Sabse pehle ye Janna Zarrori Hain ki Sulhakulli kise kehte hai.
Sulhakulli pilpile use kehte hain jo Haq baat nahi kar skte wahabi Deobandi shia Tamam Batil Firqo ki Gustaaqiya Janne ke baad bhi unhe Musalman smjhe unse Ristedariyaan kare unse dosti kare or unke sath mil ke Rahe yani jo sabhi ko ek Mane Haq or batil sabhi ko ek Mila kar Rakhe Maazallah استغفراللہ
Jabki Qur’an kya Farmata Hain Dekhe
Sureh Baqarah Ayat No.42
وَ لَا تَلۡبِسُوا الۡحَقَّ بِالۡبَاطِلِ وَ تَکۡتُمُوا الۡحَقَّ وَ اَنۡتُمۡ تَعۡلَمُوۡنَ ﴿۴۲﴾
Kanzul Iman Translation
Aur Haq Se Baatil Ko Na Milaao Aur Deedah Wa Daanista (Jaan Boojh Kar) Haq Na Chhupaao.
Qur’an To Farmaye Raha hain Haq ko Batil se na Milao lekin ye Sulhakulli Pilpile kehte hain sab ek jao
Sulhakulli pilpile ye bhi kehte hain Ki Har kalma padhne wala insaan Musalman Hain chahe uske Dil me kuch bhi ho lekin har kalma padhne wala musalman hain
Jawab : Zubaan se kalma to wo Munafiq bhi padte the jinko Huzoor ﷺ ne Masjid E Nabwi Shareef se bhagaya tha . Ye Munafiq sirf Dekhane ke liye Kalma padhte the or pith piche huzoor ﷺ ki burai karte the or yahi Aaj ke Wahabhi deobandi karte hain kalma to ye bhi padte hai lekin inke Akabireen ne Hamare Aaqa o Maula ﷺ ki Shaan me kitni gandi Gandi Gustaaqiya ki hain.
HAZRAT ABDULLAH IBNE ABBAS رضي الله عنه Farmate Hain Ke, RASOOL ALLAH ﷺ ne Juma Ke Din Jab Khutba Ke Liye Khadey Huye To Farmaya Aye Falaan Tu Munafiq Hai Lehaza Masjid Se Nikal Ja, Aye Falaan Tu Bhi Munafiq Hai Lehaza Masjid Se Nikalja.
HUZOOR NABI KAREEM ﷺ Ne Kayi Munafiqo Ko Naam Lekar Nikala Aur Inko Sabke samne Ruswa Kiya Is Juma Ko HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه Abhi Masjid Me Hazir Nahi Huae Thi Kisi Kaam Ki Waja Se Der Hogayi Thi.
Jab Wo Munafiq Masjid Se Nikal Kar Ruswa Hokar Ja Rahe The To HAZRAT SYEDNA FAROOQ E Azam رضي الله عنه Masjid Aaa rahe the ap sharam Ki Waja Se Chup Rahe The Ke Mujhe To Der Hogayi Hai Shayad Juma Hogaya Hai.
