Mukhtar Saqafi Is shaks kay baare me Shia ne to behaad gulu kiya hai aur isko aisa hero maante hai jaisa kisi aur ko nahi aur khud shia qutub me mauzud hai kay ye ek kazzab siyasi shaksh tha khair shia jo maane hume garz nahi magar Ahle Sunnat Wa Jamat ka muttafiqua faisla hai kay Shuhda E Karbala kay baad isne un tamam qatileen Ibn Ziyad aur deegar ko maara aur iske sabab ye bada mashoor bhi huwa magar shohrat milte hi isne baad me Nabuwat ka dawa kiya Aur Hazrat Musaab Ibn Zubair Radiallahu Anhu ne isko qatl kiya or Shia ke chakkar me bhout sare sunni Kam Ilmi isko Achha samjhte hain
Khud ko sunni kahne wale kuch Makkar ka kahna hai kay isne aisa koi dawa nahi kiya bichare Kam Ilmi sunni isme Fas jaate hain or Shia ne is KazAb Mukhtar Saqfi par ek puri series banayi hain Mukhtar Nama ke naam se jisme is kazzab mukhtar Saqfi ko hero batane ki koshish ki hai.
Khair Shia Isko Kuch bhi maane hume unse unke dalail se koi garz nahi hai magar Ahle Sunnat me to iske baare me ittefaque hi raha hai kay isne dawa e Nabuwat kiya tha.
Aqsar logo ka kahna Hai kay isne itna bada kaam kiya hai ye kaise raah e haq se bhatak sakta hai, Ye baat ek laa ilm shaksh hi karega Shaitan Farishto ko padhata tha bahut ALLAH wala tha Ibadat guzaar tha magar uski ana aur ghamand ne usko kafir kiya, Ye bas ALLAH ka Fazal hai jo banda sahih raah par kayam rahe, warna koi aisa kanoon shariat me nahi hai kay koi shaks bada kaam kare to wo gumraah nahi ho sakta .
Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 256 Hizri apni Sahih me hadees rivayat karte hai:
Yaani kabhi kabhi aisa hota hai kay ALLAH Taa’la galat logo se bhi accha kaam le leta hai. ALLAH TAALA HUM SABKA IMAN PAR KHATMA FARMAYE
Sahih Bukhari, Kitab Al Maghazi, Baab Ghazwa E Khaybar, Hadees : 4203)
Hazrat Asma binte Abu Baqr رضي الله عنها Farmati hai Hajjaj ibn Yusuf Se Suno Rasoolullah ﷺ Ne Hume Bataya Tha Kay Banu Thaqif me ek Bahut Bada Kazzab hoga aur bahut bada Saffaq hoga Kazzab (Mukhtar Saqafi) ko to humne dekh liya aur Saffaq to mai nahi samajhti kay tere elawa koi aur hoga, Ye Sunke Hajjaj Wahan Se uth khada hua aur unhe koi jawab naa de saka”
(Sahih Muslim, Kitab Fazail E Sahaba, Pg 1261, Hadees : 6391{2541})(Imam Ahmad Musnad Ahmad Vol : 07, Pg : 752, Hadees : 26727)
Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله عنه Se marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Banu Thaqif me Ek Jhoota Aur Halak Karne Wala Hoga. Imam Tirmizi Farmate Hai Kazzab Aur Jhute Se Murad Abu Ubaid Muqthar Saqafi Hai Aur Halak karne Wale Se Murad Hajjaj Ibn Yusuf hai
(Sunan Tirmizi, Kitabul Fitan, pg : 501, Hadees : 2220
Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله عنه bayan karte hai Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya Thaqif kabile me ek Shaksh Kazzab Aur Ek Jalim Hoga, Abdullah bin Asma ne kaha Kazzab Se Muraad Mukhtar Ibn Abu Ubaid Aur Jaalim Se Muraad Hajjaj Ibn Yusuf Hai
(Mishkat Al Masabih Vol 03, Baab Manaqib Al Quraish, Pg :1689, Hadees : 5984) Scan page Sahih Hadees Tehkeek
Mukhtar Thaqafi Jo Ahl e Bait ke qatilo se badla lene ke liye mash’hoor hai, bad me usne khud Nabi hone ka dawa kardiya aur kafir hogaya
Ref: Imam Haitami – Al Sawaiq ul Muhriqa page 542
Hazrat Abdullah ibn Zubair رضي الله عنه Se Rivayat hai Kay Rasool E Karim ﷺ Ne Farmaya Kayamat Us waqt tak kayam nahi hogi jab tak 30 Kazzab wa Dajjal naa nikal aayen, Unhi me se Musailma Kazzab, Aswad Al Ansi Aur Mukhtar hai”
(Imam Bayhaqi Dalailul Nabuwah, Vol : 06, Pg : 481)(Imam Ahmad Ibn Hanbal Vol : 06, Pg : 45, Hadees : 6786 Musnad ibn Zubair Radiallahu Anhu)(Hafiz Ibn Kathir Mozejat Un Nabi Pg : 179)
Hazrat Maula Ali رضي الله عنه ne Farmaya:Allah usey(Mukhtar Saqafi) ko Halaak kare ke wo Hamara Ta’alluq Kasbiyo se Batata hai ! Agar Uska Dil Cheer Kar Dekha Jaaye to Laat aur Uzza ki Mohabbat se Bhara hoga”.
