.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

AhleSunnat wal jamat Aqeede

0

 

Picture
GUZARISH Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu :-
 Mere pyare Sunni Shaih Ul Aqaida Hamara Maqsad hai ke ap sabhi logon ko sahi malumat hasil ho or aapka Aqaida durust ho sake. koi bhi musalman jhoote or baddeen firqon men mubtila na ho.hamri yahi koshish rahegi ki ham aapke samne har baat quraan-o-hadees se sabit karen. take aap khud tehqeeq kar saken or mas'alon ko samajh saken.jisse aapka eeman majboot ho.bas aap hamari post ko achchhi tarah or poora padhen.shukriya.
SUNNIYO KE SARE AQIDE QURAN AUR HADIS SE SABIT HEN ........ AAP ES POST KO PURA PADH LE INSHAALLAH KOI BHI APKO GUMRAH NAI KAR SKEGA.

Aqeeda1.

>Rasoolallah(SALLALLAHO ALAIJI WASALLAM) Noor hai, Noorul bashar hai.
Quran Sharif:- Beshak tumahare paas Allah ki taraf se ek Noor aaya Aur roshan kitab. (Surah Maida verse 15)
Is Ayat me “Noor” se muraadHuzoor (SALLALLAHO ALAIJI WASALLAM) ki Zaat-e-paak hai. 
[Tafseer ibn Abbas Pg.72- Published Egypt] 
Hadees sharif :- Hazrate Jabir RadiAllaho ta’ala ne Huzoor (alaihisallaam) se jab poocha ke Allah Ta’ala ne sabse pehle kis cheez ko paida farmaya Ispar Rasoolallah (SALLALLAHO ALAIJI WASALLAM) ne Irshad farmaya “Ae jabir! Beshak Allah ta’ala ne Sabse pehle Apne noor se Tere nabi ke Noor ko paida farmaya” [Mawahibul Laduniyah Shareef Pg.9 Vol.1 - ZurqaaniShareef Pg.46 Vol.1 – Seerat-e-Halbia Pg.37 Vol.1 -Sharah Dalailul Kheyraat Pg.210 – Hujatul’laahial al Alameen Pg.28 - Anwaarul Muhammadiya Pg.9 - Fatawa Hadeethia Pg.51] 
Hazrat Ali (RadiAllaho ta’ala anho) farmate hain “jab Huzoor (SALLALLAHO ALAIJI WASALLAM) kuch Irshaadfarmate the to unke mubarak daantonke bich me se Noor ki kirne Phut ti dikhai deti thi” [Mawahibul LaduniyahPg. 270 Vol.1 - Anwaarul Muhammadiya Pg.132 - Zurqaani Shareef] 
Ummul mumineen Hazrate Aisha Siddiqa RadiAllahota’al a anha farmati hain “Main Andheri raaton me bhi sui me dhaage puro leti thi, Huzoor alaihisalaam ke Noor ki roshni se” [Shara Shifa Hashia Naseemur Riyaz Pg.328 Vol.1] 
Isliye Sayyedi Sarkar Alahazrat Farmatehain:- Teri Nasle Paak me hai BachaBacha Noor ka..Tu hai Aine Noor Tera sab gharana Noor ka...! 

Aqeeda 2.

 Rasoolallah (SALLALLAHO ALAIJI WASALLAM) Afzalul bashar hai, bemisl-o-bemisa l hain.
Hadees Sharif:- Hazrat Abdullah ibn Umar(RadiAllaho ta’ala anho) farmate hain ke Rasoolallah Sallalaho alaihiwasallam ne farmaya: “Main tum me se kisiki tarah nahi hun.” [Jaam’e Tirmizi Pg.97 Vol.1 - Sahih Bukhari Pg.246 Vol.1] 
Hazrate Ali (RadiAllaho ta’ala anho ) farmate hain “Maine Huzoor (alaihisallaam) ke Jaisa kisi ko na paaya. Na unke pehle na unke baad” [Taareekh-e-Kab eer Pg.8 Vol.1 - Khasaais ul Kubra Pg.181 Vol.1 - TirmiziShareefPg.204 Vol.2] 
Isi liye Sayyedi Sarkar Alahazrat farmate hai:- Yahi bole Sidra Waale chamane jahan ke thaale Sabhi maine chaan daale terepaye ka na paayaTuje Yak na Yak banaya Tuje Yak na yak banayaTujhe Humd he khuda ya tujhe humd he khuda ya.. 

Aqeeda 3. 

Wasila Jaiz hai… Wasile ka munkir Quran Sharif ka munkir hai AurQuran ka munkir Beshak Khula Kafir hai!Quran sharif : “Ae Imaan walo Allah se Daro aur uski taraf Wasila dhundo [Surah Maa’idah Verse.35] 
”“Aur Agar Jab vo Apni Jano par zulm kare, To Ae Mehboob tumhare Huzoor hazir hon aur phir Allah se maafi chahein Aur Rasool unkishafa’at farmayen to Zarur Allah ko bohot Tauba kabul karne wala Meherbaan Paaein” [Surah Nisa Verse.64]
Isiliye shahzada-e-Alah azratHuzoor Mufti-e-Azam-e- Hind(RadiAllaho ta’ala anho) farmate hain:- Wasle Maula chahte ho, to wasila dhundlo..Bewasila Najdiyon hargiz khuda milta nahi…! 