Lekin Munafiq HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه se Apni Ruswayi Ki Waja Se Chup Rahe The Phir Jab HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه Masjid Me Dakhil Huye To Abhi Juma Nahi Hua Tha Baad Me Ek Sahabi Ne Kaha Ke Aye Umar Tujhe khushkhabri Ho Ke Aaj ALLAH TA’ALA Ne Munfaiqo Ko Ruswa Kardiya Hain
Reffrence: (Tafseer Ibne Kaseer) (Musnad E Ahmed Bin Hanbal)
Bad Mazhab o se Dur Rehne Ka Hukm khud Hadees me Maujood Hain
TABAI HAZRAT ABU QELABA AL MUTAWAFFAH 104 HIJRI FARMATE HAI:-
BAD MAZHAB Walon Ke SATH MAT Baitho Aur Unke Sath BaHES NA KARO KYUN Ki Mujhe US BAAT KA ANDESHA HAI Ke Wo Log Tumhe Bhi APNI GUMRAHI ME SHAMIL Kar Lenge YA TUMHARE AQAID KE BARE MEIN TUMHE SHUBA MEIN DAAL Denge
[REF:SUNAN AD-DARMI VOL 1 RAQAM 391]
KUCH LOG KEHTE HAI FIRQE NA BANAO, AGAR WAPAS DUNIYA PAR GHALIB HONA HAI TO SAB EK HO JAO Par Jinhone Bait ul Muqaddas ko Isaio (Christian’s )se wapas fatah kiya, Wo Sultan Salahuddin Ayyubi رحمتہ اللہ علیہ jab apne riyasat me kisi Ziddi bad-mazhab (jo Ahle Sunnat ke Aqaid se alag Aqidah rakhta us) ke bare me sunte to foran use Qatl karne ka hukm
Ref: Sultan Salahuddin Ayyubi by Dr Sallabi 2/75
Suleh Kulli Kahete Hai Ki Sub Ummat Ek Hojao Ek Hone Ka Naara Lagate Hai Kahete Hai Ki Hume Ek Musalman Hone Ki Zarurat Hai Firqo Me Na Bato Aor Khud Ahelesunnat Ke Khilaf Hote Hai Aor Baki Dusre Friqo Se Lagao Hota Hai Isiliye Kahete Hai Ki Ek Hojao Ek Hojao Jabke Unke Liye Khud Rab Tabarak Wa Tala Quran Paak Me Faramaraha Hai
وَ لَوْ شَآءَ رَبُّكَ لَجَعَلَ النَّاسَ اُمَّةً وَّاحِدَةً وَّ لَا یَزَالُوْنَ مُخْتَلِفِیْنَ
(Surai Hood: Aayat-118)
Tarjuma-e-Kanzul Iman :- Aor Agar Tumhara Rab Chahata To Sub Aadmiyo Ko Ek Hi Ummat Kardeta Aor Woh Humesha Ikhtilaf Me Rahenge.
“Discussion”
Ab Rab Ne Chaha Nahi Isliye Ummat Ek Nahi Ho Sakti To Tere Chahane Se Kya Hoga Aye Sulehkulli Yani Inke Chahane Pe Rab Ke Chahane Ko Tarjee Derahrahe Yeh Jahil
Aor Wese Bhi
Rasoole Paakﷺ Ko Murda Manne Wale Jahnnami 72 Firqe Aor 1 Jannati Firqa Ahelesunnat Wal Jamat Maslake Aala Hazrat Wale Kabhi Ek Nahi Ho Sakte Ab Jo Ek Ummat Karna Chahte Hai Unhone Quran Paak Ki Is Aayat Mubarak Ka Inkaar Kiya Aor Quran Paak Ki Ek Aayat Ka Inkar Bhi Kufr Hai.
Imam E Azam Abu Hanifa رضي الله عنه Farmate Hain :
Badmazhab ke peeche Namaz na padho
Al Binayah Sharah Hidaya 2/333
Imam Shafai رحمتہ اللہ علیہ LIKHTE hain :
Bad Mazhab ke Peeche Namaz na padho
Siyr Aalam Un Nabala 2/417
Imam Malik Apni kitab me likhte Hain :
Bad Mazhab ke peche namaz na Padho
Sharah Kabir 2/418
Imam Ahmed bin Hanbal رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hain :
Bad Mazhab ke Peeche Namaz na padho
Masail li Ismael Kirmani 1/565
KHUDA KE DUSHMANO KO KUTTO KI TARAH DOOR RAKHA JAYE
unse dosti aur Muhabbat Khuda aur Rasul ﷺ ki dushmani tak pohcha deti hai, (Bad-Mazhabo ke kalme aur namaz ko dekh kar) admi guman karta hai ke wo Musalman hai (Isliye unse dosti aur rishtedari karta hai) lekin wo nahi janta ki is Tarah ki behuda harkat uske Islam ko barbad kar deti hai
-IMAM RABBANI MUJADDID E ALF SAANI
REF: AL MAKTOOB DERIVED FROM FROM BOOK BAD-MAZHABO SE RISHTE BY MUFTI JALALUDDIN AMJADI PAGE 12-13