Ref: Al isaaba, Harf Meem, Page no.1377.
Imam Ibne Hajar Asqalani Likhte hai :* Mukhtar Saqafi ne Hazrat Abdullah ibne Zubair Ka Saath Chhod Diya aur Phir Hazrat Husain Ke Khoon ke Mutalbe ka Dhoka deta tha, Duniya Talbi se Khush hota tha, Jhooth aur Junoon se Bhari Baatein karta tha”
Ref: Al isaaba, Harf Meem, Page no.1377.
Hazrat Ubaida Salmaani رحمتہ اللہ علیہ ne hadees bayan ki 30 dajjal wali phir Hazrat Ibrahim Ibn Nakhai رحمتہ اللہ علیہ Ne Kaha Aye Ubaida رضي الله عنه Kya Aap Mukhtar Saqafi ko unhi me se samajhte hai to unhone kaha Ye to Uske Sardaro me se hai”
(Sunan Abu Dawood, Pg : 542,Kitab Al Malahim, Hadees : 4335)
Hazrat Rifa’ah ibn Shaddad Al Qitbani Radiallahu Anhu Kahte hai Agar Wo Hadees Naa hoti jo maine Hazrat Amr Ibn Hamik Khuzayi Radiallahu Anhu Se Suna tha, To Mai Mukhtar Saqafi ka Sir uske jism se alag kar deta, Maine Hazrat Amr ibn Hamik Radiallahu Anhu Ko ye Kahte suna Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya hai Jisne Kisi Ko Jaan ka Aman diya Phir usko Qatl Kar diya to kayamat kay din dagabaaj ka jhanda uthane wala hoga”
(Imam Ibn Majah Kitabul Diyaa’t,Vol :03, Pg : 693, Hadees : 2688)
(Wahabi Naseerudin Albani Al Silsila Sahih, Hadees : 1679)
Mukhtar bin Abu Ubaid Saqafi ibtedayi Daor me Naasbi tha aur Hazrat Ali se Shadeed Bughz rakha karta tha, Ulama ne kaha hai ke Kazzaab Se Murad Mukhtar Saqafi hai, Apni Shiy’at ko Zahir karta tha, iske Khaslat me Ek baat Ye bhi thi ke Kehta tha ke Mujh Par Wahi Utarti hai, isme Shak nahi ke Ye Khud bhi Zalaalat par tha aur Dusron ko bhi Zalaalat me Dakhil karne wala tha”
Ref: Al Bidaya Wan Nihaya, Vol 12, Pg no.65 & 71.
Hazrat Aamir Bin Shaddad رضي الله عنه Farmate hai Mere dil me Mukhtar kay baare me kuch shaq tha Mukthar ne farmaya Abhi Jibrail Alaihsalam mere saath khade they aur maine irada kiya ki uski gardaan udha doon hatta k phir Nabi E Akram ﷺ ki hadees yaad aayi Jisne Kisi Ko Jaan ka Aman diya Phir usko Qatl Kar diya to kayamat kay din dagabaaj ka jhanda uthane wala hoga”
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 404, Hadees : 8121)
(Imam Zahbi Siyar Al’am Al Nubala Vol : 03, Pg : 531)
Assalam o Alikum