.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

Wahabi k Shikwe ka jawab | AhleSunnat

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 Wahabi ka Shikwa ghair Musalaman ka naam lete huwe, uska alimana aur tod ke 19 Jahilana jawab.

Wahaibi Shikwa:


1- Kaafir mandir jata hai, Tu Mazaar jata hai.

2- Kaafir Prasaad khaata hai, Tu Langar khaata hai.
3- Kaafir Naariyal chadhaata hai, Tu chaadar chadhaata hai.
4- Kaafir Aashirvaad leta hai, Tu Muraad leta hai.
5- Kaafir haath jodta hai, Tu maatha tekta hai.
6- Kaafir ki bhi bigdi ban jaati hai, Teri bhi muraad bhar aati hai
7- Jab koi farq hai nahi To tera KHUDA aur kaafir ka bhagwaan alag kyun hai?
8- Tere NABI to masjid jaate the, Phir Tu Mazaar pe kyun jaata hai?
9- Tere NABI ne to dua ke liye upar haath uthaye, To Tu kyun Qabr se chimat ta hai?
10- Tere NABI ne to sirf apne ALLAH se maanga, tu kyun mazaaron se sar phodta hai?
1.0 Alimana Jawab 




Reply in light of Quran-o-Ahadith:




Objection 1 : Kaafir mandir jata hai, Tu Mazaar jata hai.


Reply: Dono mein farq ye hain ki Mandir mein uska Jhoota khuda hai jiski woh ibaadat karta hai Aur Mazaar mein Mere RAB ka NABI/WALI hai jiski main ibaadat nahi karta hun balke Taazeem karta hun aur Mere AAQA ki Hadees par amal karta hun


Hadees: Hazrat BURIDA (radiyallahu anhu) se riwaayat hain ki HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: MAIN Tumhe ziyaarat-e-Quboor se manaa kiya karta tha, pas ab ziyaarat kiya karo" [Sahih Muslim, kitaab ul Janaiz]


aur Hazrat ABDULLAH bin UMAR se riwaayat hain RASOOLULLAHصلی اللہ ُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: " Jisne MERI Qabr (Mazaar) ki Ziyaarat ki (roze Qiyaamat) us ke haq mein MERI shafa'at waajib ho gayi" [Daare Qutni fi Sunan, jild 2; Baihiqi fi Shoobul Imaan, jild 3]


Mere NABI ne mujhe Hukm diya Mazaaraat par jaane ka. Bad naseeb to tu hain jo is Sunnat ko Mandir se tashbeeh deta hai... Ab batao Musalmaan tum hai ya Main? Mazaaraat par jaana Sunnat hain ya Mandir mein jaane jaisa hain???


Objection 2 : Kaafir Prasaad khaata hai, Tu Langar khaata hai.


Reply: Woh prasaad uske Jhoote Khuda ke naam par khilaata hai aur main Langar khaata aur khilaata hun ALLAH ke WALI ke Isaale sawaab ke naam par. Farq itna hain ki Prasaad jhoote khuda ka hai aur Langar Sacche WALI ka. Woh shirk karta hai aur main Apne NABI ki Sunnat par amal!


Hadees: Hazrat Saad se riwaayat hain ki unhone HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki khidmat mein arz kiya: Yaa RASOOLALLAH صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ! Umme Saad ( Meri Waalida) ka inteqaal ho gaya hai. So kaun sa sadqa (isaale sawaab) afzal hai? AAP ne farmaya: " Paani (pilaana). To unhone ek quwaan khudwaaya aur kaha: Ye Umme Saad ka quwaan hai!" [Abu Dawood, kitab ul Zakah]


NABI ne Paani ka Langar lagwaya aur logon ne paani ke langar se paani piya! Langar mere AAQA aur Sahaba ki sunnat ho gayi.




Hadees: Abdullah bin Amr farmate hain kisi ne RASOOLALLAH صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ se pucha kis qism ka Islam accha hain? Farmaya: Khana Khilaao aur jise jaante ho yaa nahi use Salaam karo"
[Sahih Bukhari, kitab ul Imaan]


Ab NABI to farma rahe hain ki behtareen Amal logon ko Khaana khilaana hai aur sawaab hain. Ab hum is sawaab ko WALI ke naam par Isaale sawaab kare aur logon ko langar khilaaye to Sunnat hain yaa Ma'azAllah Mandir ka prasaad? Woh Prasaad khata rahe aur hum WALI ka Langar khaayenge. ALHAMDULILLAH!