Jo kisi Bad-Mazhab (biddati) ko kaan laga kar sune, wo Allah ki hifazat se nikal diya jata hai, aur Bid’at ke taraf muqarrar kardiya jata hai-Sayyiduna Sufyan Sawri
Ref: Imam Al-Barbahari (349 Hijri) – Sharh Sunnah pg 133
Bad Mazhabo ke bayan sunna jayaz nahi chahe shehed jaisa meetha hi kyu na bole
Ghaus e Azam bhi jinki Taqleed karte the, Wo Imam Ahmad bin Hanbal se kisi ne sawal kiya : Hazrat Muawiya ko bura kehne wale ke piche
Namaz parhna chahiye? Imam Ahmad ne farmaya: “Uske piche Namaz nahi parhna aur na uski izzat karna”
Ref: Imam Ibn Hani (265 Hijri) – Masail Imam Ahmad 1/60
Agar koi sahabhi E Rasool ka Gustaaq ho to uske peeche Namaz padhna jayez nahi to Jo Wahabhi deobandi Nabi ﷺ ke Gustaaq hain Allah ﷻ ke Gustaaq hain unke peeche Namaz padhna kaise jayaz ho jayega isliye Bad Mazhabo ke peeche Namaz padhne se Bache
Aaj Ham Kisi Wahabhi Deobandiyo Qadiyani shia ka radd karte h unki Gustaaqiya logo ko btate hain to In Sulhakulli pilpilo ko bhout bura lagta hain or ye bolte Hain kisi ki burai mat Karo geebat mat karo jabki Bad Mazhab ka Aib btana Geebat nahi hota hain
Tabi’i, Sayyiduna Ibrahim A Nakha’i il رضي الله عنه ne farmaya:
“Gumrah firqo ki pairwi karne walo ke aib bayan karna gheebat nahi hain
Sharh Usool Aqa’id, 1/140
“Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله عنه Se Rivayat hai Nabi E Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya Qadariyyah (Taqdeer Kay Munkir) Is ummat kay Majoosi hai Agar wo bimar ho to unki iyadat ko naa jao aur agar mar jaaye to unke janaze me Sharik mat ho”
(Sunan Abu Dawood, Pg :768, Kitabul Sunnah, Baab Hadees : 4691)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Musnad, Vol : 02, Pg : 86/125, Hadees : 5584/6077)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat, Vol : 05, Pg : 114, Hadees : 4217)
(Khateeb Tabrezi Mishkal Al Masabih, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 107)
Sulhakulli pilpile Ye bhi ek Aitraaz karte hain ki agar koi mar gya to uske Janaze me Jao uski Namaz e janaza padhna chaiye hoga wo Gustaaq duniya me lekin Ab wo Allah ﷻ ke pass Chala gya to uski namaz e janaza me Sharik hona chaiye un Jahilo ko ye Hadees padhni chaiye Bad Mazhab se dur rehne ke liye Rasoolullah ﷺ ne khud Farmaya or unki namaz e Janaza me shirkat na karne ka hukm diya
Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Is Ummat Kay Do Giroh Aise Hai Jinka Islam me Koi Hissa Nahi EK Murji’ah Aur Dusra Qadariyyah (Taqdeer Ka Munkir)”
(Sunan Ibn Majah, Kitab Al Muqadammah, Hadees : 62)
(Sunan Tirmizi, Kitab Al Qadar, Baab Maa Ja Fi Taqdeer, Pg : 485,Hadees : 2149)
(Khateeb Tabrezi Mishkal Al Masabih, Baab : Taqdeer Par Iman Laane Ka Bayan, Vol : 01, Hadees : 105)
Ye firqe aa chuke they baad me Tabain Tabe Tabain ka daur aaya usme ek aur Firqa aaya jiska naam Mutazila tha ye daur E Abbasiya me urooj ko aaya Imam Ahmad Ibn Hanbal رضي الله عنه ne Is firqe kay khilaf kayam kiya Aur wohi wajah thi kay sabse pahli baar kisi ko Imam Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka laqab mila to wo Imam Ahmad Ibn Hanbal رحمتہ اللہ علیہ thy.
Reference: DIFA E AHLE SUNNAT
Assalam o Alikum