Aqeeda 4.

 Hamare Nabi Hayatun nabi hai..Zinda hai. Yahan tak ke Allah ta’ala ke tamam nek bande Zinda hain.Quran Sharif:“Aur jo khuda ki raah me Maare jaye unhe Murda na kaho balke wo zinda hain, han tumhe khabar nahi” [Surah Baqara Verse.154] 
Hadees sharif:- “Allah Ta’ala ne mitti par Haraam kar diya hai ke wo Nabiyon ke Jismon ko khaye,Allah ke Saare Nabi Zinda haiaur Rizq diye jate hain” [Ibn Majah Pg.119 - Jaame Sagheer Pg.54 Vol.1 - Mishkaat Shareef Pg.112 Vol.2]
Huzoor (alaihisalaam) ne farmaya: “Shabe meraj ki raat maine Moosa (alaihissalaam) ko unki Qabr me Lal rang ke Pathar ke paas khade hokar Namaz Padte Dekha” Tu Zinda hai vallah, Tu zindahai Vallah… Meri Chasme Alamse chup Jane Wale…!
(Sarkar Alahazrat) Isi tarah se Tamam Sunni Aqaid-e-Ahle Sunnat Quran o Hadees Sharif Se Saaf Zahir hai…Wa Akhiruda’waana anil humdulillahi rabilaalameen MASLAKE ALAHAZRAT QURAN SHAREEF AUR AHADEES SHARIFKI ROSHNI ME: Alhumdulillah Sunniyat yani Maslak-e-Alahazrat hi wo mazhab e haq hai joApne har ek Aqaid aur Amal ko Quran O Hadees Sharif ki Roshni me Sabit Karta hua Nazar Aata hai. Is Se Mutaliq Mukhtasar se kuch Daleelein Pesh ki jayengi Jo Agar ek Aam Shaks Samajh kar Yaad karle to Bohot Se Fitno se Insha allah bach sakta hai.Aur Batil ka muh todJavab de sakta hai.

 AOWLIYA ALLAH KE MAZAAR UONCHE BANANA JAAYEZ HAI ~

​Pyare islami bhaio aur bahno,waqt nikal kar is post ko jarur padhe aur dusare tak bhipahuchaye aur apne imaan ki hifazat karen
WAHABIYO KA MAZAARAAT E AULIYA ALLAH PAR IMAARAAT KE AITRAAZ KA JAWAB

** Sawal-1- mishkaat baabuddafan(page.148) me hai :- Abu hayaaz Asadi se marwi hai ki mujh se Hazrat Ali Radi Allahu ta'ala Anhu ne farmaya ki kya me tumko is kaam par na bheju ! Jis par mujhko HUZOOR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne bhejaa tha wo ye ki tum koi tasweer na chhodo magar mitaa do !aur na koi Oonchi Qabr magar usko barabar kar do !

** Sawal-2-Bukhari zild doum kitaabul- janaaiz baabul-zaride Alal- Kabre ! (page.181)me hai :- Ibne Umar Radi Allahu ta'ala Anhu ne Abdurrahman ki Qabr par kubba khema dekha ! Lihaaja Aapne farmaya ki Aye Ladke Isko Alaahidaa kar do ! Kyo ki Un Par Unke Amal Saaya kar rahe hai in dono hadiso se malum hua ki Agar kisi Qabr par imaarat bani ho ya ki Qabr unchi ho to usko gira dena chaahiye !
'Note :-  is hadith ko Aadh banaa kar najdi wahabiyo ne sahaba e qiraam aur ahle bait ke mazaaraat ko gira kar zamin ke baraabar kar diya !

** JAWAAB ** Jin Qabron ko gira dene ka hazrat Ali radi Allahu ta'ala anhu ne hukm diya hai wo Kuffaar ki Qabren thin ! Na ki muslemin ki ! Iski chand wajahe hain !
Awwalan to ye ki hazrat Ali radi Allahu ta'ala anhu ne farmaya ki me tumko us kaam ke liye bhejta hu jiske liye mujhe HUZOOR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne bheja tha !
HUZOOR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ke zamane me jin ki Qabro ko hazrat Ali ne giraya wo musalmano ki Qabrein nahi ho sakti ! Kyo ki har sahaabi ke dafan me HUZOOR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM shirakat farmate the ! Aur sahaba kiraam koi kaam bhi HUZOOR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ke bagair mashwara ke na karte the.
lihaaja us waqt jis kadar kubur e muslemin bani woh ya to HUZOOR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ki moujoodgi me ya Aapki ijaazat se !