Objection 3 : Kaafir Naariyal chadhaata hai, Tu chaadar chadhaata hai.


Reply: Woh Naariyal uske jhoote Bagwaan ki Ibaadat ke liye chadhaata hai aur Main NABI/WALI ke Mazaar par chaadar Unki Taazeem ke liye chadhaata hun. Farq itna hai ki woh ibaadat ki garz se karta hai aur main Taazeem ki garz se. Sahaba ne KAABA par chaadar chadhaayi KAABA ki Taazeem ke liye. Maine Qabr par chadhaayi Mazaar ki Taazeem ke liye.


Hadees: Hazrat Sufyaan Tamaar se marwi hain ki unhone bayaan kiya ki NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar ko dekha hain ki woh Kuwaan numa hain (yaani oonchi- zameen se upar - elavated - convex). [Sahih Bukhari, kitab ul Janaiz]


Hazrat Imam Ebrahim Nakhie ne farmaya jis shakhs ne NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ aur Saahibain ki Qabre dekhi hain us ne mujhe khabar di hain ki woh sab zameen se ubhri huwi hai. Un par safed sange marmar hain. Jab NABI, SAHABA aur SAAHIBAIN ki Mazaar oonchi aur Sange marmar laga sakte hai to Mazaaraat par chaadar chadhaane se kya harj hai?


Objection 4 :Kaafir Aashirvaad leta hai, Tu Muraad leta hai.


Reply: Woh Apne jhoote Khuda se Aashirvaad leta hai jo usko na faida pohoncha sakta hai na nuksaan. Aur main ALLAH ke NABI/WALI se Muraad leta hun jo ALLAH ki Ataa se mujhe zaroor faida pohonchata hai.


Hadees: Hazrat Abdur Rahmaan bin Saad bayaan karte hain ki Hazrat Abdullah bin Umar ka paaon sun ho gaya to Ek Aadmi ne unse kaha ki logon mein jo Aap ko sab se zyada Mehboob ho use Yaad karo. To Aap ne kaha : " Yaa MUHAMMAD صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ! (Aur unka Paaon bilkul theek ho gaya) [Imam Bukhari fi Adab ul Mufrad, Jild 1]




Hadees: Hazrat Malik Daar riwaayat karte hain ki Hazrat Umar ke zamaane mein log qahat mein mubtila ho gaye. Phir ek Sahabi HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar par haazir huwe aur Arz kiya :


Yaa RASOOLALLAH! صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Aap apni Ummat ke liye sairaabi maange kyunki woh halaak ho gayi hain........ (Is amal ke baad muraad puri huwi aur khoob baarish huwi) [Musanaf ibne Abi Shayba, jild 6; Baihiqi fi Dalailun Nubuwah]


Sahaba ki Sunnat to NABI ke Mazaar par jaa kar Muraad wa Madad lena tha. Hum to Sunnat par amal kar rahe hain kyunki Hamare NABI aur WALI sacche aur ALLAH ki Ataa se muraad puri karte hai. Magar afsos ki tum Hamare NABI aur WALI ko Jhoote Bhagwaan (buth) se tashbeeh karte ho. MA'AZALLAH! Laanat ho aise Mazhab par.




Objection 5 : Kaafir haath jodta hai, Tu maatha tekta hai.


Reply: Woh jhoote Khuda (buth) ke saamne ibaadat ke liye Haath jhodta hai Aur hum Musalmaan NABI aur WALI ke dar par maatha taazeeman tekte hai (sajda nahi karte). Hamara Maatha tekna unse Mohabbat mein hai. Maatha tekna na Sajda e Taazeemi hain na Ibaadat balki Taazeem ke saath bosa dena hai jaise hum Hajre Aswad aur KAABE ki deewaar ko choomte aur mas karte hai.

