.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

SHIRK SHIRK KE FATWE LAGANE WALO JAWAAB DO ??

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 Aqida e Touheed

ALLAH Ek He Uska Koi Sharik Nhi
Na Zaat Me
Na Sifaat Me
Na Af’aal Me
Na Ahkaam Me
Na Asmaa Me
Wo Wajibul Wujood He (Uska Wajud Zaruri He) Hamesha Se Hy Or Hamesha Rahe Ga
{Bahaar e Shariat V1 P1}

Qur’an Ki Sura e Ikhlas Sura e An’aam Sy Iska Istidlaal Hy IKHTILAAF KYUN?


Q.Shirk ki Tareef Karen?
A. Ek Se Zyada Khuda Man’na Yani ALLAH Ki Zaat, Sifat Ya Af’aal Me Kisi Ko Wesa Hi Samaj Kar Sharik Karna.
Ya Kisi Ghairullah Ko Mustahiq e Ibadat W Paristish Jan’na Ahlesunnat Ko Khumakhwa Mushrik Kehne Wale Is Tarif Ki Roshni Me Mushrik Saabit Krn
IKHTILAAF KYUN?


Shirk Ki 3 Iqsaam
1> Shirk Fil-Ibadaat Murad Ye Ke ALLAH K Elawa Kisi or Ko Mustahiqq-e-Ibadat Samjha Jaye
2> Shirk Fiz-Zaat Murad Ye Ke Kisi Ko ALLAH Jesa Maan’na Jesey Majoosi 2 Khudaaon
Ko Maanty The
3> Shirk Fis-Sifaat; Ye Hy Ke Kisi Zaat Me ALLAH Jesi Sifaat Maan’na
IKHTILAAF KYUN?


Jis Tarah Din Ka Andaza Raat Ke Baghair Nhi Lagaya Jaa Sakta
Isi Tarah Agr Kisi Ke Saamny Batil Ka Tasawwur Na Ho To Wo HAQ Ki Laz’zaton Sy Aashna Nhi Ho Sakta
To Jo Na Samjhe K SHiRK Kisey Kehty Hn, Wo Touheed Ko Nhi Jan Skta Ayinda Chand Misalon
Sy Iski Mazeed Wazahat Hogi
IKHTILAAF KYUN?


“ILM” Insaniyat ka zaiwar he Lekin “ILM”To khuda ki sift he To kya ye
“SHIRK” hoga?
Iska jwab ye he k Jo”ILM” ALLAH ta’al ka he wo bande ka nhi, ALLAH ta’ala k “ILM” apna he,
Hmara “ILM” usi ka ata krda he. Uluhiyat or Abdiyat k drmyan yehi “FARQ” he.

IKHTILAAF KYUN?

Isi trah ALLAH ta’ala “SAMI O BASEER” he.
Or frmata he k hmne insan ko SAMI O BASEER yani sunne or daikhne wala bnaya. To ALLAH ta’ala ki tmam sifaat be niaz o ghani hokar hn
Or bandon ki ye sifaat uske hajat mand or niaz mand hokar hn Kyunke unhn ye sifaat “RAB” ne den or wo khud or uski sifaat “RAB” k qabze or qudrat me hn
ALLAH k hukm se ye bat bilkul wazeh hogai k ULUHIYAT OR ABDIAT K DARMIYAN YEHI FARQ HE
IKHTILAAF KYUN?


ALLAH ta’ala frmata he!”Kon he jo SHAFA’AT kre baghar IZN E KHUDA WANDI k.
(PARA 3)Pata ye chala k baghair IZN k shafa’at ka aiteqad “SHIRK”he.Or IZN k sath ain
“TOHEED” he.Sabit hogya k jb ye aqeeda aaya k fulan shakhs ALLAH ta’ala k IZN k bagair koi hajat puri kr skt he to
“SHIRK” he.Or jb “IZN E ILAHI” ka aqeeda aaya to “SHIRK” khatm.

IKHTILAAF KYUN?

Jb hzrt esa alaihe slam ne qom k samne taleem e risalat paish ki to unse kaha!Or acha krta hn andhe or korhi ko or murde ko zinda krta hn ALLAH k hukm se.
(AAL E IMRAN 49)Ab daikhye shafa daina or murde ko zinda krna ye ALLAH ta’ala ka kam he.Is lehaz se to hzrt esa alaihe slam ne ALLAH ta’ala k kamo ka dawa kya,Laikin ab aage frmate hn”BE IZNILLAH”Yani me jo kuch krta hun ALLAH ta’ala k izn se krta hun.Wazeh hogya k yahan “IZN E ILAHI” Toheed or Shirk ka bunyadi nuqta he.Or mukhalfeen k lye 1 aasan jwab he

IKHTILAAF KYUN?