To wo kon se musalmano ki Qabren thi jo ki najaayez ban gayi aur unko mitana pada ! Haan, isaai ki kubur unchhi hoti thi !
Bukhari sharif me masjid e nabwi ki taamir ke bayaan me hai !
HUZOOR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM  [FATHUL-BAARI ZILD DOUM PAGE.260] ME FARMATE HAIN-
Kya jaahiliyat ke mushrekin ki Qabrein ukhed di jaayen (baab) farmate hai yaani ma siwa ambiya aur unke muttabaeen ke kyo ki unki kabrein dhane me unki touheen hai !

Dusri jagah farmate hai “Is hadith me is par dalil hai ki jo kabristaan mulk me Aa Gayaa usme tasarruf karnaa jaayez hai aur purani Qabrein ukhaad di jaaye ba sharte ki izzat wali na ho” !
Is hadith aur iski sharah ne mukhalif ki pesh karda hadith- Ali radi allahu ta'ala anhu ki tafseer kar di ! Ki mushreek ki Qabrein giraai jaaye. dusre isliye ki isme Qabr ke saath Photo ka kyo zikr hai musalaman ki Qabr par Photo kaha hota hai ?
Maalum hua ki kuffar ki Qabrein hi muraad hai kyoki unki Qabron par mayyat ka photo bhi hotahai !

Tisre isliye ki farmaate hai ki unchi Qabr ko zameen ke baraabar kar do ! Aur musalman ki Qabr ke liye sunnat hai zamin se ek hath unchi rahe ! Usko bilkul paiwand zamin karma khilaaf e sunnat hai !
Maan na padenga ki wo kubur e kuffar thi warna ta'ajjub hai ki Seyyadna Ali to unchi qabrein ukhadwaayen aur unke farzand
muhammad ibne hanfiya ibne abbas radi Allahu ta'ala anhuma ki Qabr par kubba banaayen !

Agar kisi musalman ki kabr unchi ban bhi gayi ! Tab bhi usko nahi ukhaad sakte kyo ki usme musalman ki touheen hai ! Awwalan unchi na banaao ! Magar jab ban jaaye to na mitaao !
Quraan paak chota size chhapna mana hai ! Dekho shaami "kitaabul –karaahiyat"magar jab chhap gayaa to usko na faiko na jalaao kyo ki isme Quraan ki be adabi hai !

Ahaadis me warid hai ki musalman ki Qabr par baithna waha joota se chalna waise bhi us par chalna fhirna mana hai !
Magar afsos hai ki najdi ne sahaaba qiraan ke mazaarat giraaye.
aur malum huwa hai ki ab jeddah me angrez isaai ki unchi-unchi Qabrein barabar ban rahi hain "SADQA RASULALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM YAKTULUNAA AHLAL-ISLAAM E WA YATRUKUNAA AHLAL- ASNAAM" Har ek ko apni jins se muhabbat hoti hai.
Hazrat ibne Umar radi allahu ta'ala anhu ki hadith se sanad laana mahaj bejaa hai ! Wo to khud farma rahe hai ki maiyyat
par aamaal ka saayaa kaafi hai jis se maalum hua ki agar maiyyat par saaya karne ke liye kubba banaaya to manaa hai !
Zaaireen ke aaraam ke liye banaaya to jaayez hai! Aeni sharah bukhari isi hadith ke matahat farmate hai !
Idhar ishaara hai ki Qabr par sahih garaz ke liye khema lagana jaise ki zindo ko dhup se bachane ke liye na ki maiyyat
ko saaya karne ke liye jaayez hai ! Mazaaraat par imaarat bahut fayeda mand hai !
Tafseer e ruhul-bayaan para 26 sur:fatah zere aayat" Iz yubaaeunaka tahatasshazarat e"

ki baaz log kehte hai ki chunki aaj kal log Auliya ALLAH ki Qabron ki taazim karte hai lihaaza ham in Qabro ko giraayenge taaki ye log dekh le ki Auliya ALLAH me koi Qudarat nahi hai ! Warna wo apni Qabron ko girane se bachaa lete !
To jaan lo ki ye kaam khalis kufr hai firoun ke is koul se maakhuz hai ki chhod do mujhko me moosa ko Qatal kar du wo apne khuda ko bulaa le me khouf karta hu ki tumhara din badal dega ya zamin me fasaad faila dega !

Aaj ye wahabi gair muqallid ahle hadees kehte hai ki agar Auliya allah ya sahaba e Kiraam me kuch taaqat  thi to Saudi hukumat se apni Qabron ko kyon na bachaaya ? Maalum hua ki mahaj murde hai phir unki taazim wa to’ukeer kaisi ?

Ham ye kehte hai ki HUZOOR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM se pehle kaaba mu'azama me 360 boot the aur ahaadis me hai ki ankarib qayaamat ek shakhs kaaba sharif ko gira dega !
Laahor me masjid shaheed ganj sikhon ka guru dwaraa ban gayi !
Bahut si masjid hai jo ki barbaad kar di gayi to agar hindu kahe ki agar ALLAH me taakat thi to usne apna ghar
hamare hatho se kyo na bacha liya ?