Sahaba ka Amal: Hazrat Dawood bin Abu Swaaleh (radiyallahu anhu) riwaayat karte hain ki Ek roz Marwaan aaya aur usne dekha ki Ek Aadmi HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar par Apna Chehra jhukaaye huwe hain. To usne us Aadmi se kaha: " kya tu jaanta hain ki tu ye kya kar raha hain? Jab Marwaan us ki taraf badha to dekha ki woh (Sahabi e RASOOL) Hazrat Abu Ayub Ansari (radiyallahu anhu) the. Unhone (Jawaab mein) faymaya: Haan! (Main jaanta hu) Main RASOOLALLAH ! صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki baargaah e Aqdas mein haazir huwa hun. Kisi patthar ke paas nahi aaya! [Musnad Ahmed bin Hambal]


Jo Jawaab Sahabi ne Marwaan ko diya wahi Jawaab Hum Musalmaanon ka tumhe hai ki hum NABI aur WALI ki baargaah mein maatha jhukaate hai, Na ki Mandir mein rakhe Patthar par.
Musalmaan ke liye Sahabi ka jawaab aur aqeeda kaafi hain. 


Objection 6 : Kaafir ki bhi bigdi ban jaati hai, Teri bhi muraad bhar aati hai


Reply: Meri to Muraad beshak poori hoti hain magar Uski bigdi aur badtar ho jaayegi.. Kyunki use uska jhoota khuda kabhi faida nahi pohoncha sakta hai ye Hum Musalmaano ka Aqeeda hai aur Hamara Sacha NABI aur WALI, ALLAH ki Ataa se hamein zaroor faaida pohonchaate hain.
ALHAMDULILLAH !


Objection 7 : Jab koi farq hai nahi To tera KHUDA aur kaafir ka bhagwaan alag kyun hai?


Reply: Farq tujhe nahi lagta Aye Wahaabi! Mera KHUDA Saccha hai aur uska Jhoota! Farq teri soch mein hain ki tu Ma'azAllah uske Jhoote khuda ko ALLAH ke sacche NABIYON aur WALIYON se mila raha hain. Laanat ho aisi soch par...


Objection 8 : Tere NABI to masjid jaate the, Phir Tu Mazaar pe kyun jaata hai?


Reply: kyun ki Mere NABI ne Mazaar par jaane ki bhi Ijaazat di hai. Is liye Main Masjid bhi Jaata hun aur Mazaar par bhi.




Hadees: Hazrat Burida (radiyallahu anhu) se riwaayat hain ki HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: " Main Tumhe ziyaarat e Quboor se manaa kiya karta tha, pas ab ziyaarat kiya karo" [Sahih Muslim, kitab ul Janaiz]


Ab bata tu NABI ke Huqm aur Sunnat par amal karta hai yaa Main?


Objection 9 : Tere NABI ne to dua ke liye upar haath uthaye, To Tu kyun Qabr se chimat ta hai?


Reply: Kyun ki Mere NABI, ALLAH ki Ataa se Madad Karte hain. Kyunki Sahabi Abu Ayub Ansari Mere NABI ki Qabr se Chimat te the. Ab teri maanu yaa Sahabi ki?


Objection 10 : Tere NABI ne to sirf apne ALLAH se maanga, tu kyun mazaaron se sar phodta hai?


Reply: Mere NABI ne ALLAH se Maanga. Main bhi ALLAH se Maangta hun. Aur mere NABI ne ALLAH ki ataa se diya bhi is liye main NABI se bhi maangta hun. Aur Sahaba ne bhi NABI se Maanga aur mila bhi.


Hadees: Hazrat Malik Daar riwaayat karte hain ki Hazrat Umar ke zamaane mein log Kahat mein mubtila ho gaye. Phir ek Sahabi HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar par haazir huwe aur Arz kiya "ya RasoolAllah apni qaum k liye barish k liye dua kijiye, nahi to wo halaak hojayenge" iske baad huzoor iske kwaab me tashreef laye aur arz ki "umar ke paas jao aur salam pahunchaou, phir barish k bheje jane ki mubarak baad do. (Dalail Nubuwah 7:47), (hafid ibn Kathir al bidaya wal nihaya 7:91-92) (mahfoom e hadees)


