.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

Biddat kya hai ???

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 Q.Bid'at ka Mafhum Bataen?


A.

Har Wo Kaam Jiski Koi Asal Bilwasta Ya Bilawasta Na Quran Me Ho Na Sunnate Rasul Me Ho,

Aur Ise Zaruryat e Deen {Jiska Inkar Kufr He} Me Shumar Karte Huey Shamil e Deen Kar Dya Jaye


Mutlaqan Har Naye Kaam Ko Az Roo e Shara Is Lye Bid'at Kehna K Wo Naya He To Is Se Shariat Ki Taalimat Me Kam o Besh 80% Kaam Najaaiz Ho Jaayenge

Agar Kisi Ko Ikhtilaf He To Challenge He K Bid'at Ki Koi Tareef Likh Den



Q.Agar Deen Me Koi Naya Acha Kaam Ho Jo Shariat Se Na Takraye To Uske Lye Kya Fazeelat He, Misaal Bhi Den?

A. Sarkar sallallahu alehi wasallam :

Mere Baad Koi Aisa Amal Jaari Kare Jo Deen Ki Asal Se Mutazad Na Ho Qayamat Tak Us Pe Amal Karne Walon Ka Bi Sawab Paye Ga

(MUSLIM)


E.g:

QURAN ki Mojuda Tartib Kitabi Surat Earab o Tarajim Ahadees,Uski Asnaad o Usool Tiraweeh Jumey Ki Azaan e Saani Jalsey, Juloos

Masajid Ki Mojuda Surat


Aetraz Hota He K Tarif To Yun He "Jo Hamare Is Deen Main Koi Aisi Baat Nikale Jo Deen Me Se Nhe, To Wo MARDOOD He"


A.

Jis Tarah Hadis e Paak Samaj Kar Suwal Qaaim Kya Gaya Is Aetbaar Se To Unka Mobile Par Deen Ki Tablig K Lye SMS Karna Bi Bid'at Hua.

Mazid Inki Bidaten Agle Msgs Me Btayenge


Jo Deen Me Acha Kaam Ejaad Karey Usko Aur Jo Is Par Amal Karenge Unko Bhi Sawab Jbke Ejaad Krne Wale Ko Inke Barabar Sawab Milega

Jo Deen Me Bura Kaam Ejaad Kare Usey Gunah Hoga Aur Jitne Log Isko Karenge Unko Aur Unke Barabr Isey Gunah Hoga (Muslim V#1, P#327)

(Tirmizi V#2, H#872, P#239)



Nayi Baat Ko Bid'at Kehte Hen.

Iski Do (2) Qismen Hen:


1. Bid'at e Hasana (Jaiz, Mustahab Bulke Baaz Martaba Wajib) Wo Bid'at He Jo Kisi Sunnat Ke Mukhalif Na Ho.

Jese Ba Jama'at Tarawih


2. Bid'at e Sayyi'a (Mazmuma w Qabeeha) Wo Bid'at He Jo Sunnat Ke Mukhalif Ho. Ye Makrooh o Haraam He



Umer RadiyALLAHu anhu Ne Masjid e Nabwi Ke Sutoon Dubara Lagaye Hazrt Usman Ne Bi Is Me Tabdili Aur Izafa Kya, Deewaren Tarashey Hue Patharo Aur Choone Se Banayi Jbke Rasoolullah AlehisalatuWasslaam Ke Dour Me Aisa Kuch Na Hua Tha (Bukhari V#1, H#430, P#240)

(Abu Dawood V#1, P#448, P#213)



#Pichi Hadis Par Aimma Ke Aqwaal#


*Wo Kaam Jisey Ulama Aur Aarifin Ejaad Karen, Sunnat Ke Khilaf Na Ho To Acha Kaam He (Roohul Bayan)


*Jo Amal Logo Me Mash'hur Hojaye Aur Shariat Ke Mutabiq Ho Uski Itteba Zaruri He (Badiyul Sanaya By Imaam Kaasani)


*Jo Kaam Shariat Ke Mukhalif Na Ho Wo Bid'at e Hasana He (Umdatul Qari By Allama Badruddin Aini)


*Agar Ye Kaha Jaye Ke Bid'at e Hasana Koi Chiz Nhe To Ye Baat Hadis Ke Khilaf He (Allama Shaami)


Hazrat Abubakar Ke Dour Me Jang Me Kayi Huffaaz Shaheed Hogaye, To Hazrt Umar Ne Kaha K Agar Isi Tarah Shahadaten Hui To Buht Sa Quran Chala Jayega Aap Qur'an Ke Jama Krne Ka Hukum Frmaen Farmaya;

Wo Kaam Me Kise Karun Jisey Rasoolullah Ne Na Kya Ho? Arz Ki;

"ALLAH Ki Qasam, Ye Acha He" Phr Wo Israar Krte Rahey, Yahan Tak Ke Siddique Akbar Ne Farmaya; "ALLAH ne Mera Seene Ka Khol Dya Jese Umer Ka Seena Khola"... (Tirmizi V#2, H#1027, P#427)


Sahaba e Ko Ba Jama'at Namaz e Taravih Parhtey Dekh ker Hazrat Umar RadiyALLAH Ne Farmaya: "..Kitni Achi Bida'at He..."