Auliya ALLAH ya unki makaabir ki taazim unki mehboobiyat ki wajah se ki jaati hai na ki mahaj qudarat se ! Jaise ki masaajid aur kaaba mu'azama ki taazim.

ibne mas'ood ne bahut si masjide gira di jaise ki masjid seyyadna bilaal, kohe safaa wagaira wagaira Mashaikh e kiraam     auliya e Izaam Aulma e Kiraam ke mazaarat ke ird-gird ya uske qarib me koi imaarat banana jaayez hai iska subut Quran
Kareem aur Sahaba e Kiraam wa Aammatul-muslemeen ke amal aur Aulma ke aqwal se hai!

Quran e Kareem ne ashaab e kahaf ka kissa bayaan farmate huye farmaya !"kalallazina galabu ala Amrehim lantakhezanna Alaihim masjidan" woh bole jo is kaam me gaalib rahe ki ham to un as'haabe kahaf par masjid banaayege Ruhul bayaan me is Aayat me "buniyaanan" ki tafseer me farmaya Yaani unhone kaha ki as'haabe kahaf par aisi diwaar banaao jo unke Qabr ko ghere aur unke mazaaraat logo ke jaane se mahfuz ho jaaye jaise ki HUZOOR SALALLAHU TA’ALA
ALAIHI WASALLAM ki Qabr sharif chaar diwari se gher di gayi hai ! Magar ye baat naamanzur huyi tab masjid banayi gayi !

masjidain ki tafsir  Qura’an ruhul bayaan me hai "yusalli fihil-muslemuna wa yatbarrukuna bemakanehim" log isme namaz padhe aur unse barkat len !
Quraan kareem ne un logo ki do baaton ka zikr farmaya ek to as'haabe kahaf ke gird kubba aur makbarah banane ka mashwara  karna !
Dusre unke karib masjid banana aur kisi baat ka inkaar naa farmayaa jis se malum hua ki dono fail jab bhi jaayez the aur ab bhi jaayez hai ! Jaisa ki kutube usul se saabit hai ki "sharae Qablinaa yalzemuna" HUZOOR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI
WASALLAM ko hazrat siddika ke huzre me dafan kiya gaya agar ye naajaayez tha to pehle sahaaba e kiram isko giraa dete fir dafan karte!

Fir hazrat e umar radi allahu ta'ala anhu ne apne zamana khilaafat me uske gird kachchi Inton ki gol diwaar khinchwa di fhir walid ibne abdul-malik ke zamana me seyyadna ibne zubair ne tamam sahaba qiraam ki moujoodagi me 88 hijri me is imaarat ko nihaayat majboot banaaya ! Aur usme patthar lagwaye !

Bukhari “zild awwal kitaabul- zanaai z aur mishkat baabul-buka alal-meyyat”me hai ki hazrat imam hasan ibne hasan ibne Ali radi allahu ta'ala anhu ka Inteqal hogaya ! "zarabat Imraatuhul-kubb ata alaa kabrehi santan" to unki biwi ne unki Qabr par ek saal tak kubba daale rakha ! Ye bhi sahaaba e kiraam ke zamana me sabki moujodagi me hua kisi ne
inkaar na kiya aur unki biwi ek saal tak waha rahi fir ghar wapas aayi !
jaisa ki is hadith me hai is se buzurgon ki Qabro par mujaawiro ka baith na bhi saabit hua !

Auliya allah "SHA'AAIRILLAH"  HAI aur "SHA'AAIRILL AH"  KA adab Jaruri hai.. ab is jawab ke baad bhi kisi wahaabi ko samajh me naa aaye to fir usko 440 watt ka dimaag me jatka denaa padenga ALLAH Ne apne  HUZOOR SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ke sadke me ise qubool farmaye mere liye kaffaara e saiyat aur sadka zariya banaaye musalamano ke liye ise naafe banaaye… Ameen Summa Ameen….…….. Dua Mein KHaas Yaad Rakhiyega……..

~ ANGUTHE CHUMNA -2 ~

~ ANGUTHE CHUMNA KAISA HADIS KI ROSHNI ME "AUR AITRAZ KE JAVAB” ~

[1]:- HUZUR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM SE MARAWI HAI KE :
"JO SHAKHS HAMARA NAAM AZAN ME SUNE AUR APNE ANGUTHE AANKHO PAR RAKHE TO HUM USE QIYAMAT KI SAFO ME TALASH KARENGE AUR USE HAMARI PICHHE PICHHE JANNAT ME LE JAYENGE" 
                          =>SALATE MAS'OODI PART-2 BAAB E NAMAZ

[2]:-IMAM SAKHAVI REHMATULLAH ALAIHI NE FARMAYA KE :
"DAYALAMI NE FIRDAUS ME ABUBAKR SIDDIQ RADIYALLAHU TA'ALA ANHU SE RIVAYAT KI HAI KE UNHONE JAB MO'AZZIN KE CALL'ASHADU' ANNAMUH AMMADARRASULLAH 'SUNA TO WO HI FARMAYA AUR APNI KALME KI AUNGLI KE BATINI HISSO KO CHUMA AUR AANKHO SE LAGAYA.
FIR HUZUR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAYA KE JO SHAKHS MERE IS PYARE (ABUBAKR) KI TARAH KARE USKE LIYE MERI SHAFA'AT WAZIB HOGAYI."   =>MAKASID E HASNAH =>FIRDAUS

