.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

Imam Bukhari Alaihir Rehma se Gair Muqallideen ke Ikhtelafat

0

AJEEB BAAT

BUKHARI BUKHARI BUKHARI BUKHARI BUKHARI BUKHARI

Subah o Sham BUKHARI ki rut laganay wala Firqa'h Jadeed naam nihaad Ahlehadees

[GERMUQALLIDEEN] kay samnay Bukhari Shareef pesh ki jati hain to Ger Muqallideen ko Bukhaar hojata hay her Shukhsh janta hay k Ger Muqallideen [Firqa'h Jadeed naam nihaad Ahlehadees] Bukhari Shareef aur Imam Bukhari ki Zaat ko her Maslay may jawaaz bnaaker Saada'h looh Tabqay'h ko Gumraah karnay ki Maqdoor bher koshish kartay hain her wo Shukhsh jo Subah o Shaam Bukhari Bukhari ki Rut lagaye phirta hay kiya wo khud Bukhari Shareef ki Riwayaat aur khud Imam Bukhari say in kay baray may Ittefaaq bhi karta hay ya nahi , ye SAWAAL yaqeenan qabil e goor hay zail may chund Masayeel ziker kiye jarahay hain jin per
GERMUQALLIDEEN [FIRQA'H JADEED NAAM NIHAAD AHLEHADEES] aur Imam Bukhari Rehmahullah may Ikhtelaaf hay ¤

IMAM BUKHARI REHMAHULLAH SAY GER MUQALLIDEEN KAY IKHTELAFAAT

01•Peshab o Pakhana'h ki haalat may maidan may qibla'h ru moun'h ye peethh karna durust nahi aur eimaarat may durust hay imam bhukhari rehmahullah nay isay ikhtiyaar kiya hay
[ Tesarul baari page num 18 jild num 1 ]

jubkay Germuqallideen [Nawaab siddique hasan khan nay Muslim ki shara'h Alsiraaj ul wahaaj page num 1031 jild num 1 may aur Ubaidullah Mubarak Puri nay Miraatul Mafateh page num 411 jild num 1]
kay haan donoon jagah mana'a hay



02•Imam Bukhari kay nazdeek kuttay ka jhhota paak hay
[ Tesarul baari page num 134 jild num 1 ]
[ Fatahul Baari page num 283 jild num 1 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek kuttay ka jhhota napaak hay
[ Fatawa'h Ulama e Ahlehadees page num 21 + 238 jild num 1 ]



03•Imam Bukhari kay nazdeek jima'a kay waqt Inzaal na ho to aesi haalat may Gusal kar lay to ziyada aehtiyaat hay lekin wazo'u bhi kaafi hay
[ Tesarul baari page num 139 jild num 1 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqa'h jadeed naam nihaad Ahlehadeeth ] kay haan is haalat may gusel waajib hay
[ Alsiraajul Wahaaj page num 124 jild num 1 ]
[ Toufahtul Ahzavi page 111 jild num 1 ]
[ Fatawa'h Ahlehadees page num 256 jild num 1 ]



04•Imam Bukhari kay nazdeek Mani Najis hay
[ Tesarul Baari page num 170 jild num 1 ]

jubkay Nawab Siddique Hasan Khan kay nazdeek Mani paak hay mager jub Khushk ho to Khurach dena aur ter ho to Dhhoo lena chahiye
[ Alsiraajul Wahaaj page num 142 jild num 1 ]



05•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Chooha ager Ghee may Girjaye to isko aur Aas Paas wali jagah ko phenk do aur Baaqi khao
[ Tesarul Baari page num 173 jild num 1 ]

Jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqa'h jadeed naam nihaad Ahlehadees ] kay haan Chooha ager Garam Ghee may Girjaaye to is kay nazdeek na jao
[ Fatawa'h Ulama e Ahlehadees page num 24 jild num 1 ]



06•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Gusel janaabat may Naak may Pani Daalna aur Kulli karna Waajib nahi hay
[ Tesarul Baari page 88 jild num 1 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Waajib hay
[ Touhfatul Ahzawi page num 40 jild num 1 ]
[ Mira'atul Mafate'h page num 454 jild num 1 ]
[ Alsiraajul Wahaaj page num 111 jild num 1 ]



07•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Afzal ye hay k Wozo'u aur Gusel may badan kaprdhay say na pohnchay
[ Tesarul Baari page num 198 jild num 1 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay haan Ponchna aur na Ponchna 2onoon baraaber hain



08•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Janbi aur Haiza'h 2onoon ko Quran pardhna durust hay
[ Tesarul Baari page 216 jild num 1 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqa'h jadeed naam nihaad Ahlehadees ] kay haan Haraam hay
[ Touhfatul Ahzawi page num 124 jild num 1 ]
[ Fatawa'h Ahlehadees page num 263 jild num 1 ]
[ Fatawa'h Ulama e Ahlehadees page 54 jild num 1 ]



