un Nazeer Pg 316)
Scan page
Hazrat Allama Maulana Taj Ul Fahool Abdul Qadir Badayuni Qadri Rahmatullah Alaih (Al Mutawaffa 1319 Hizri)
Apni kitab Ahsan Ul Kalam Fi Tahqeeq Aqaid Ul Islam Al Maroof Islam Kay Buniyadi Aqaid me baab kayam karke likhte hai
Sahaba E Kiram Ki Tazeem Aur Unke Sharf Wa Fazilat Ka Aqeeda
"Hum Aqeedah Rakhte Hai Kay Allah Aur Rasool ﷺ Kay Hukm kay mutabik Tamam Sahaba ki muhabbat wa tazim wajib hai.
Hum Aqeedah Rakhte hai Kay Maane Mazkur kay aitbaar Indallah Aur Indal Muslemin Auliya E Kiram Me sabse Afzal Hazrat Abu Baqr Sididque Radiallahu Anhu Hai, aur phir Hazrat Umar Farooq E Azam Radiallahu Anhu hai, phir Hazrat Usman Zunnurain Radiallahu Anhu hai aur Phir Hazrat Maula Ali Karamallahu Wajhahu Radiallahu Anhu hai"
(Ahsanul Kalam Fi Tahqeeq Aqaid Ul Islam, Pg :34)
Scan page
Syed Aale Rasool Abul Hussain Ahmad Noorie Miya Barkati Rahmatullah Alaih (Al Mutawaffa 1324 Hizri)
TAFZEEL KI TAFSEEL baab Kay Tahet likhte hai
"Sahaba tamam ummat me sab se afzal hai aur sahaba me sab se afzal aur Allah paak ke nazdik rutba aur izzat me sab se jayada aur khuda se bahot nazdik Hazrat Abu Baqr Siddique hai, fir Hazrat Umar Farooq , fir Hazrat Usman Gani fir Maula Ali, Aur afzal ke ye maina hai ke auro se rutba me bada aur khuda ke yaha Izzat wa wazaat wa sawaab wa karamat me jayada ho. Hum sunni in bato me Hazrat Siddiq E Akbar ko ambiya wa murasleen Alaihmusalam ke baad tamaam jahan se badh ker mante hai.
Shia Hazrat Maula Ali Radiallahu Anhu Ko.
(Al Aslul Musaffa Fi Aqaa'id-E-Arbab-Sunnatil Mustafa {Imaan aur Bunyadi Aqaid ka bayan Al Maroof Al Aqaid E Ahle Sunnat} Pg : 24)
Scan Page
Ye Aqeeda Silsila E Barkatiya Noorie Kay Aqabireen ka hai aur agar aaj ka koi peer jo khud ko wahan se mansoob kare aur unke murideen is masle ko ektelafi masla kahke logo ko ahle sunnat Kay rawish se hatane ki koshish kare to samjha jaa sakta hai Kay wo kaise Ahle Sunnat kay libas me Shia Fikr ki tarjumani karne beth chuke hai.
Aale Rasool Huzoor Sadrul Afazil Hazrat Syed Naimuddin Muradabadi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1367 Hizri) Apni Mashoor Kitab Sawaneh Karbala Me Likhte hai
"Ahle Sunnat Ka Is Baat Par Izma Hai Kay Ambiya Kay Baad Tamam Aalam Se Afzal Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Hai, Inke Baad Hazrat Umar, Phir Hazrat Usman Phir Hazrat Ali Ibn Abu Talib Inke Baad tamam Ashra E Mubasshara (baaki 6 Jannati Sahabi) Inke baad Ahle Badr, Inke Baad Ahle Uhad,Inke baad Ahle Bait phir Tamam Sahaba Yeh Izma Abu Mansoor Baghdadi ne Naql kiya hai"
(Sawaneh Karbala, Pg : 38-39)
Scan Page
Dusri Ek Aur Mashoor Kitab me Hazrat Syed Sadrul Afazil Rahmatullah Alaih Likhte Hai
"Ambiya Alaihsalam Kay baad Sabse Afzal Hazrat Abu Baqr Siddique Hai,
Aap Radiallahu Anhu Kay Baad Hazrat Umar Ibn Khattab Radiallahu Anhu Ka Martaba Hai
Aap Radiallahu Anhu Kay Baad Khalifa E Saum Hazrat Usman Ibn Affan Radiallahu Anhu Ka Martaba Hai
Aap Radiallahu Anhu Kay Baad Sabse Afzal Khalifa Charum Ameerul Momineen Hazrat Ali Ibn Abu Talib Radiallahu Anhu Ka Martaba Hai"
(Syed Naimudeen Muradabadi, Kitabul Aqaid Pg : 14)
Hazrat Syed Hasnain Miya Nazmi Barkati Rahmatullah Alaih (Al Mutawaffa 1435 Hizri) apni mashoor kitab Kya Aap Jante Hai me likhte hai
"Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Ki shaan ye hai kay Aap Radiallahu Anhu ko Afzalul Bashar baad al ambiya kaha gaya hai, Yaani Nabiyo kay baad insano me sabse afzal.
Nabi E Karim ﷺ ka irshad hai Mai Kisi Ko nahi janta mere nazdik rifaqat me ahsanat Kay aitbaar se Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu se afzal ho"
(Kya Aap Jante Hai Pg : 260)
Scan Page
"Tamam Sahaba E Kiram Me Sabse Afzal Syedna Abu Baqr Sididque, Phir Hazrat Farooque E Azam, Phir Hazrat Usman Gani, phir Hazrat Maula Ali phir Baaki Ashra E Mubasshara"
(Fazail E Sahaba Wa Ahle Bait Pg : 01)
Scan Page
Assalam o Alikum