GUSTAKH- E-RASOOL KI SAZA
Hadees :
"Hazrat Anas (RadiAllahu Anhu) Farmate hai ki, Ek isaai Musalman Hua Usne Sureh Baqr or Sureh Aale Imran Padli fir Wo Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Bargahme Wahi ki Khitabat Karne laga iske Baad Wo isaai Hogaya, or Kehta Tha ki Mohammad Woh Jaante hai Jo Maine Likh Dia hai fir ALLAH Ta'ala Ne isko Maut Dedi or logo ne isse Dafan kardia Agle Din Iski laash Zameen par Padi mili Kehne lage ye Mohammed or uske Saathiyo ne Kiya honga Ye Unke Paas Se Bhag Kar Aagaya Tha isliye in logo ne Hamare Aadmi ki Qabar khod daali. Dusre Din inlogo ne iske liye Aur Gehri Qabar khodi lekin Ye Agle Din Zameen par Pada mila Kehne lage Ye Mohammed or uske Saathiyo ka Kaam hai, Khunki ye Unke Paas se Bhagkar Aagaya Tha. Teesre Din inlogo ne Jitni inke Bas ki Baat thi Uthni Gehri Qabar khodi, Subah hui To Dekha fir laash Bahar Padi hai , Ab Wo Samjhe ke Ye insaano ka Kaam nahi hai (yaani ye Sab Kuch Gaib se ho Raha hai) To isse Woh Pada Rehne dia
[Sahih Bukhari, Jild 1, Safa : 511]
Assalam o Alikum