Agr koi”OLIYA ALLAH” ko”BE IZNILLAH” hajat rwa kahe to shirk khtm Lekin swal ye he k kya waqei ALLAH ta’ala ne unko IZN dya he?
Agr IZN dya he to iski kya daleel he?
Hm munkireen o munafiqeen ko dawat dete hn k wo aaen momineen ki traf k wo shirk se pak hn, QK unke pas”BE IZNILLAH”
ka suboot he, Or wo”OLIYA ALLAH” ko “BE IZNILLAH” hajat rwa mante hn, Hm mut’thi bhar munafiqeen o murtideen ko ye dikha daina chahte hn k ALLAH ta’ala ne”OLIYA ALLAH”
ko IZN dya heQK hmare aiteqad me na”SHIRK” ka sha’iba he or na hi”KUFR” ka

IKHTILAAF KYUN?


Bad Mazhab Shirk Fis-Sifaat Ka Galat Mafhum Paish Karke Musalmano Ko Gumraah Karney Ki Koshish Karty Hen
Aaye!
Qur’an Sy
Aqaid e Islamiya Jaanty Hen


Shirk Fis Sifaat or Qur’an;
1> ALLAH Rauf or Raheem (Baqarah 143)
Huzoor B Rauf or Raheem (Touba 128)
2> Madadgaar Sirf ALLAH (Muhammad 11)
Jibrael or Auliya B Madadgar (Tehreem 4)
3>ALLAH Jaan Ko Mout Deta Hy (Zumr 42)
Mout Deta Hy Mout Ka Farishta (Sajda 11)
4>ALLAH Sunta Dekhta Hy (Hajj 61)
Bande B Sunte Dekhty Hn (Dahar 2)
5>Ilm-e-Gaib ALLAH Ke Paas (Namal 65)
Rasoolon Ko B Ilm e Gaib He (Jinn 26/27)
6>ALLAH Azeez Hey (Touba 40)
Rasool Azeez Hen (Touba 128)

Q. Kya Qur’an Ne Rasool Ko ALLAH Ka Shareek Bana Dya?
A. Nahi KyunKe ALLAH Zaati Tour Par Rauf, Raheem, Azeez Hy
Jab Ke Rasool, ALLAH Ki Ataa Sey Rauf o Raheem Hn

IKHTILAAF KYUN?

Q.Kya ALLAH Ke Elawa Kisi Ko “Faryad Sun’ne Wala” “Sab Kuch Deny Wala” “Gareebon Ko Nawazny Wala”
“Mushkilen Hal Karny Wala” “Khazany Bakhshny Wala” Kehna SHIRK Hy?
A. Jee Nhi, KyunKe ALLAH Zaati Tour Par Sab Kaam Karta Hy Jabke
Makhlooq (Waliyon) Ko ALLAH Ne Hi Ghous, Daata, Gareeb Nawaz, Mushkil Kusha, Ganj Bakhsh
or Dastageer Banaya Hy Yahi Islam Ki Ta’leem or Qur’an Sy Saabit Hy Jesa Ke Ibtidaa Me Aayaat Paish Ki Gayeen
IKHTILAAF KYUN?


Meanings;
1>RAUF =Meharbaan
2>RAHEEM =Reham Karny Wala
3>Sami =Sunne Wala
4>Baseer =Dekhne Wala

Sub Kuch Parhney Ke Baad Zara Emaandari Se Sochen Kya Ye Bi ALLAH ki Sifaat Nhe?
Magar Phir Isey Quran Ne Insan Ki Sifaat Bi Bataya Pas Jahilo Ko Chahye K
ALLAH Ki Zaat Se Ye Aqida Rakhen K Wo Apni Sifaat Ka Mazhar Apne Bando Ko Apne Fazal Se Banata Hy
Aur Jise Jitna Zyada Chahe Ata Kar Sakta Hy Qur’an Parhen, Jihalat Ka Andhera Door Karen
SHiRK


Agar ALLAH Madadgaar, Mout Dene Wala, Gaib Ka Janne Wala Hy Aur
Qur’an Ke Mutabiq Iski Makhlooq Me Bhi Ye Sifaat Hen To Ye Shirk Nahi Hua
Kyunke ALLAH Ki Sifaat Zaati Jabke Makhlooq Ki Sifaat Ataayi (Granted) Hen
Aur Jahan Zaati Aur Ataayi Ka Faraq Aajaye Wahan SHiRK Ka Hukum Nahi
Lagta.