Ek riwaayat me kuch alfaaz ki tabdilee k saat iska baad ka waqaya bhi darjzail hai. Jisme hazrath umar ne khushkhabri sunne k baad logon ko jama kiya aur Hazrat al abbas aur huzoor k wasile se dua mangee. (Tabaris Tarikh 2:509, aisehee hazrath e umme aisha siddiqua radiallahu k zamaane me khahed padha to aapne huzoor k hujre mubarak ki chat me khidki khulwaee take khabre Anwar se aasmaan saaf ho phir itni barish huwi ki har taraf hariyali hogayee aur janwar mote hoaye. (Mahfoo e hadith, Sunan Darimi Volume 001, Page 227, Hadith Number 093.) Objection 5 ki hadith ko bhi refer karain jahan hazrath ayub Ansari ra, mazare aqdas per apna chahra mal rahe they. 



Allah hamey haq sunne, samjhne aur samjhane ni taufeek de - Ameen.







2.0 Tod ka Jahilana Jawab 




2.1: Ghair Musalmaan ka Shikwa, Deoband+wahabi Se


Masjid, Madrsay Or Mazar Jo Ham Girayen To Galat,
Or Yahan Par Khudkash Hamlay Tum Karo To Jihad Hy?

Hum Sunayen Khud Sy Geta To Hay Ye Jurm E Azeem
Jashn May Bulwa K Tum Hamaray Pandito Ko Apnay Prhao Geeta To Swab Hy?

Hum Kahain Pat'thar Ko Eshwer To Khuda Ma'ayob Hai,
Tum Kaho Apney Khuda Me Hr Aeib Ka Imkaan Hai?

Tum Nabi Ko Aajiz O Bebas Kehte Thaktey Nahi,
Hum Kahain Agar Unko Aisa To Kaho Gustakh Hai?

Bhai Say Bhi Kamtar Ho Tazeem E Nabi Tumra Dharam,
Ham Say Agar Tehqeer Howey Kaho Moat Ka Haqdar Hai?

Hum Jo Kafir Tum Bhi Kafir Baat Bilkul Saaf Hai. Jan'nati Tum, Dozakhi Hum Ye Kahan Ka Insaf Hai?

2.2: Ghair Musalmaan ka Shikwa, Deoband+wahabi Se 




Mai masjid girata hun,Tu Mazar girata he
Me Parsad khata hon
Tu kawwa khata hy
Me Buton se Ashirvaad leta hn
Too Amerika Se leta hy
Me Buton K Aage Jhukta Hn
Tu Doller k Aage Jhukta Hy
Me hath jorta hn
Tu hamen apne ijtima me bula K Jorta he
Meri bhi bigri ban jati he
Teri b ban jati hy
Jab farq kuch bhi nhi
To tere mere bhagwaan 2 kyn hn?
Tere NABI to masjid gaye
Tu kiyon Amerika jata he
Tere NABI ne to hath Upar uthaaye
Tu Q Angrezon k aage phelata he
Itna bata de Ay
Deo+Wahabi
Me kafir hun to tu kya he?
Me Mushrik hon to tu kya he??

2.3: Ghair Musalmaan ka Shikwa, Deoband+wahabi Se
:
Me Mandir jata hn
Tu Mandir walon ko khud bulata hy
:
Me Parsad Khata Hon
Tu Usay Jaiz Kehta Hy
:
Mera Madadgaar B Angrez
Tera B Angrez
:
Me Bhagwan K Samnay Jhukta hn
Tu Amriki Dollar Pr Jhukta Hy
:
Me B Crickit K Liye Paratna Krta Hon
Tu B Paratna Krta He
:
Me Masjid Ka Dushman
To Mazaron Ka Dushman
:
Jab Farq Nhi He Kamon Me
Phr Kio Faraq He Namon Me?
:
Sun Ly Deo+Whabi Khol K Kaan
Me Kafir To Tu B Nahi Musalman


