Ilm E Gaib Ki Woh Hadees Jise Gustakh Ilm E Gaib Ki Nafi K Liye Dalil Lete Hai Aur Unke Jawabaat
Mukhalifeen Nafi E Ilm E Gaib K Liye Bahut Si Ahadees Pesh Karte Hai Unsabka Ijmali Jawaab Toh Yeh Hai Ki Un Ahadees Me Huzur Swallallahualaihiwasallam Ne Yeh Na Farmaya Ki Mujhe Rab Ne Fala Chiz Ka Ilm Na Diya Balki Kisi Me Toh Hai Allahu Aalam Kisi Me Hai Mujhe Kya Khabar.Kisi Me Hai Ki Fala Baat Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Na Batai.Kisi Me Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Fala Se Yeh Baat Puchi Aur Yeh Tamam Baate Ilm Ki Nafi Saabit Nahi Karti Na Batana Ya Puchna Ya Allahu Aalam Farmana Aur Bahut Si Maslehato’n Ki Wajah Se B Ho Sakta Hai.Bahut Si Baateln Khuda Ne Bande Ko Na Batai.Sawaal K Bawajood Makhfi(Chupaye) Rakha.Bahut Si Chizo’n K Muta’alik Parwardigar E Aalam Farishto’n Se Puchta Hai Kya Usko B Ilm Nahi.Ek Hadees Sahi Kataiyudhalaat Aisi Lao Jisme Ataai Ilm E Gaib Nafi Ho.Magar In Sha Allah Na Laa Sakege.Yeh Jawaab Nihayat Kaafi Tha Magar Fir B Unka Mashur Ahadees Arz Karke Jawaab Arz Karta Hu.
Wabillahittaufik.
Hadees # 1
Sahi Bukhari Jild 9 Hadees No. 477.
Hazrat Ayesha Radialla Taaa Anha Se Riwayat Hai Ki Jisne Kaha K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Apne Rabb Ko Dekha Woh Jhuta Hai Aur Jo Kahe K Nabi Swallallahualaihiwasallam Gaib Jante Hai Toh Woh Jhuta Hai
Jawab:
Yeh Hadees Bilkul Sahi Hai Lekin Hadees Ko Samajna Padega.....
Is Hadees Me 2 Point Hai..
1) Humare Sarkar Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dekha.
2) Agar Koi Kahe Ki Nabi Sallallahualaihiwasaalm Ko Ilm E Gaib Hai Toh Woh Jhuta Hai...
Pehle Point Ka Jawab Hum Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jeelani Radialla Taala Anhu Se Samajte Hai.
Kitab Ka Naam Gunya Tut Talebeen
Yeh Kitab Arbi Me Thi Aur Iska Tarjuma Kiya Hai Ahle Hadees Hafiz Mubashhir Hussain Lahori.
Safa No. 178 :
Likhte Hai : “Humara Aqeeda Hai K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Shab E Meraj Bedaari Ki Haalat Me (Khwab Me Nahi) Apne Sir Wali Aakhon Se (Dil Se Nahi) Allah Taala Ka Deedar Kiya Hai Jaisa K Hazrat Jabir Radiallataala Anhu Riwayat Karte Hai K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Aayat (Aap Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dusri Martaba Dekha ,Surah Najam Aayat 13, Ki Tafseer Me Farmaya K Mene Bila Shak Wa Shuba Apne Rab Ko Apne Saamne Dekha”.
Aur Akhir Ki Line Per Gaur Kare Hazrat Ibn Abbas Radiallataala Anhu Se Jo Riwayat Hai Ki Farmate Hai K Mohammad Swallallahualaihiwasallam Ne Apni Ankhon Se Do (2) Martaba Rabtaala Ka Deedar Kiya.
Subhan Allah
Hazrat Gaus E Paak Khud Apna Aqeeda Bayan Farma Rahe Hai Aur Hazrat Gaus E Paak Radialla Taala Anhu Ko Har Tabka (Jamaat) Manti Hai Aur Yeh Aqeeda Rakhti Hai Ki Hazrat Gaus E Paak Radialla Taala Anhu Allah Taala K Wali Hai .
Aur Aage Khud Hazrat Gaus E Paak Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Waali Hadees Ka Jawab Dete Hai,
Safa 179 Per
Likhte Hai: “Yeh Riwayat Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ki Riwayat Se Muta’araz Nahi Q K Inki Riwayat Me Nafi Hai Aur Yeh Isbaat Hai Aur Ijtama’a K Waqt Isbaat Naïf Per Muqaddam Hota Hai Aur Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Bhi Apni Rue’yat Ka Isbaat Farmaya.
Yaha Per Hazrat Gaus E Paak Khud Kehrahe Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam K Muqabil Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ka Qaul Nahi Maana Jayega.
Scan Page Mulahiza Ho.
Front Cover
Safa 178
Safa 179
Ilm E Gaib Aur Aimma E Muhaddiseen wa Mufassireen
http://786sho.blogspot.in/2017/04/ilm-e-gaib-aur-aimma-e-muhaddiseen-wa.html
Assalam o Alikum