09•Imam Bukhari kay nazdeek Quran ko Bewazo'u haath lagana durust hay jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqa'h jadeed naam nihaad Ahlehadees ] kay haan durust nahi
[ Mira'atul Mafate'h page num 522 jhld num 1 ]


10•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Zaker aur Duber ka chhupana wajib hay
[ Fatahul Baari page num 22 jild num 2 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqa'h jadeed naam nihaad Ahlehadees ] kay nazdeek NAAF say lay kar GHUTNAY tak ka Hissa'h parda'h hay
[ Alsirajul wahaaj page num 128 jild num 1 ]


11•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Aoontoon kay bardhay may NAMAZ pardhna durust hay

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqa'h jadeed naam nihaad Ahlehadees ] kay nazdeek Haraam hay
[ Tesarul Baari page num 304 jild num 1 ]


12•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek MASJID may Mehraab banana Sunnat nahi hay
[ Tesarul Baari page num 342 + 343 jild num 1 ]

jubkay
GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] ki subhi Masaajid may Mehraab aur Minber Choonay ki Aeent say banaaye jatay hain



13•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Namazi kay aagay say her jagah say guzerna mana'a hay
[ Tesarul Baari page num 344 jild num 1 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Baitullah may Namazi kay aagay say Guzerna durust hay
[ Fatawa'h Ahlehadees page num 117 jild num 2 ]



14•Imam Bukhari Rehmahullah ki Riwaayat say sabit hota hay k Aurat ko hath laganay say Namaz Faasid nahi hoti
[ Tesarul Baari page num 255 jild num 1 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay haan wazo'u Toot jata hay


15•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Soo kar Authnay walay ki NAMAZ qaza nahi

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek wo NAMAZ adaa hay jub wo jaga ya us ko yaad aayi
 Tesarul Baari page 298 jild num 1 ]



16•Ager [ Imam ] Bimaari ki waja say beth kar NAMAZ Pardhaye to Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Qudrat rakhnay walay Muqtadi khardhay hoker NAMAZ pardhain
[ Fatahul Baari page 298 jild 2 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek [ Imam ] beth kar NAMAZ pardhain to Muqtadi bhi beth kar NAMAZ pardhain



17•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek AALIM Imaamat ka ziyada haq daar hay
[ Tesarul Baari page num 447 jild num 1 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Qaari ziyaada haqdaar hay
[ Touhfatul Ahzawi page num 197 jild num 1 ]


18•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek JUMMA'H kay din Gusel karna Sunnat hay
[ Tesarul Baari page num 7 jild num 1 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Waajib hay
[ Tesarul Baari page num 2 jild num 1 ]
[ Alsiraajul Wahaaj page num 253 jild num 1 ]


19•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Tahajjud aur Viter 2 alehda'h Namazain hay
[ Fatahul Baari page 130 jild num 1 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Taraweeh , Tahajjud aur Salatul lail 1 hi hay
[ Tesarul Baari page 76 jild num 2 ]



20•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Janaza'h ki Maiyyat aur IMAM mard aur aurat donoon ki maiyyat may kamar kay muqaabil khardha ho
[ Tesarul Baari page num 292 jild num 2 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek IMAM Aurat ki kamar aur Mard kay sir kay muqaabil khardha ho
[ Tesarul baari page 291 jild num 2 ]
[ Fatawa'h Ulama e Hadees page 2 ]


21•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Mushrikeen ki Nabaalig Aulaad ager mar jaye to wo Jannati hay
[ Tesarul Baari page 331 jild num 2 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Dozakhi hay
[ Tesarul Baari page num 310 jild num 2 ]


22•Imam Bukhari Rehmahullah Ramzanul Mubarak may din may 1 Quram pak khatam kiya kartay thay
[ Muqadma Fatahul Baari page num 252 jild num 2 ]
[ Muqadma Tesarul Baari page num 136 jild num 3 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek 3 din say jald khatam karna Mukrooh hay
[ Tesarul Baari page num 535 jild num 6 ]


23•Imam Bukhari Rehmahullah ki Riwaayat may Vitar samait Tahajjud ki 13 rakatain bhi sabit hain
[ Fatahul Baari page num 136 jild num 3 ]
[ Tesarul Baari page num 203 jild num 2 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Ramazaan aur Gerramazaan may 11 rakatoon say ziyada ka saboot nahi hay
[ Arful Jaadi page num 33 ]


24•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Haal Aehraam may Auqd karna durust hay
[ Tesarul Baari page 42 jild num 2 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Haalat e Aehraam may Nikah durust nahi
[ Touhfatul Ahzawi page 88 jild num 2 ]
[ Alsiraajul wahaaj page num 27 + 526 jild num 1 ]