2.4 Ghair Musalmaan ka Shikwa, Deoband+wahabi Se 


Me Mandar Jata Hn
Tu Raiwand Jata Ha
:
Me Parsad Khata Hn
Tu Waleema Khata Ha
:
Me Asherbad Leta Hon
Tu Dua Leta Ha
:
Me B Pathar Ko Sajda Krta Hon
Tu B Pathar K Kabe Ko Sajda Krta Ha
:
Me Hath Jorta Hn
Hu Hath Bandhta Hy
:
Meri B Bigri Bn Jati Ha
Teri B Dua Qabol Ho Jati Hy
:
Farq Nhi To Tera Mera
Bhagwan 2 Q Han??
:
Tere Nabi To Masjid Gaye
Tu Q Raiwand Jata Ha
:
Tere Nabi Ne To Allah K Samnay Hath Uthaay
Tu Q Chnda Ghairullah Se Mangta Hy
:
Etna Bta De Ay Wahabi +Dio
Me Kafir Hon To Tu Kya Ha?
:
Me Mushrik Hon
Tu Kiya hy
:
Main Jahanumi
To Tu Jannat Kese Jai Ga.?

2.5 Ghair Musalmaan ka Shikwa, Deoband+wahabi Se

:
Ham Dono Ka Aqeeda
:
Mere Bhagwan Ka B Jism
Tere Rub Ka B Jism
:
Mera Bhagwan B Mere Amaal Se Bay Khabar
Tera Rub B Tere Amaal Se Bay Khabar
:
Mera Bhagwan B Jhoot Boul Sakta Hy
Tumhara Rub B Jhoot Boul Sakta Hy
:
Mera Bhagwan B Dhoka Krta Hy
Tumhara Rub B Dhoka Karta Hy
:
Jab Farq Nahi Emanao Me
To Farq Kyun Hy Namo Me
:
Aey Wahabi+Deo Sun Lay Kaan Khoul Kar
Jab Main Kaafir To Tu B Kaafir

2.6 Ghair Musalmaan ka Shikwa, Deoband+wahabi Se 


Sun Ay Wahabi+Deo
:
Mujhe Madina Se Nafrat
Tujhe B Madina Se Nafrat
:
Mjhe Gumbad-e-Khizra Se Nafrat
Tujhe B Gumbad-e-Khizra Se Nafrat
:
Mere Lye Tere Nabi Ki Qabar Ki Koi Hasiyat Nhi
Tere Lye B Tere Nabi Ki Qabr Gira Dene Or Bhut(mujasma) K Barabar
:
Main B Tere Sahaba K Jismo Ko Rond Kar Unki Bay Hurmati Karoun
Tu Ne B Jannat-ul-Baqi Or Jannat-ul-Moalla Me Buldozer Chala Kar Sahaba Or Apni Ammiyoun K Jismo Ko Ronda
:
Main B Musalmano K Muqaddas Maqamat Ko Khatam Kar Dena Chahata hn
Tu B Ander Ander Apne Nabi Se Wabasta Or Muaqaddas Maqamaat Ko Tabah Kar K Khatam Kar Rha Hy
:
Main Ye Sab Soch Kar B Kafir
Or Tu Ye Sab Kar K B Musalmaan
:
Kya Ye Insaaf Hy K Main Jahannami Or Tu Jannati??
:
2.7 Ghair Musalmaan ka Shikwa, Deoband+wahabi Se 

:
Tera Or Mera Aqeeda
:
Hamara Bhagwan B Raam
Tumhara Nabi B Raam
:
Chandar Ko Ham Poojain
Nabi Tum B Chandar Ko Mano
:
Krishan B Hamara Malik
Krishan Tumhara B Nabi
:
Lakshman Ko Bhagwan Ham Manain
Tum B Nabi Apna Mano Laksman Ko
:
Rishioun Or Miniyoun Ko Ham B Poojtay Hn
Or Inko Paigambar Tum B Mantay Ho
:
Ye Kesa Hy Insaaf Hamse Mere Bhai
Tum Janay Jao Musalman Or Pallay Hamaray Paray Ruswayi