Q.Hidayet Kon Deta He?
A.Hamara Emaan He K ALLAH Ki Marzi k Khilaf Nabi Hidayat Nhe Karte
Magar ALLAH Ki Ataa Se Nabi Hidayet Karte Hen “Aur Tum Aye Mehbub Hidayat Karte Ho Seedhe Raaste Ki”
(AlShura Ayat#52)
Rab Ne Huzoor Ko HAADI Bana Kar Bheja Aur HAADI Aapka Sifaati Name Bi He

QUR’AN:
ALLAH Aur Us KE Rasool Dono Dene Wale (Daata) Hen
=AL-TOUBA>10/59
~Mere Aaqa Detey Hen~
~Jholi Sab Ki Bhartey Hen~

QUR’AN:
ALLAH Bhi Wali Hai Aur Us Ka Rasool 0r Eman Waley Bhi
=AL-MAiDA>6/55
Shirk, Biddat Ki Ratt Lagane Waley Gour o Fikar Karen

Ye To Ap Jante Hen Ke Elm-e-Gaib ALLAH Ki Sifat He.
Q. Agr Koi Qur’an Ki Roo Se RasooLon Ke Lye Bhi ELm e Gaib Ko Maane To Kya Ye Shirk Hoga?
A.Ji Nahi,
*AL-QURAN*
“Gaib Ka Jan’ne WaLa Apne Gaib Par Sirf Apne Pasandida RasooLon Hi Ko Aagah Frmata He, Har Kisi Ko ELM Nhe Deta”
(Sura e Jinn Ayat #26-27)
Bus Samajhne Ki Baat Ye He Ke ALLAH Ka Aalimul Gaib Hona Zaati Aur MustaQil He, Jabke RasooLon Ko ALLAH ki Ataa se Haasil He.

BeShak ALLAH Madadgaar He Musalmano Ka.
Q.Agar Hum GhairULLAH Ko Bhi Madadgaar Kahen To Kya Ye Shirk Hua?
A . Nahi
AL-QURAN:
“BeShak ALLAH Inka Madadgaar Aur JibreeL Aur Naik Mominin Bi”
(Al-Tahreem Ayt#4)
Agar GhairULLAH Ki Madad Ka Yaqin Rakhna Shirk Hota To Ye Aayt Kyun NaziL Hui?

Shifa Dena Or Murdey Zinda Karna To ALLAH ki Sifaat Hen, LeKin
Dusri Taraf to ESSA Alaihssalam Se Ke Mutalliq Qur’an Ye Sifaat Batla Raha He!
AL-QURAN
“Aur Me Accha Karta Hun Andhey Aur Korhi Ko, Aur Murdey Zinda Karta Hun ALLAH Ke Hukum Se”
(Aal-E-Imran Ayat#49)

> bas Isi Tarah ALLAH Apni Ataa Sey Apne MaqbooLeen Ko Ghaib Ka ELm,
Tasarrufat, Bando ki Imdad Wa Haajat Rawa’ee Wgera Ataa Frmata He.

“ALLAH Jise Chahy Betyan Ataa Frmaye Or Jisey Chahy Bete Dey”
(Al-SHURA Ayat#49)
Q. To Kya Hum Ksi MaQbooL Ghair e KHUDA K Lye Aisa Aqeeda Nahi Rakh Saktey?
A.Rakh Sakte Hen
AL-QUR?N:
(JibreeL)
“Me Tere RABB Ka Bheja Hua Hun Taa Ke Me Tujhe Ek Suthra Beta Dun”
(MARYAM Ayat#19)

“Tum Frmao Tumhe WAFAT Deta he Mout Ka Farishta Jo Tum Par Muqarrar He”
(SAJDAH Ayat#11)
Kesi AJEEB Baat He Ke Loug Is Aayet Par To Sar-e-Kham Tasleem Karen
Par Is Aayat Ka Inkaar Karte Phiren?
Ke..
“ALLAH Aur Iska RASOOL Aur MOMIN Tumhare Madadgaar Hen” (MAAEDA Ayat#55)
Aisa Kyun?