[3]:- AZAN KI PEHLI SHADAT PAR YE KEHNA MUSTAHAB HAI :
"SALLALLAHU ALAIKA YA RASULALLAH' AUR DUSRI SHADAT KE WAQ YU KAHE 'QURRATU AINEE BEEK YA RASULALLAH FIR APNE ANGUTHE KE NAKHUN APNI AANKHO PAR RAKHE AUR KAHE'ALLAHUMMA MATTI'ANI BEESSAM'EE WALBASAR TO HUZUR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM USKO APNE PICHHE PICHHE JANNAT ME LE JAYENGE.
                                               =>SHAAMI PART-1 BAAB UL AZAN

[4]:- ”JO AZAN ME'ASHADU'ANNA MUHMMADARRASULLAH SUNKE APNE ANGUTHO KE NAKHUN CHUME  TO MAI USKO MERE PICHHE PICHHE JANNAT ME LE JAUNGA”  
=>KANZUL AEBAD     =>HASHIYA BAHRURRAEEK     =>SHAAMI  
=>FATAWA E SUFIYA        =>KITABUL FIRDAUS       
                            :-IN SAB KITABO ME ISE MUSTAHAB BATAYA HAI.

[5]:- MAKASIDE HASNAH ME MUSANNIF ABUL AAS NE AHMED ABI BAKR DAAD SE NAQAL KIYA KE :
"HAZRAT KHIZR ALAIHISSALAM SE RIVAYAT HAI KI JO SHAKHS MO'AZZIN KO YU KEHTA SUNE 'ASHADU'ANNA MUHAMMDARRASULALLAH' TO KAHE MARHABAN BI HABIBI WA QURRATU AINEE MUHAMMAD IBNE ABDULLAH 'FIR APNE ANGUTHE CHUME AUR APNE   ANKHO SE LAGAYE TO USKI AANKHO KABHI NAHI DUKHEGI."
FIR AAGE FARMATE HAI FAQIH MUMMAD IBNE BABA NE APNA WAQYA BAYAN KIYA KI EK BAR TEZ HAVA CHALI JISSE UNKI AANKH ME KANKARI PAD GAEE AUR NA NIKLI, SAKHT DARD THA, JAB UNHONE MO'AZZIN KO KEHTE SUNA'ASHADU'ANNAMUH AMMADARRASULLAH 'TO ANGUTHE CHUM KAR AANKHO SE LAGAYE TO KANKARI AANKH SE NIKAL GAYI.                                            =>MAKASIDE HASNAH

[6]:- SHAMS MUHAMMAD IBNE SALEH MADANI SE RIVAYAT KI UNHONE IMAM AMJAD KO FARMATE SUNA. IMAM AMJAB MUTQADDEMIN MISAR KE ULEMA ME SE HAI, KI FARMATE THE :
"JO AZAN ME HUZUR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA NAAM E PAAK SUNE TO APNE KALME KI UNGLI AUR ANGUTHA MILAKAR DONO KO CHUM KE AANKHO SE LAGAYE TO KABHI AANKHE DUKHEGI NAHI. AUR MERI BHI AANKHE DUKHI NAHI.         =>MAKASID HASNAH

[7]:- IBNE SALEH NE FARMAYA KE JAB SE MAINE YE AMAL KIYA TAB SE MERIAANKHE NAHI DUKHI,AUR MAI UMMID KARTA HU KE IN SHA ALLAH ! YE AARAM HAMENSHA RAEGA AUR MAI ANDHA HONE SE MEHFOOZ RAHUNGA.                           =>MAKASIDE HASNAH
[8]:-IMAM HASAN RADIYALLAH TA'ALA ANHU SE RIVAYAT HAI KE :
"JO SHAKHS ASHADU'ANNAHMUH AMMADARRASULLAH SUNKE YU KAHE'MARHABAN BI HABIBI WA QURRATU AINEE MUHMAMMD IBNE ABDULLAH AUR APNE ANGUTHO KO CHUM LE AUR AANKHO SE TO KABHI ANDHA NAHI HOGA,AUR NA KABHI USKI AANKHE DUKHEGI.
                                                     =>MAKASIDE HASNAH
[9]:- MAULANA JAMAL IBNE ABDULLAH UMAR MAKKI REHMATULLAH ALAIHI APNE FATWE ME FARMATE HAI :-
"HUZUR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA NAAM E MUBARAK SUNKE ANGUTHE CHUMNA AUR USE APNI AANKHO SE LAGANA JAYEY BALKE MUSTAHAB HAI AUR HUMARE MASHAIKH NE TASRIH KI HAI.
                                                      =>KANZUL AEBAAD

[10]:- ALLAMA MUHAMMAD TAHIR REHMATULLAH ALAIHI FARMATE HAI :
”ISKE ANUBHAV KI RIVAYATE BAHOT SARI HAIN”    YANI KE ANGUTE CHUMNE SE HUYE FAYDE KE BARE ME. 
                                                          =>MAJMA BAHARUL ANWAR.

