.
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم - بسم الله الرحمن الرحيم - الصلوة والسلام علیک یا سیدی رسول اللہ صلى الله عليه وسلم

Shabe Mi`raj Ki Nafil Namaz

0


 Qaza Namaz ek Loan hai hum par Jab tak Loan Ada nahi karenge Nafil padh ke kya fayeda ? Jo farz hai uski Qaza karne k baad Extra (nafil) padhna chahiye.


Shabe Miraj me aur kya kya karna hai iske liye last post padhe.


Jo chiz hum Farz hai wo hum na padh sake toh pahle Use Ada karna Chahiye.


Ab tak kitne Qaza hui ye toh kisi ko yaad nahi rahta lekin Past days , past week , last month ki toh yaad rahti hai Wo qaza Namazen padhe! Qaza Namaz padhne ka tareeqa Same Farz Namaz padhne k jaise hi hai or Sirf Niyyat me Kahna hai Us din ki us time Fajr /zohar/asr ki Qaza karta /karti hun.


Nafil Namazen toh bohat hai , bohat Saare Buzurgon ne bhi alag alag bataya hai ! Nafil me koi Limit nahi hoti ap chahe 2 padhe 200 ! Lekin uper wali Nafil Namaz Hadees ki kitab me aayi hai Jo ke Sahabi e Rasool Hazrath Anas Bin Maalik RadiAllahuanhu se Riwayat hai uper pic. Me mention karna bhul gaye.


Shab E Mi'raj me Zyada se Zyada Ibadat kare or Kuch 10 mins sokar uthe Taake Aap Tahajjud bhi padh sake or Sahri kar Roza ki Niyyat se bohat Fazilat hai Roze ki or Fajr Padhne ke baad Suraj nikalne ke bad So jaye.


Aksa dekha jaata hai log Jagte hai or Aayn Fajr k time soojate hai ! Yaad rakhe Fajr Farz hai Jagna Farz nahi ! Jagne k liye fajr na chodhe.


Bahar toh Sab jaga Curfew hai lihaza ghar me hi Ibadat kare or zyada se Dua kare Insano k liye.


Corono se Nijaat k liye.


#islam #muslim #muslimah #ahlulbaith #muslims #ummah #prophet #rajab #shabemeraj #roza #fasting #shameraaj

Post a Comment

0Comments

Assalam o Alikum

Post a Comment (0)