“BeShak Izzat Sari ALLAH Ke Lye He” (YOUNUS Ayat#65)
Q. Agar Hum ALLAH Ke Pyaron Ko Bhi Izzat Wala Kahen To Kya Ye SHIRK Hoga?
A. Ji Nhe,
Kyunke Ye Bi QURAN Ka Irshad He “Aur Izzat To ALLAH Aur Iske RasooL Aur Musalmano Hi K Lye He
Magar Munafiqon Ko Khabar Nhe” (MUNAFIQOON Ayat#08)


Hazrat Es saa Alaihissalam Ka Elaan;
“Kon Mera Madadgar He ALLAH Ki Taraf” (Aale Imran Ayat#52)
Q. Essa Alaihissalam Ka Is Tarah Gairullah (Yani Hawariyo) Se Madad Mangna Shirk Kyu Nhi Hua?
A . KyunKe;
“Beshak ALLAH Inka Madadgar Aur Jibreel o Naik Mominin Madadgar”
(Tehreem Ayat#04)

“Farma Dijye, Mere Lye ALLAH Kaafi He”
(Touba Ayat#129)
Q. To Kya Ye Kehna SHIRK Hoga?
Ke “Mere Lye ALLAH o RasooL Kaafi Hen”
A. Nahi Ji Qur’an Me To Ye Bhi He;
“Aye NABI Aapko ALLAH Kaafi He Aur Ittiba Karne Waley Mominin” (Anfaal Ayat#64)
Yaad Rahey!!
Aayat Ka Inkaar KUFUR He


ALLAH Hi Hukum Deta Hey Aur ALLAH Hi FAISLA Karne Wala Hey Lekin
Dusri Taraf Qur’an Me Ye Bhi Irshad Hua;
“Shohar Aur Biwi Ke Tanaz’ey (Jhagre) Ko Hal Karne Ke Lye Ek Faisla Karne Wala Biwi Ki Taraf Sey
Aur Ek Shohar Ki Taraf Sey Muqarrar Kya Jaye” (Al-Nisaa Ayat#35)
Kya Samjhey?


Q.Hum”Ya Rasoolallah Madad” “Ya Ghous Al Madad” Kyun Kehte Hen?
ALLAH Ki Ataa Sey Anbiya, Auliya Bhi Fayda Puhncha Saktey Hen.
Qur’an Parhen; Noor Paayen; “Tumhara Madadgar Nahi Magar ALLAH Aur Uska Rasool (Sallal laho Alaihe Wasallam)”
[Al-Maida 55]
“ALLAH Aur Uskey Rasool Ney Apney Fazal Sey Ghani Kar Dya”
[Touba 74]
“Be Shak ALLAH Unka Madadgar Aur Jibreel Aur Naik Imaan Waley Aur Is Ke Baad Farishtay..”
[Tehreem 4]

Siddiq e Akbar: Sab Sy Zyada Sach Bolne Wala
Farooq e Azam: Sab Sy Behtar Haq o Baatil Me Farq Karny Wala
Ali Akbar: Sab Sy Zyada Buland
Ye Sab Bhi To Insano Ke Alqaab Hen
Baat Baat Par Shirk Ke Fatwe Lagany Walon Ki Nazar Me To Hazraate Abu Bakr o Umer Ke Name Lene Waly Bi Mushrik Hogaye

Koi Musalman Kisi Banday Ko ALLAH Ki Misl, UsKi Manind Ya UsKe Bagair Madadgar Nahi Samajhta
Aur ALLAH Ke Izan o Ataa Sy Hony Wali Madad Goya ALLAH Hi Ki Madad Hy.
Kaainat Ka Koi Bhi Zarra ALLAH Ke Hukum Ke Bina Madad Nahi Kar Sakta Khaliq Apny
Mehbubon Ki Dua w Wasilay Ko Qubul Farmata hy. Aur Aisa Krny My Wo Majbur Nahi Bulke
Jab Wo Kisi Ko Mehboob Banata Hy To Unhe Apni Sifat Ka Mazhar Bana Ke Unki Baat Qubool Farmata Hy (Bukhari-Muslim)


ALLAH Ka Naik Bando Ke Mutaliq Farman;
“Me Uske Kaan Hojata Hun Jis Se Wo Sunta He, Uski Ankhen Hojata Hun Jis Se Wo Dekhta He”
(Bukhari V2 P#963)
Yaani
Jub ALLAH Ka Noor Unke Kaan, Unki Aankh Hojata He To Wo Door o Nazdeek Ki Pukar Sun Lete Hen,
Door Se Hi Mulahiza Karte Aur Mushkil Ko Asaan Karne Per Qaadir Hojate Hen (Tafseer Kabir V7 P#436)
Magar Bandon Ki Ye Sifaat Aarzi, Ataayi, Majazi, Aur Haadis Hen Ye Aqeeda Rakhny Me Kya Burayi He?