~HANFI ULEMA KE ALAWA SHAFAI AUR MALIKI MAZHAB KE ULEMA NE BHI ANGUTHE CHUMNA MUSTAHAB BATAYA HAI~

[11]:- SHAFAEE MAZHAB KI MASHOOR KITAB"AEAANUTTALIBIN ALA HALLI ALFAZI FATHE MUBIN"MISRI ME HAI:
"FIR APNE ANGUTHE,AANKHO SE LAGAYE TO KABHI BHI ANDHA NA HOGA AUR NA KABHI AANKHE DUKHEGI.      =>MISRI PAGE-247


12]:- MALIKI MAZHAB KI MASHOOR KITAB KIFAYATUTTALIB ME HAI :
"ANGUTHE CHUME AUR FIR AANKHO SE LAGAYE TO NA KABHI ANDHA HOGA NA KABHI AANKHE DUKHEGI. 
                                   =>KIFAYATUTTALI BIN PART-1 PAGE-169

ISKI SHARAH ME ALLAMA SHAIKH SAEEDI ADAWI PAGE-17 ME BATATE HAI KE MUSANNIF NE ANGUTHE CHUMNE KI JAGAH BAYAN NA KI LEKIN ALLAMA MUFASSIR NURUDDIN KHURASANI SE NAQAL KIYA HAI KI KUCH LOG UNSE MILE.TAB UNHONE MO'AZZIN KO ASHADU'ANNA MUAMMDARRASULLA H KEHTE SUNA TO UNHONE ANGUTHE CHUME AUR AANKHO SE LAGAYE.            =>MAKHUZ AZ NAHJUSSALAMAH

KUCHU AITRAZ KARTE HAI KI ANGUTHE CHUMNE KI HADIS ZAEEF HAI.
1- PEHLE TO YE KE YE MARFU SAHIH HADIS HONE KE BARE ME INKAR HAI, JISSE PATA CHALA KI ISKE BARE HADIS MAUKUF SAHIH HAI.
JAISA KI MULLA ALI QARI REHMATULLAH ALAIHI FARMATE HAIN :
"MAI KEHTA HU KE JAB YE HADIS KI PAHONCH SIDDIQ E AKBAR TAK SABIT HAI JISSE AMAL KE LIYE KAFI HAI.
KYUNKE HUZUR NE FARMAYA HAI : 
"TUM PAR LAZIM KARTA HU MERI SUNNAT AUR MERE KHULFA E RASHIDIN KI SUNNAT"                    =>MAUZU'AATE KABIR
2- KOI HADIS SAHIH NA HONE SE WO ZAEEF NAHI HO JATI KYUNKE SAHIH KE HASAN KA DARZA AATA HAI. HADIS HASAN HO TO BHI KAFI HAI
3- AMALO KI FAZILATO ME ZAEEF HADIS BHAROSEMAND HE.  FAZAEEL AMAL ME ZAEEF HADIS PAR AMAl KARNA JAYEZ HE.
=>SHAAMI PART-1   =>RADDUL MUHTAR   =>JA AL HAQ PART

~ ANGOOTHE CHOOMNA ~

Q. SARKAR SALLALLAHO ALAIHE WASLLAM KA NAAM MUBARAK SUN KAR ANGOTHA CHUMNA KAISA ?

(1) :- HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE RADI ALLAH ANHU NE AZAN MAIN AAP KA NAAM SUN K ANGOTHA CHUM KAR ANKHOON PAR PEHRA AUR KAHA.
TARJUMA:- "YA RASOOLLALLAH AAP MERI ANKHOON KI THANDAK HAIN"
JAB AZAN KHATAM HWI TU SARKAR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NAY FARMAYA Aey ABU BAKAR JU TUMHARI TARHAN MERA NAAM SUN KAR ANGHOTA ANKHOON PAR PEHRAY AUR JOO TUM NE KAHA WO KAHE TO ALLAH IS K TAMAM NAYE AUR PURANE ZAHIR W BATIN GUNAH MAAF FARMAYE GA. -------------- {Tafser Ruhul Bayan, Jild 4 Pg 648}

(2) :-  Hadees :- Nabi kareem salAllahoalaiwaslam ne farmaya (Jo shakhs mera nam azaan main sunay or apne angothay choum kar ankhon per rakhay to main usay qayyamat ke safon main talash karun ga or usay apne pechay pechay jannat main lye jaun ga.
(jama ul ramuz j#1 p#125) 

(3) :- Hadees :-- Hazrat Bilal ne Azan kahi Azan date hoe jb ASHADU ANA MUHAMMADAN par pohnche to Hazrat Abubakar SiddiQ ne apne Anghuthon ko Chum kar Ankhon se lgaya ye dekh kr Sarkar e Do Alam ne irshad farmaya,
" Jo mere SiddiQ ki tharha kare to Main kal Qayamat k din uski shifat kron ga". -------------- (Mozoat e Kabeer, Pg#384)