2.8 Ghair Musalmaan ka Shikwa, Deoband+wahabi Se

:
Hm To Apne Bhagwan Ko Bht Izzat Dain
Par Tumharay Nazdeek Nabi Ek Aam Insaan Hn (tehzeerunnas)
:
Hum To Apne Dewta Ko Bht Bahadur Samjhain
Per Tum Apne Nabi Ko Darpook Kaho (taqwiyatul eman)
:
Ham To Apne Bhagwan Ko Sir Ankhoun Pe Bithayen
Per Tumharay Nazdeek Nabi To Chamaar Se B Ziada Zaleel Hn (t.emaan)
:
Hamara Bhagwan Jo Chahay Kar Skta Hy
Per Tum Kaho K Nabi Ko Kuch B Ikhtiyar Nhi (t.emaan)
:
Hamain Tamam Zabanain Hamaray Bhagwan Ne Shikayin
Or Tum Kaho K Tum Ne Nabi Ko Urdu Sikhayi (baraheen qatiya)
:
Hm Hindu Ho Kr B Apne Bhagwan Ko Pojain Or Izzat Dain
Or Tum Musalman Ho Kr B Apne Nabi Ko Aisa Kaho
:
Kyn Deta Hy Sbko Dhoka
Bata Day Sbko K Tujh jesa Aqeeda Musalman Ka Nahi Hota
:
2.9 Ghair Musalmaan ka Shikwa, Deoband+wahabi Se

:
Ham Hindu To Logo Ko Jala Kar Unko Mitti Me Milayen
Or Tum To Apne Nabi Ko Fatwa Dy Kr Mitti Me Milao
:
Ham Hathi Gaaye Saanp Wagera Ko Pojain Or Unko Apni Ebadat Me Shamil Krn
Or Tum Apni Ebadat Me Apne Nabi K Khayal Ko In Janwaron Se B Ziyada Bura Jano
:
Ham Apne Dushman Rawan Ko Apne Khuda K Samnay Zaleel Smjhain
Or Tum Apne
Amabiya,0,Auliya Ko Apne Hi Khuda K Samny Chamaar Se Ziada Zaleel Kaho
:
Ham To Raawan K iIlm Ko Kam Or Apne Pandito K Ilm Ko B Ziada Smjhain
Or Tum Shaitaan K Ilm Ko Apny Nabi K Ilm Se Ziada Smjho
:
Kyun Musalman Tu In Deo+Wahabi Se Hy Anjaan,
Ye Rakhen Aqida Hindu Jesa, Or Kehlaen Musalman
:
Aye Deo+Wahabi Tu Sun Le Khoul K Kaan,
Main Kafir To Too B Kafir, Nhi He Tu B Musalman
:
2.10 Ghair Musalmaan ka Shikwa, Deoband+wahabi Se


Ay Deobandiyon Wahbiyon
Naam Nihaad Musalmaano!
Jab Tumhare Mutabiq
Tumharay Nabi
:
Marr Kar Mitti Me Mil Gaye
(Taqwiyatul Imaan P#52)
:
In Ke Chahne Se Kuch Nahi Hota
(Taqwiyatul Imaan P#50)
:
In Jesa Elm Bachon, Paagalon Aur Jaanwaron Ko Bhi Hey
(Hifzul Imaan P#18 )
:
Jabke Hamare Nabi Hazrat Essa
Tumhare Musalmano Ke Qur'an Ke
Mutabiq
>Aasmaano Par Zinda Hen
>Andho Ko Beenayi, Beemar Ko Shifa Dety
>Aur Murdon Ko Zinda Kartey Hen
>Gaib Ki Khabar Rakhtey Hen
:
To Jab Tum Apne Qur'an Ke Munkir Ho
To Phir Hum Kaafir Aur Tum Imaan Waley Kyun 
Jawab Do !!

2.11 Qadyani ka Deo+wahabi se
:
Q:Me Apne Mirza Gulam Ahmad Ka Kalma Parhta Hn
D+W:Lo G! Wo To Me B Apne Molvi Ashraf Ali Ka Parhta Hn
(Risala Al'imdad P36)
:
Q:Hmare Nazdeeq Rasoolullah Akhri Nabi Nhi
D+W:Wo To Hmare Nazdeeq B Nhi
(Tahzeer Un Naas)
:
Q:Hmare Nazdeeq Allah Galti Kar Skta Hy
(Haqiqatul Wahi P103)
D+W:Wo To Hum B Kehte Hn K Jhoot Bolna Allah Ki Qudrat Me Dakhil Hy
(Fatawa Rasheedia J1 P19)
:
Q: Khinzeer Ek Baat To Btaa
D+W:Main Hazir
Q:Hum To Khule Aam Kafir Qarar Pae Phr Tu Abi Tak Musalman Kyun kehlae??
:
Sun Deo+Wahabi Khol K Kaan
Agr Me Kafir To Tu B Nhi Musalman