(Bukhari V2, H#1906, P#707)


#Bid'at Kabhi Wajib Bhi Hoti He#


Mulla Ali Qari Bid'at Ki Iqsaam Bayan Farmatey Hue Likhte Hen:


*. Bid'at e Wajiba :

Jese Ilm e Nehw Aur Qur'an Samajney K Lye Usool e Fiqh Ka Jama Karna


Isi Tarah Bid'at e Haram, Mustahabba, Makroh, Mubaha, Ye Sab Bi Bid'at Ki Iqsaam Hen <Mirqat V1, P#337>


Natija Ye Nikla Ke Achey Kaam, Meelad, Esaal e Sawab, Urs Ki Taqarib, Khaas Raato Me Shab e Bedari, Azaan Se Pehle Aur Jummah Me Salat o Salam,

Chehlum o Barsi Wgera Na Ye Kaam Shariat Se Takrate Hen, Na Shariat Ne In Se Mana Kya LIHAZA Sawab Ki Niyyat Se In Kaamo Ka Karna Bid'at e Hasana He


Aaye!

Ab Baat Baat Par SHIRK Aur Bid'at Ke Fatwey Lagane Walo Ki "Bidat Ki Tareef" Ki Roshni Me Inki Kuch Bid'aat Mulahiza Hon Faisla Kijye Ga K..



AETRAAZ:

Aaj Kal Buhot Si Masajid Me Buland Aawaz Se Zikr o Durud Jata He Sahaba Ke Dour Me Masajid Theen, Kya Unko Is Tarah Zikar Krna Nhe Ata Tha?


A.

Afsos He Un Par Jo Is Tarah Ke Suwal Karte Hen. Actually Baat Ye He Inke Nasib Me Huzoor Se Bugz He Aur Jis Dil Me Ishq e Rasool Nae Us Dil Me Imaan Jata Hi Nhe Sharyi Jawab To Pichle Msgs Me Dya Jaa Chuka He


LEKIN

Ab Suwal Qaim Ye Hota He Ke


Q. Kya Inke Dil Me Sahaba Se Zyada Muhabbat He K Kabhi Ramzan Me Tarawih Ke Baad Kisi Sahabi Ne Tarjuma w Tafsir Bayan Ki?


Q. Kisi Sahabi Ka Naam To Batayen Jisne Apne Bacho Ko 6 Kalmey Yad Karaye?



#Wah Rey Munafiqat#


Kabhi To Deoband K Nazdik Bi Rasoolullah Ki Wiladat Ka Zikar Karna Biddat Nahi.


Aqwaal:

>: Haji Imdadullah

>: Mehmoodul Hasan

>: Ashraf Ali Thanvi

>: Abdul Wahab Najdi

>: Rasheed Ahmed Ldhyanvi


Book Ref:

(Al Mohind Alal Mufnid)


Milad Agar Biddat To Ye Sab Kya Hue?



#KAMAAL HOGAYA#


DeoBandion Ne Apne Hakimul Ummat Thanvi Ko Bid'ati Aur Mushrik Qarar Dey Diya

Kisi Deobandi Se Puchen Qabristan Jana Kesa He? Kahe Ga: Shirk o Bid'at To Thanvi Bhi Hogaye Mushrik o Bid'ati


"15ween Shab Ko Qabristan Jana Sunnat He"

(Behashti Zewar Part#6 P#508 Az Thanvi)


Shariat Ka Usool He Ke Fazail Wali Ahadis Agar Chey Zaeef Hon A'amaal Par Foqiat Di Jasakti He.

Wahabiyo Ke Mutabiq 27 Rajab Wagera Ko Ibaadat Bid'at He To Kya Ye Aelan Kya Jaye K Us Din Koi Ibaadat Na Karey?

Ya Nafil Rozey Haraam Hojayen Ge?


Bulke Inse Puchen K Jin Buzurgo Ka Tazkira Kr Ke Wo Isey Zaef Btate Hen Unki Deegar Riwayaat Jo Meelad Aur Istimdad Se Muta'lliq Hen Unhe Kahan Tak Taslim Krtey Hen? Ya Sirf ManPasand Riwayaat Btate Hn?