NOTE :- Anghota chomnay wali Sidque Akber Radi Allah Anhu wali hadith zaif hy?
1:- Is ka jawab khud Mula Ali Qari Rehmatullah Aleh daitay howy irshad farmaty hain kay jab is hadith ka rafih Sidque Akber Radi Allah Anhu tak sabit hy tu amal kay liye kafi hy. --------------  (AZ:MOZUAATE KABIR)
2:- Fiqae Hanafi ki Moetabar kitab kay name yeah hain jis main Anghota chumnay ko jaiz aur mustahab likha hy.
{1} Sharah Nikaya.
{2} Radul Mukhtar Sharah Dare Mukhtar Jild 1 Babul Azan Pg 267.
{3} Tahtawie Ali Muraqi Alfalah.
Sabit huwa ke Muhammad SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ke name girami sun kar Anghota choom kar ankhon par lagana jaiz hey aur mustahab hy.

~ AMBIYA-E-IKRAM SE MADAD MAANGNA SUNNAT HAI 



HADEES NO:1
HUZOOR-E-AKRAM SHAAFI-E-MEHSHAR SAIYAD-E-DO AALAM SALLALLAHO TAALA ALAIHI WASSALAM IRSHAD FARMATE HAI
"QAYAMAT K DIN SURAJ KARIB HONGA YAHATAK LOG PASINE SE BHIG JAYENGE. SAARI UMMATE MILKAR HAZRAT AADAM ALAISALAM KI KHIDMAT ME JAYENGE OR ARZ KARENGE "AI AADAM ALAIHISSLAM HUMARI *MADAD* KAREN"
HAZRAT AADAM ALAISALAM KAHENGE "TUM HAZRAT MOOSSA ALAI SALAAM KI KHIDMAT ME JAO"
FIR SAARI UMMATE MILKAR HAZRAT MUSA ALAISALAAM KI KHIDMAT ME JAYENGI OR ARZ KARENGI "AI MOOSSA ALAIHISSLAM HAMARI *MADAD* KAREN"
HAZRAT MOOSA ALAISALAM KAHENGE "TUM UNKE PAAS JAO JO MAKHSUS NABI HAIN"
FIR SAARI UMMATE MILKAR MERE PAAS AYENGI. MAI ARSH K NICHE SAJDA KARUNGA TO MUJHSE FARMAYA JAYENGA
"AI MEHBUB APNA SAR UTHAO OR SHAFA'AT KARO,TUMHARI SHAFA'AT KUBUL KI JAYENGI OR MAANGO TUMKO ATA KIYA JAYENGA" 
-------------------------  [SAHI BUKHARI.JILD:2, SAFA:536]
IS HADEES SE MALUM HUA AMBIYA SE MADAD MAANGNA YE QAYAMAT K DIN KI SUNNAT HAI SHIRK O BIDDAT NAHI.
TO JO QAYAMAT K DIN SUNNAT HAI TO WO AAJ BHI SUNNAT HAI.

