.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

Huzoor ﷺ Ne Halate Sajda Mai Munafiq Ko Katl Karne Ka Huqum

لبیک یارسول اللہﷺ
0


Hazrat Abu Bakr ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ Se Marwi Hai Ke Hazrat Nabi E Akram ﷺ Ek Shaksh Ke Pass Se Gujre Joh Haalat E Sajde Mai Tha. Aur Aap ﷺ Namaaz Ke Liye Tashreef Le Jaa Rahe The. Aap ﷺ Ne Namaaz Ada Ki Aur Iski Taraf Laute, Aur Woh Is Waqt Bhi Halat E Sajde Mai Tha. Hazrat Nabi E Akram ﷺ Khare Ho Gaye Aur

Farmaaya Ki KON ISSE KATL KAREGA.? ? ?


Toh Ek Aadmi Khara Huwa Iss Ne Apne Baazu Chadhaye Talwaar Uthaayi Aur Lehraayai( Iske Taraf Dekha Toh Jaaheri Libaas aur Halat Dekh ker Mutta'asir Ho Gaya).


Phir Arz Kiya Ya Rasoolullah ﷺ Mere Maa-Baap Aap Per Qurbaan. Mai Kaise Iss Shaksh Ko Katl Kar Du,Joh Haalat E Sajda Mai Hai Aur Gawaahi Deta Hai Ki ALLAH ﷻ Ke Siwaa Koi Ma'abud Nahi Aur BeShaq Muhammad

ﷺ Iske Bande Aur Rasool Hai. 


Phir Aap ﷺ Nai Farmaaya Kon isse Katl Karega..? ? ? Toh Ek Shaksh Khada Huwa,Garz Kiya Ki Mai Isse Katl Karunga,Apne Baazu Chadhaye Apni Talwaar Uthaayi Aur Lehraayai Aur Iss per Waar Karne Hi Wala tha ki

Uske Haath-Pair Kaanp Ne Lage Aur Kuch Bhi Kiye Bagair Laut ker Arz Kiya Ki Aye ALLAH

ﷻ ke Nabi ﷺ Mai Isse Kaise Katl Karu Joh Haalat E Sajde Mai Gawaahi Deta hai Ki ALLAH ﷻ ke Siwaa Koi

Ma'abud Nahi Aur BesShaq Muhammad ﷺ Iske Bande Aur Rasool Hai.


Toh Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaaya, Us Jaat Ki Kasam Jiss Ke Kabzh E Qudrat Mai Meri jaan hai. Isse Katl Kar Dete Toh Woh Fitnaah Ka Awwal Aur Akkhir Tha. (Yaani Yeh fitnaah isper Khatam Ho jaata)


Hawaala:-

''Musnad E Imaam Ahemad Bin Humbal.( ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ )


Writer:- Hazrat Imaam Ahemad Bin Humbal ( ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ ) (Wafaat S.H. 241)


Publisher. Darool Qutub Ul Ilmiyaa, Bayroot-Labnaan.


Artical. First. Published Year. Islamic

S.H.1413,Jild No:5,Haddith No.20455,page No:52.

Scan pagenull


Huzoor ﷺ Ne Halate Sajda Mai Munafiq Ko Katl Karne Ka Huqum



Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)