Alhamdulillah
Hamary Da’wey Ki Daleel Par Qur’an o Hadees Ki Roshni Me Baat Ki Gayi Ab SHIRK Ke Fatwey Lagany Walon Ka Haal Mulahiza Farmaiyye >>

“Buhat Se Log Is Qur’an Se Gumraah Hotey Hen Aur Buhat Se Log Is Se Hidayat Paate Hen” (Al-Baqarah Ayat#26)

¥ Gumraahiyat ¥
Zamana e MOULA ALI Me Ek GiROH Ne Qur’an Ki Ek Aayat Ko Maana Lekin Dusri Aayt Ka Inkaar Kya
Aur MOULA ALI Ko Mushrik Kaha (Bukhari – Muslim)
Jese Aaj Kal Ke…

Beshak Wo Jinko Tum ALLAH Ke Siwa POOJTE Ho, Tumhari Tarah Bandey Hen,
To Inhe Pukaro Phir Wo Tumhe Jawab Den Agar Tum Sachche Ho” (A’raaf Ayat#194)
Ye Aur Is Tarah Ki Kayi Ayaat Buton Ki IBAADAT Ki Mazammat Me NaaziL Ki Gayin Hen
Na Ke SAALiHEEN Ke Muta’alliq. (Qurtubi V7 P#300) (Tafsire Kabir V5 P#431)
“Kharji Itne Gumraah Hen Ke Jo Aayaten Kaafiron Ki Muzammat Me Naazil Huin, Musalmano Par Chispaan Karte Hen”
(Bukhari V#2 P#1024)

Q. Kya Ummat e MUHAMMAD Kabi SHIRK Me Mubtila Hogi?
A.Mere Aaqa (alehisalatuwassalam) Farmatey Hen! KHUDAA Ki Qasam Muje Tum Per Koi KHOFF Nhe K Mere Baad SHIRK Karoge
(Bukhari Jild #2 Page #975 Hadith #6102)
Iske Elawa Mazid 4 Maqaam Par Bukhari Me Hi Ye Hadees Paak Mojud Hy

Sarkar Ek Din Uhad Walon Ke Paas (Mazar Pr) Nikly, Namaz Parhi, Phir Mimber Par Loutey Aur Farmaya;
“Me Aagey Jane Wala Hun, Aur Men Tum Per Gawah Hun,Men Apne Houz Ki Taraf Bhe Dekh Raha Hun,
Aur Zameen Ke Khazano Ki Kunjiyan Mujhe Di Gayi Hen, Aur BaaKhuda Muje Iska Khouff Nahi Ke Tum Mere Baad Shirk Karne Lago Gy,
Lekin Darr Hy Tum Dunya Ke Ragbat Me Ek Dusrey Se Muqabla Karogy” (Bukhari H#1261 -Janazey Ka Baab)
Agar Is Hadis Par Gour Kijye To Is Sy
>Urs Manana
>Ikhtiyar e Mustafa
>Hazir Nazir
>Elm e Gaib
>Hayaat
Sab Sabit Hua Aur Phir Ye Bhi Bata Dya Ke Jo Ye Aqeeda Rakhy Wo MUSHRiK Nahi

Q.Gumraah Logo Ke Mut’alliq Sarkar Kya Farmatey Hen? “Muje Tum Me Us Shakhs Ka Darr He Jo Qur’an Parhey Ga Islam Ki Chaadar Orhe Hoga,
Phir Usey Allah Jidhar Chahe Ga Behka Dega Wo Islam Ke Chadaar Se Saaf Nikal Jaye Ga Usey Pas e Pusht Daal Dega Aur Apne Parosi Ko Shirk Se Mansoob Karega
(Un Par Shirk Aur Kufur Ke Fatwa Lagaye Ga) Pucha Gaya;
“Shirk Ka Haq Daar Koun Hoga?”
Farmaya;
“Jo Tuhmat Lagaye Ga” (Ibne Kaseer V2 P#665)

#Sunni Zouq#
~Madad Kyun Na Maangey Walyon Ke Darbar Sy
~Ye Kaam Bahar Nahi Qudrat e Parwardigar Sy
~Badal Jaati Hey Taqdeer Us Banda e Momin Ki Bilal
~Jo Karta Hey Pyar ALLAH Ke Har Wali Har Yaar Sy

ALLAH Jaga Sey Paak Hey Islye Yun Kehna Ke “ALLAH Arsh e Azeem Par Hy” Ye Kufar Hy.

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)