.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

BADMAZHAB KI TAZEEM O TAREEF KARNE WALEY K LIYE SAKHT WA'EED

لبیک یارسول اللہﷺ
0


Sulley kulliyat k jiraseem ki waja se baaz log kehte hain k kisi ki izzat karoge to wo tumhare khareeb hoga tumhari baat sunega jab tum uska hath milana hi gunah samajte ho wo tumhari baat kya sunega hum kehte hain kisi gustaakh ki tazeem ko le doobti hai.


Momin ka imaan ka ghaata hai na sirf uska nuqsaan balkey millat e islamiya ka nuqsaan hai.


HADEES:

Jis shaks ne bad mazhab ki izzat ki isne ISLAAM dhaane pery madad ki.


(MISHKATH SHAREEF)


(MAJMUA AL FATAWA, JILD 18, PAGE 346)




ALLAHUAKBAR




Jinki sohbat alaniya kafir se hazaar darja zyada khatarnaak hai inki jo izzat o takreem karey inse ittehaad karey wo islam ka kitna mukhalif hai aur islam ko giraney ki kitni koshish karta hai.


HADEES:

Jab faasiq ki tareef ki jati hai to ALLAH TA'ALA ghazab farmata hai.


(KANZUL UMMAAL, JILD 3, PAGE 575, HADEES 7964)

(BEHAQI)


Jo ambiya عليه السلام aur aoliya e kiraam k gustakh hain wo sabse badey faasiq aur gumrah hain to inki tareef karna inse ittehaad karne kis qadar rab e qahaar k ghazab ko dawat dena hai.


HADEES:

RASOOL ALLAH ﷺ ne mana farmaya k mushriko se musahefa kiya jaye ya inhey kunniyat se zikar kiya jaye aur na aatey waqt inhey marhaba kaha jaye.


(KANZUL UMMAL, JILD 9, PAGE 131, HADEES 25349)


Ye bahot kam darje ki izzat hai k naam lekar na pukara jaye falaan ka baap keh diya jaye ya aatey waqt jaga dene ko aaiye keh diya jaye.


DARS E IBRAT

Kuffaar k baarey me hadees isse bhi mana farmati hai alaniya kaafir se hazaar darja mazar naam o nihaad in maolviyo se ittehaad hai jo NABI KAREEM ﷺ k ilm aur aap ki zaat per hamla karte hain.


Inse ittehaad karna inkey maolviyo ko badey badey alqaab se zikar karna, inka shaan se isteqbaal karna jalso me inki taqreerey musalmano ko sunana.


Haalankey be deeno bad mazhabo ko aesa muqaam ye ohda dena jissey musalmano k dilo me inki tazeem paeda ho haraam hai, apne jalso me aezaazi ohdey dena kis qadar gumrahi aur RASOOL ALLAH ki mukhlifat hai.




MAMULAAT SAHABA E KIRAM رضي الله عنهم


Sahaba e kiraam رضي الله عنهم jo ummat e muslima k liye miyaar e haq hain jinnki iqteda ko hidayat farmaya gaya hai, jinhey quran e paak me رضي الله عنهم و رضواعنه (ALLAH UNSE RAAZI AUR WO ALLAH SE RAAZI) ka aezaaz naseeb hua ho inki mubarak zindagiyaan "APKEY DUSHMAN SE KYA RISHTA HAMARA YA RASOOL ALLAH ﷺ" ka amli namuna hai.


Hazrat mulla ali qari رحمة الله عليه ne likha hai k SAHABA KIRAAM رضي الله عنهم aur inkey baad waley har zamane k imaan walo ki ye aadat rahi hai k wo ALLAH TA'ALA aur uskey RASOOL ﷺ k mukhalifo k sath boycott karte rahe.


Halankey in imaandaro ko duniyawi taor per in mukhalifo ki ehtiyaat bhi hoti thi lekin wo musalman ALLAH TA'ALA ki raza ko is per tarjeeh dete huye boycott karte the.



BOYCOTT TO MAMULI SAZA HAI LADAYI AUR MAAR PITAYI KI NAOBAT PAHOCH JATI THI.


Chunanch BUKHARI SHAREEF KITAB UL SALAH aur allama aayini k "وان طايفتن من المؤمنين اقتتلو ا فاصلحوا بينهما" k SHAAN E NUZOOL me sharah bukhari umdatul qari farmate hain.


Hazrat anas رضي الله عنه se riwayat hai k arz ki gayi YA RASOOL ALLAH ﷺ abdullah bin abyi k haan chal kar iskey sath salah ki baat kijiye, ap ﷺ gadhe per sawaar hokar maa jamaat abdullah bin abyi k haan tashreef le gaye


Usne kaha gadhe ko dur kijiye mujhe isse badbo aati hai, ek ansari mard ne kaha bakhuda hamarey nazdeek gadha tere se zyada khushbodaar hai


Isse abdullah ki party ka ek shaks naraaz hua to inki aapas me hatha paayi shuru hogayi yaha tak k ek dusrey per pathar aur jutey barsa rahe the


(SAHIH BUKHARI, JILD 3, PAGE 183, HADEES 2691)


(UMDAT UL QARI, SHARAH SAHIH BUKHARI, JILD 2, PAGE 61)




ASAAYE NABAWI ﷺ KI BE ADABI NA GAWAAR


Hazrat qazi ayaaz رحمة الله عليه "SHIFA SHAREEF" me likhte hain k, Jahjah ghaffari ne HAZRAT SYEDNA OSMAN GHANI رضي الله عنه se HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ka aasa lekar ghutno per rakh kar todne laga to logo ki cheekhey nikal gayi itni be adabi ki waja se iskey ghutne me aakla ka marz paeda hogaya isne ghutna kaat daala aur ek saal k andar mar gaya


(AL SHIFA, JILD 1, PAGE 331)




FAWAYED O AQAYED


Aasa mubarak bataor e tabarruk mehfooz tha isse sahaba e kiraam رضي الله عنهم اجمعين ka tabarrukaat se ishq ka saboot mila

Tabarruk ki be adabi aesi nagawaar huyi k wo jango dushmano k naz'on me na cheekhey lekin aasa mubarak ki be adabi o gustakhi se cheekhey chillaye issey malum hua k inhey RASOOL ALLAH ﷺ ki mansoob ashya se kitni aqeedat aur muhabbat thi


Be adabi o gustaakhi ka anjaam bura hai agarche kisi ko jaldi se kisi ko der k baad

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)