HADEES NO:2
HAZRAT RABIA ASLAMI RADIALLAHO TAALA ANHO BAYAN KARTE HAIN-
"MAI RAAT KO HUZUR SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM KI KHIDMAT ME THA. MAINE HUZUR SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM KO WUZU KE LIYE PAANI OR DIGAR SAAMAANE ZARURAT PESH KIYA TO HUZUR SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM NE IRSHAD FARMAYA "JO CHAHO MAANGLO" MAINE ARZ KIA-
"YA RASUL ALLAH! JANNAT MAANGTA HU OR ISME AAP KA SAATH" HUZUR SALALAHO ALAI WASSALAM IRSHAD FARMATE HAI-
"KYA ISKE ALAWA OR KUCH MAANGNA HAI??" MAINE ARZ KIA "YA RASUL ALLAH YEHI CHAHIYE"
AAQA SALALAHO ALAI WASSALAM NE FARMAYA "JYADA SAJDO SE APNE NAFS KI ISLAAH KAR K MERI MU'AAWENAT KARO"
 ---------------------- [MISHKAT,SAFA:8 4 / MUSLIM,JILD:1,SAF A:83]
IS HADEES KI SHARAH KARTE HUYE MAULANA ALI QAARI MAKKI ALAIHIR REHMA MISHKAT SHARAH MISHKAT ME FARMATE HAI
"YAANI HUZUR SALALAHO ALAI WASSALAM KA FARMANA KI JO CHAHO WOH MAANGO SE PATA CHALTA HAI KI KHUDA TAALA NE AAP KO APNE KHAZANO MESE JO CHAHE WOH DENE KA IKHTYAAR DIYA HAI ISI LIYE HAMARE BUZURGO NE IS BAAT KO HUZUR KI KHUSUSIYAAT ME SE SHUMAAR KIYA HAI KI AAP JISKO JO CHAHE WO ATA FARMATE HAI"
 ----------------------  [MISHKAAT SHARAH MISHKAT,JILD:1, SAFA:550]
IS HADEES SE BILKUL SAAF OR WAAZIH HAI KI JIS ME HUZUR KE MUKHTAR-E-QUL HONE KA ZIKAR ITNA AYA HAI OR ZAHIR HAI ZEHEN PAR ZOR DAALNE KI BHI ZARURAT NAHI HAI.
YE HADEES UNLOGO KO BAHOT KHALTI HAI JO HUZUR KE IKHTIYARAT KI MUKHALIFAT KARTE HAI.ISLIYE WOH LOG IS HADEES
ME IDHAR UDHAR KI TAWILAT KARTE HAI OR MA’ANA BADAL KAR HUZUR KI SHAAN GHATATE HAI.MAAZALLAH
NOTE:- HAZRAT RABIA SE HUZUR KA YEH FARMANA KI JO CHAHO MAANGLO OR FIR INKA HUZUR SE JANNAT MAANGNA OR HUZUR KA YEH NA FARMANA KI YEH MERE BAS KI BAAT NHI BALKI ALLAH SE MAANGO. BALKI YEH FARMANA KI OR BHI JO CHAHO MAANGLO IN SABSE PATA CHALTA HAI KI ALLAH TAALA NE HUZUR SALALAHO ALAI WASSALAM KO MAALIK-E-JANNAT OR KAASIM-E-JANNAT BANA DIYA OR YEH FARMANA K SAJDE JYADA KIYA KARO. 
ISKA MATLAB YEHI HAI K JANNAT KE WAADE PAR GAAFIL HOKAR BETH JAANA BHI MUNASIB NAHI BALKI IBADAT KARTE RAHO.
AUR TAKRIBAN PAACH SAU SAAL KALB K MUHADDIS WA SHAREH MAULANA ALI QAARI MAKKI KI SHARAH "MISHKAT" KI IBAARAT JO HAMNE NAQAL KI HAI IS SE SAAF ZAHIR HO JAATA HAI KI PEHLE KE ULMA WA FUZLA IS HADEES SE YEHI MURAD LETE THE.WOH GAIR ZARURI QIL WA QAUL PAR YAKIN NAHI RAKHTE THE BALKI SIDHE SAADHE HADEES K MAANA PAR HI IMAAN RAKHTE THE.
ISLIYE IMAM-E-AHLE SUNNAT MUJADIDO DEENO MILLAT IMAM SHAH AHMAD RAZA KHAN FAZLE BARELVI AALA HAZRAT NE AAQA SALLALLAHO ALAIHI WASSALAM KO MUKHTAR-E-QUL KAHA HAI.
ISLIYE JANASHEEN E AALA HAZRAT OR JANASHEEN E MUFTI-E-AAZAM MERE PEER O MURSHID TAAJUL ULMA SHAIKH-UL-ISLAM MUFTI AKHTAR RAZA KHAAN TAAJUSHARIAH FARMATE HAI- "NABI MUKHTAR-E-QUL HAIN JO JISSE CHAHE ATA KARDEN" SALLALLAHO TAALA ALAIHI WASSALAM

~ HUZOOR-E-ANWAR  ﷺ  KA GHUSTAAKH HARAAM KI AOLAAD HAI ~

tafsir e saawi jild. 4 safa.198):>   para- 29, surah - al Qalam 68

walid bin mugira ne huzur SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki shaan me gustakhi ki yaani majnun kaha jis se nabi e paakSALLALLAHUALAIHIWASALLAM ko dukh hua to allaah taala ne chand aayaat e mubaraka naazil farma kar huzurSALLALLAHUALAIHIWASALLAM ko tasalli wa tashafi di aur aayat e mazkura baala me is gustakhi ke 9.(nau) aibon ko bayan farmaya hatta ke ye bhi zaahir kar diya ke is ki asl waladul haraam hai .jab ye aayaten naazil hui to walid bin mugira ne apni maan se jakar kaha ke MOHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM  ne mujh me9.nau baaten bayaan ki hen in me 8.aathh ko to main jaanta hun lekin .nauvin baatyaani meri asl me khata hona, tujhi ko malum hoga tu muje sach sach batade warna main teri gardan mardunga.us ki maan ne jawab diya ke haan beta tera baap na mard tha, mujhe fikr hui ke who mar jaaega to us ka maal dusre log lejaaenge, to main ne ek charwaahe ko bula liya, aur tu usi ke nutfa se paida hua hai.isi tafsir se malum huwa ke huzurSALLALLAHUALAIHIWASALLAM ki shaan e aqdas me gustakhi karne wale ko bura bhala kahena aur uske aibon ko khullam khulla bayaan karna sunnate ilahiyya hai allaah taala ki sunnat hai aur ye bhi pata chala ke huzur SALLALLAHUALAIHIWASALLAM ki shaan e aqdas me gustaakhi karne wala halaal ki aulaad se nahin hota,(quraan e majid me hai. waladuzzena) yaani haraam ki aulaad hota hai.(quraan:>paara.29)

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)