25•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Makka'h aur ird gird ki bastiyoon ko Ummul Qura'a kehtay hain

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Ummul Qura'a sirf Makka'h hi hay
[ Tesarul Baari page num 293 jild num 6 ]


26•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek
BISMILLAH her surat ki juz nahi
[ Fatahul Baari page num 343 jild num 10 ]
[ Tesarul Baari page num 470 jild num 6 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek
BISMILLAH her surat ka Hissa'h hay
[ Alsiraajul Wahaaj page num 192 jild num 1 ]
[ Arful Jaadi page 26 ]
[ Fatawa'h Ulama e Ahlehadees page num 110 jild num 2 ]


27•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Haiz may di gayi Talaaq waqayi hojati hay
[ Tesarul Baari page num 236 jild num 7 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek nahi hoti
[ Tesarul Baari page num 164 jild num 7 ]



28•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek ager Miyaan Biwi pehlay Musalmaan na thay , ab in may Biwi pehlay Musalmaan hogayi to ISLAM qubool kartay hi donoon may Alehdgi hojaye gi
[ Fatahul Baari page num 340 jild num 11 ]
[ Tesarul Baari page num 199 jild num 7 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Aurat kay ISLAM qubool kartay hi inka Nikahi Talluq khatam nahi hota balkay Aurat ki Iddat khatam honay tak baqi rehta hay
[ Tesarul Baari page num 199 jild num 7 ]


29•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Teen [3] Talaqain ikhatty day ya juda juda day to Teenoon waqayi hojati hay
[ Fatahul Baari page num 281 jild num 11 ]
[ Tesarul Baari page num 172 jild num 7 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek ikhatty di huwe Teen Talaqain 1 hoti hain
[ Fatawa'h Sanaiyya'h page num 231 jild num 2 ]
[ Fatawa'h Nazeriyya'h page 39 jild 3 ]



30•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek Musahfa'h 2onoon hathoon say karna chahiye
[ Tesarul Baari page 179 jild num 8 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek Musafa'h 1 haath say karna chahiye
[ Fatawa'h Sanaiyya'h page num 91 + 95 jild num 2 ]


31•Imam Bukhari Rehmahullah kay nazdeek bacha thordha bohot jitna Doodh bhi kisi Aurat ka pee lay to Raza'at sabit hojati hay
[ Fatahul Baari page num 49 jild num 11 ]

jubkay GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay nazdeek 1 , 2 baar peenay say Raza'at sabit nahi hoti
[ Tesarul Baari page num 23 jild num 7 ]
[ Fatawa'h Ahlehadees page num 180 jild num 3 ]
[ Fatawa'h Nazeeriya'h page num 152 jild 3 ]

Mazkoorah balaa masayeel kay raqem karnay may kahi bhi zaati raaye ka izhaar nahi kiya gaya sirf wo alfaaz mukhtaser naqel kiye gaye hain jo GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] nay apni kutub kay ander likhay hain

TESARUL BAARI mashhoor Germuqallid Aalim Allama'h waheeduz zamaan ki bukhari ki sharah hay
ALSIRAAJUL WAHAAJ Germuqallid Aalim Nawab Siddique Hasan Khan ki Bukhari ki sharah hay
MIRAATUL MAFATEH Germuqallid Aalim Ubaidullah Mubarak Puri ki Bukhari ki sharah hay

FATAHUL BAARI Hafiz ibne Hijr Rehmahullah ki tehreer karda Bukhari ki sharah hay aur ye 6 sadi hijri kay dour say talluq rakhtay hain tub Germuqallidiyat ka nishaan bhi na tha .

GERMUQALLIDEEN
[ Firqah jadeed naam nihaad Ahlehadees] kay jitnay masayeel may Imam Bukhari Rehmahullah say ikhtelaaf hain in may say chund ka khaka'h aap kay samnay pesh kiya gaya hay is ki roshni may ye natija nikala jasakta hay k jo loog Imam e Azam Abu Hanifa aur Imam Bukhari Rehmahumullah kay ikhtelafaat ko pesh karkay awaamul naas kay azhaan ko kharaab kartay hain wo insaaf say kaam nahi letay inhay chahiye k wo Imam Bukhari Rehmahullah say apnay ikhteelafaat ko bhi zaroor bayaan karain

Dawa'a hay Bukhari o Muslim ka
Detay hay hawalay Auroon kay
Hay Qoul o Amal may Takraao
Ye kaam [Naam Nihaad] Ahlehadeesoon kay



Her Subah Bukhari ka Na'ara
Her Shaam Bukhari ki Batain
Dhandora Chund masayeel ka
Manzoor nahi hay sub Batain
2 , 4 Hadeesain Matlab ki
Mehfil may Sunatay hay lekin
Chupaya Loog phirtay hay kuch aur Bukhari ki Batain
 

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)