2.12 Shia ka Deo+Wahabi se
:
DW:Ham Bahaty Hn Khoon Mazaro Me
S:Ham Bahaty Hn Bazaro Me
:
DW:Hum Noha Karwayn
S:Hum Noha Krain
:
DW:Aslaha Or Bomb Hamare Paas
S:Khanjar Or Talvaren Hamare Paas
:
DW:Jan Ki Naimat Ki Prwah Hamain Nhi
S:Jan Ki Prwah Hamain B Nhi
:
DW:Mrkazi Railyan Hm B Nikaalain
S:Matami JuLoos Hm B Nikalain
:
DW:Hamare Dil Siyah
S:Hamre Kapray Siyah
:
DW:Yahan Nara Kameeno Ka
S:Yahn Nara Khumaini Ka
:
DW:Hm Sar Mundwaty Hn
S:Hm Darhyan Mndwaty Hn
:
DW:Hmra Baani Yahudyon Ka Agent
S:Hamra Bani Hy Hi Yahudi
:
DW:Ham Rasool K Gustakh
S:Ham Sahaba K Gustak

2.13 Shia ka Deo+Wahabi se

S:Ham 10 Din Rote Hn
DW:Han 12 Din Rote Hn
:
S:Ham Kala Jhanda Laga K Rote Hn
DW:Ham Sabz Jhanda Dekh K Rote Hn
:
S:Ham Jaloos Me Matam Karte Hn
DW:Ham Melad Ka Jaloos Dekh Kr Matam Krte Hn
:
S:Ham Sahaba K Dushman
DW:Ham Rasool K Dushman
:
S:Ham Zina Ko Paisay Le Kar Jaiz Kehte Hn
DW:Ham B To Paisay Kamanay K Liye Jaiz Kehte Hn
:
Farq Nhi Hm Dono K Emano Me
Hm Dono Hi Hn Musalmano Ko Behkanay Me

2.14 Iblees ka Deo+Wahabi se
:
I:Mein Bht Bara Toheedi K Allah K Siwa Adam Ko B Sajda Na Kia
DW:Lo Wo To Main B Tohidee
:
I:Me Namazain Bht Parhta Tha
DW:Wo Tu Main B Bht Prhta Hn
:
I:Main Allah K Elawa Kisi Ki Tazeem Nhi Krta
DW:Main Khud Nabi Tak Ki Tazeem Nhi Krta
:
I:Mene Ambiya Ki Toheen Ki
DW:Main To Har Roz Krta Hn
:
I:Mene Rasool ki Azmat ko Nhi Maana
DW:Mene Khud Iska Inkaar Kia
:
I:Mene Rasool Ko Aam Bashar Kaha
DW:Mene B To Kaha
:
I:Mujy Nabi Ki Padaish Per Bht Dukh Huwa
DW:Meelad-un-Nabi Pe
Khush Main B Nhi
:
Phir Insaf Se Bata
Mein Ho Gaya Shaitaan
To Tu Kese Musalman

