.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

GUSTAAKH MARJAYE TO ISKA JANAZA BHI NA PADHO

لبیک یارسول اللہﷺ
0

 

وَلَا تُصَلِّ عَلَى أَحَدٍ مِنْهُمْ مَاتَ أَبَدًا وَلَا تَقُمْ عَلَى قَبْرِهِ إِنَّهُمْ كَفَرُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَمَاتُوا وَهُمْ فَاسِقُونَ


TARJUMA:


Aur inme kisi ki mayyat per kabhi namaz na padhna aur na iski qabar per khade hona, beshak wo ALLAH O RASOOL se munkir huye aur fasiq hi me margaye.


(SURAH AL TAUBA, AYAT 84)




TAFSEER O SHAAN E NUZOOL:




Ye ayat HUZOOR SARWAR E ALAM ﷺ k sabse badey dushman rayees ul munafiqeen abdullah bin Ubaey k mutalliq nazil huyi thi, jab wo mara to HUZOOR ﷺ ne khulq azeem ki bina per iski namaz e janazaa padhna chahi to HAZRAT OMER رضي الله تعلى عنه ne arz kiya k ap is munafiq ka janaza na padhe.




Lekin AP ﷺ ne iski namaz e janaza padhi iske bete ne jo musalman saleh mukhlis sahabi kaseer ul ibadaat the unhone ye khwahish zahir ki SYED E ALAM ﷺ inke baap abdullah bin abi sulool ko kafan k liye apne khamees mubarak inayat farma de aur iski namaz e janaza padhadey.




Hazrat omer رضي الله تعلى عنه ki raaye iske khilaaf thi lekin chonkey is waqt mumani'at nahi huyi thi aur HUZOOR ﷺ ko malum tha k HUZOOR ﷺ ka ye amal ek hazaar admiyo k imaan laane ka baayis hoga isliye HUZOOR ﷺ ne apni khamees bhi inayat farmayi aur janaze me shirkat bhi ki.




Khamees dene ki ek waja ye bhi thi k SYED E ALAM ﷺ k chacha HAZRAT ABBAS رضي الله تعلى عنه jo badar me aseer hokar aaye the to abdullah bin abi ne apna kurta inhey pehnaya tha.




HUZOOR ﷺ ko iska badla dena bhi manzoor tha isper ye ayat nazil huyi aur iskey baad phir kabhi SYED E ALAM ﷺ ne kisi munafiq k janaze me shirkat na farmayi aur HUZOOR ﷺ ki wo maslahat bhi puri huyi chunanche kuffaar ne dekha k aesa shadeed ul adawat shaks jab SYED E ALAM ﷺ k kurte se barkat haasil karna chahta hai to iskey aqeede me bhi ap ALLAH k habeeb aur iskey sache RASOOL hain ye soch kar hazaar kafir musalmaan hogaye.




Is waqey se munkireen KALAMAAT E MUSTAFA ﷺ kehte hain k tabarrukaat ko koi faeda nahi agar kuch hota to munafiq ko faeda hota, iska jawaab NABI E PAAK ﷺ ne khamees mubarak tabarruk k liye nahi balkey apne chacha ka badla utaarne k liye diya tha.




Isse to ulta HUZOOR SARWAR E ALAM ﷺ ka tasarruf o ikhtiyaar sabit hota hai k chahe to mutabarruk ashya me barkat hone de chahey to inse barkaat salab farmaley.




Isse wo aetraaz bhi dafa hogaya k aapne munafiq k mu luaab e dahan daala to koi faeda na hua to iska bhi yahi jawaab hai k aapne luaab e dahan daalkar iske mu k andar jo zahiri taor per kalma padha aur zubaan se koi ibadat ki wo tamaam salab karli.




Hum NABI E PAK ﷺ ka tasarruf tarad o aksan har dono tarah se maante hain yaani chahe to fazal o karam se maala maal farmade chahe kisi ko kisi nemaat se mehroom farmade. باذن الله تعلى




SAHEB ROOH UL BAYAAN رحمة الله عليه ne munafiq ko tabarruk se faesa na hone ki ek misaal khayam karkey phir mutaddad dalayel khayam farmaye, aur farmaya ye aese hai jaese barish me to munafaa maojood hain lekin aagey zameen aesi ho k jisme asar qubool karne ki salahiyat nahi.




Isse ye koi nahi kahega k barish me munafaa nahi balkey yu kaha jayega k zameen kharaab hai aese wahabiya deobandiya ko samjhane k liye kaha jaye k khamees mubarak k munafey me shak na karo balkey yu kaho k munafiq ko is munafey k qubool karne k salahiyat o ahliyat nahi thi.




Agarche SAHEB ROOH UL BAYAAN k daor me wahabi, deobandi, maodoodi khisam k log nahi the lekin IBNE TAYMIYYA (JO AHLE KHADEES K IMAM HAI) jo mazkoora partiyo k guru hai iskey taaseraat maojood the isliye saheb e rooh ul bayaan ko fawayed per chand dalayel dene padey.




AHADEES E MUBARAKA




HUZOOR SARWAR E ALAM NOOR E MUJASSAM ﷺ ki seerat e paak me sabse bada wase'ey baab khalq azeem hai, ALLAH TA'ALA ne apki ye sifat quran majeed me bhi bayaan farmayi.




AP ﷺ ki adat e kareema thi k ap dushmano k liye bhi chadar bichadete lekin yaad rahe k wahi REHMATALLIL ALAMEEN SHAFEEQ RAOOF O KAREEM ﷺ dushmanan e islam k liye nahi balkey bazahir kalma e islam padhne walo k liye jahan sakhti farmayi waha narmi bhi farmayi.




Lekin اشداء على الكفار aur جاهد الكفار و المنفقين k nuzool se pehle warna yahi PYAARE RASOOL to the jo ghazwa e haneen aur badar o uhud aur ahzaab o tubook me dushmanan e islaam se barsar paekaar the, gustakho aur be adabo k liye aap k irshad e aliya ummat ki rehbari aur rehnumayi k liye kafi hain.




BEEMAR HOJAO TO AYADAT NA KARO, MARJAYE TO JANAZE ME NA JAO




RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya, khaza o khadar ko jhutlane waley is ummat k majoosi hain (halankey wo namaze bhi padhte hain aur roze bhi rakhte hain) farmaya k agar wo beemar hojaye to unki ayadat k liye mat jao aur agar wo marjaye to unke janaze waghaera me mat shareek hona agar tumse miley to unko salaam na karo.




Iskey alawa degar irshadat o mamulaat bad mazaheb k liye sakht se sakht tar hain, agar wazahat matloob ho to "al ahadees al nabawiyah fi alamaat al wahabiyah" ka mutalla kijiye.




Yaad rahe k HUZOOR ﷺ ka ye irshad girami bhi rab e kareem jal mujadda ul azeem ka hukum bhi hai.




KUCH AYATEY JINMEY ALLAH TA'ALA KA FARMAAN PADHIYE...




TARJUMA:


Aur zalimo ki taraf na jhuko k tumhey aag chuyegi.


(PARA 12, SURAH HOOD, AYAT 113)




TARJUMA:


Aur jo kahey tujhe shaetaan bhulade to yaad aaye par zalimo k paas na baeth.


(PARA 7, SURAH AL ANAAM, AYAT 68)




TARJUMA:


To unlogo k sath na baetho.


(PARA 5, SURAH AL NIS'A, AYAT 140)



Aesi tasrihaat k bawajoo koi apni zaruriyaat k tehet ya kisi dabao se badmazahab k sath mel jool ko islaamsamajta hai to phir is jaesa shombakht kaon hoga.

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)