15 Shaban Ko Qabristan Jana BidDat Ha Baqoul. . . .


Hamara Suwal:

Koi Aisi Riwayat Paish Karain Jis Me Is Raat Me Ibaadat Ya Qabrastan Jane Ki Mumaniat Aayi Ho?

Umar Bhar Suwal Hi Rahega


#Free Advice#


Ab Agar 14 Shaban Ko Koi Wahabi Mar Jaye To Usey Qabrastan Le Ja Kar Bid'at Mat Kar Bethna Bulke Koi Bara NAALA Dekh K....


Aur Dafnaney Ke Lye 16 Shaban Ka Intezar Karo To Taakhir Ki Dalil Bhi Paish Karna


Har Cheez Bid'at Kya Cheez Hen Ye?


#WAHABI OR BIDDAT#


Jab Denmark K Kafiro Ne Huzoor Ki Shaan Me Gustakhi Ki To Wahabiyon Ne Inke Khilaf Ralliyan Nikali

Hamara Suwal Ye He Ke Sahaba Ke Dour Me Bi Kafiro Ne Huzoor Ki Shaan Me Gustakhyan Ki Magar Kisi Sahabi Ne Rally Nahi Nikali


Kya Wahabi Sahaba Se Zyada Aashiq e Rasool Hen?


Agar Hum Jashn e Wiladat Ka Juloos Nikale To Kehte Hen Sahaba Ne Aisa Nahi Kya, Magr Apna Haal Nahi Dekhte


Sirf Julus e Meelad Se Taklif Kyun?


Darul Uloom Karachi:

5000 Lights

2000 Sevrs

500 Fox Lights

150 Speakrs

300 Fanus

12 Paani Ki Motors

600 Computrs

3000 Fans


Ye Sb Bi Bid'at Hui Na?


Agar Yahi Usool He K Jo Kaam HUZOOR Ya Sahaba Ne Na Kya Ho Wo Najayez Aur Bid'at He To Phir Ye Kaam Kya Hue?


1) Masjid ki Mehraben

2) Minaar

3) 6 Kalmey

4) Iman-e-Mujmal or Mufassal

5) Mike par Azaan Bulke Namaz

6) KAABE Ka Sone Ka Darwaaza

7) Gunbad -e- Khazara

8) Masajid k Gunbad

9) Masjid Me Fans, Lights

10) Imam, Moazzin Ki Salaries


Phir B In Kaamon Ko Jaaiz Samajh K Karne Wala Milad Ya Ache Kaamo Se Jalta Hey To Usey Doob Marna Chahye


#Chand Mazid Bid'aat e Wahabiyya#


1: Raiwond Aur Mureedke Ke Ijtema

2: Shab e Jumma Ke Ijtema

3: Masjidon Me Jamaten Aur Lotey Lye Phirna

4: Tabligi Nisab Ka Dars

5: Youm e Siddiq e Akbar Par Juloos Nikaalna

6: Khatm e Bukhari

7: Jashn e Daar ul Uloom Deyoband Manana Aur

8: Us Me Hinduon Ko Bulana

9: Indra Gandhi Ko Mimber Par Bithana

10: Gair Muqallid Wahabio Ka Bi Mukhtalif Mawaqe Par Ralliyan Nikaalna

11: Junaid Jamshed Ki Music Pr Naatein

12: Wahabi Molwio Ka T.V Par Aana

13: Cricket Khelna


Sunniyo Ke Ache A'amaal Par Aitraaz Karne Walo Ko Chahye K Ye Saari Bid'aten Band Karen


AuliyaALLAH Ke Urs Mubarak Ko Bid'at Aur Haram Kehne Waley Saudi Farmaan Rawa Shah FaisaL ki 35ween BARSI Mana Rahey Hain

GeoTv 10:25am 25|3|10


#12Ween Walo Sey Hi Jalan Kyun?#


Rasheed Deobandi:

Khatam e Bukhari Quran o Hadis Sey To Sabit Nahi Magar Karna Sahi He Kyun Ke Zikr e Khair Ke Baad Dua Qubool Hoti He, Ye Bid'at Nahi

(Fatawa Rasheediya P#102)


Kya Milad, Barsi, Soyam Wgera Me Zikr e Khair Nhe Hota K Inhe Bid'at Kehte Ho?


Ye To Wahabi Aur Deobandi Hazraat Ki Sirf Kuch Bid'aat Ginwayi Hen. Akhbaarat, Rasail Aur Inki Apni Kitaben Bid'aat Se Bhari Pari Hn ALLAH Samaj Dey

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)