2.15 Iblees ka Deo+Wahabi se
:
Me Milad Manata Hun Na Tum
:
Muje Juloos-e-Milad Pasand Hn Na Tumhe
:
Muje Jashn-e-Milad K Jhando Se Nafrat Or Tumhe Bi
:
Log Masajid Ko Sajayen Ye Main Na Chahoun Or Na Hi Tum
:
Na Me Niyaz Ko Pasand Krta Hn Or Na Tum
:
Na Main Iblees Jannati Or Na Tum
2.16 Iblees ka Deo+Wahabi se
:
Mene B Nabi Ko Aam Basher Kaha Tu B Ye Kehta Hy
:
Mene Nabi Ki Tazeem Nahi Ki Tu B Nahi Krta
:
Mene Nabi Ko Apne Se Behtar Nahi Kaha Tu Bhi Yehi Kehta Hy
:
Mene Nabi K Ilm Ko Nahi Maana Tu Bhi Nabi K Ilm Ka Inkar Karta Hy
:
Mene Logon Ko Oliya-Allah Se Door Kia Or Tu B Musalman K Bhais Me Un Ko Oliya-Allah Se Door Karta Hy
2.17: Jawab aur sawal Momin ka Deo+Wahabi ko
:
Tu Mandir jata hy
Me Masjid-o-Mazar jata hn
:
Tu Bhagwan K Naam Ka Parsad khata hy
Me Rahman K Naam Ka Langar khata hn
:
Tu Nariyal Apne Hath Se Bani Be-Bus Moorti Ko Chrhata hy
Main Chadar Rub K Naik Wali Or Kaba Ko Chrhata hn
:
Tu Apne Jhotay Khuda Se Ashirbad leta hy
Main Allah Se Naik Bando Ka Waseela De Kr Dua leta hn
:
Tu Apne Bahgwan Ko Sajda Krta hy
Main Apne Rahman ko Sajda Krta Hn
:
Tu Geeta Parhta Hy
Main Qur'an Parhta Hn
:
Tu Peshab Or Ganga Peeta Hy
Main Zamzam Peeta Hn
:
Tu Warat Rakhta Hy
Main Rozay Rakhta Hn
:
Ay Deo+Wahabi Sun
Mere NABI to Masjid gaye Or Qabristan Gae
Ek Bar Nhi Har Saal Shohda-e-Ohad k MAZAR Pe Gae
Tu Kyn Mandir Walo Ko Bulata Hy
Tu Kyn Raiwand Jata Hy
Tu Kyn Qabristan Nhi Jata
Tu Kyn Apne Jashan Deoband Me Pandit Ka Bayan karwata Hy
:
Sun Deo+Wahabi Tu Hy Hindu Ki Jaan
Shaitan Tera Ustaad Or Asal Hum Hn Musalman

2.18: Kafir ka Sawal Wahabi se

 aye Wahabi, to bhi Hajj karta hai
Aur wo tirth yatra pe jaate hai. 

Tu Aab e Zam zam peeta hai,
aur Wo ganga jal peete hai...

Tu bhi dadhi rakhta hai
Wo bhi rakhtey hain.

Tu bhi haj me baal nikaalta hai.
Wo bhi tirat per baal nikaltey hain.




To tu musalman kyun aur wo kafir kyun? 



2.19: SHAITAAN KA WAHABI SE SAWAL

Main bhi tauheedi : tu bhi tauheedi
Maine bohat namazain padhi : tu bhi bohat namazain padhta hai

Main bhi ALLAH k siwa kisi ki tazeem nai manta : tu bhi ALLAH k siwa kisi ki tazeem nai manta

Maine AMBIYA ki tauheen ki : tu bhi AMBIYA ka Gustaakh

Maine RASOOL ko sirf bashar kaha : tu bhi RASOOL'ALLAH ko sirf bashar kehta hai

Mujhe bhi RASOOL ki paidaish par rona aya : tu bhi to MILAAD par khushi nahi manata

Phir insaaf se bata!

Main to hogaya SHAITAAN...Aur tu phir b MUSALMAN??????

Shikwa Ka Raaz
Kya Apko Pata Hy K Deo+Wahabi Hamse Ghair musalman ke naam Shikwa Kyn Krte Hn, Deo+Wahabi Ka in Se Kya Rishta Hy? Deo+Wahabi Ko ghair musalmaan Se Hamdardi Kyn Hy? Aye Hum Batate Hn
:
Deobandio Ke "Imam Molvi Qasim Nanotvi Deobandio" K Aqaid Ke Tarjumani Or "Hindu Mazhab Ki Sadaqat" Krte Huwe Kehte Hn, Kya Ajab Hai K Jis Ko Hindu "Otar" Kehte Hn Apne Zamane K "Nabi" Ya "Wali" Ya "Nabi Ke Naib" Ho, Kya Ajab Hai K "Shri Krishan" Or "Ram Chander" Bhi Uyub Se Mubra Ho" (Sawaneh Qasmi J2 P449-450)
:
Ye Sari Hamdardi Ka Raaz Ye Hy K, ghair muslamaan K Bhagwan Deo+Wahabi K Nazdeek Nabi Bhi Hoskte Hn


Astagfirullah —

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)