.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

Shab e Meraj Ka Saboot Quran Se

0


 Nabi e Karim ﷺ ne raat k kuch hisso me Haram Sharif se Masjid E Aqsa Baitul Muqaddas phr Saatho Aasman Arsh o Kursi se Sidratul Munteha se laa Maka phir Deedar e Allah عزوجل kiya aur wapas Jamin par jalwagar Huwe. Subhan Allah.


Rajjab ul Murajab ka Mahina aate hi Aashikan e Mustafa k chehre khil jaate hai aur Ahle Sunnah Wa Jamaat ki Majaliso me Nabi e Akram ﷺ k Meraj ka Tazkira safar e Meraj Falsafa e Meraj ka bayan hota hai Shan e Risalat pe khitabat hote hai. Alhamdullilah.


Par ab Musalmano me ek aisa badeen firqa na ahel kam akal logo ka aaya hai jo khud ko AHLE HADEES kehte hai jo Aqaid me Wahabi hai inke naam nihad QURAN HADEES waale muballig aisi mehfilo ka munakkid karna bhi biddat kehte hai Halanki TAZKIRA E MERAJ kisi Surat me Biddat nahi hai balki Meraj Ka Tazkira karna to khud Sunnat e Ilahiya Sunnat e Mustafa Sunnat e Sahaba hai aur unse hi buzurgan e din ne tazkira kiya aur Alhumdullilah aaj bhi ye amal jaari o saari hai.


Aur dusra is baat ko leke bhi kaafi shor o gul machaya jaata hai k MERAJ Jismani hui ya Roohani. Meraj Ki Raat me Nabi E Akram ﷺ ne Allah عزوجل ka Deedar kiya ya nahi in tamam chiz ka jawab motebar dalilo se hum next pose me saabit karenge.


Meraj Un Nabi ﷺ Par Kuch Jaruri Masail:

Hizrat se 2 Saal Pehle Makkah e Muazama Me Nabi e Akram ﷺ Ko Meraj Hui. Meraj ka dusra Naam “ASRA” bhi hai jiske maane Raat ko Chalana ya Raat ko le Jaana Bhi Hota hai.

Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Shara e Mishkat me likhte hai “Makkah E Mukkarama se Masjide Aksa tak ka Safar ‘ISRA’ hai jo Qurani aayat se saabit hai aur iska Munkir “KAAFIR” hai.


Masjide Aksa se Sidratul Muntaha wa lamaka tak jaana hadees e paak se saabit hai iska MUNKIR GUMRAAH AUR BAD’DEEN HAI.


Reference :

(Ashi'atul-Lamat Vol : 04 Pg: 526 by Shykh Abdul Hak Muhaddis Dahelvi.


Meraj Kitni Baar Aur Kaise Huwi

Shykh Abdul Hak Muhaddis Dahelvi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه Shara E Mishkat Ashi'atul-Lamat Huzoor ko jaagte ki Halat me Meraj Ek Baar aur Sapne Me Kayi Baar Meraj Huwi Thi.

Reference : (Ashi'atul-Lamat, Vol : 04, Pg : 527.


#islam #ahlesunnatproofs #shabeMeraj #AlisraWalMiraj #dawah #shirk #biddah #biddat #quran #hadith #prophet #hijab #islamispeace #ilm

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)